Part 1 51
Part 2 52
Part 3 55
Part 4 63
Part 5 69
Part 6 72
Part 7 75
Part 8 77
Part 9 78
Part 10 79
Par 11 80
Part 12 81
Part 13 83
Part 14 84
Part 15 85
Part 16 86
Part 17 87
Part 18 89
Part 19 93
Part 20 97
Part 21 98
Part 22
After one week
Sitwat and Azlan are on the dining table.
Sitwat:Azlan Azka ka koi phone aaya?
Azlan:nahi
Sitwat:tumne bhi phone nhi kiya usko?
Azlan:nahi
Sitwat:Azlan beta wo to nasamjh hai tum to koi akkal ka kaam lo,tum dono me se koi pehal nahi karega to kaise sab sahi hoga.
Azlan:mom relax i know me kya kar Raha hu just trust on me.
Sitwat stops while speaking
Azlan:Shirin aunty ne breakfast kar liya?
Sitwat:abhi tak to nhi.
Azlan: unki ki tabiyat thik hai?
Sitwat:pata nhi wo kal dinner pe bhi bahot disturb lag rahi thi.khaas taur pe tab jab usne dinner table pe tumhe nhi dekha.
Azlan:koi baat ki unhone aapse?
Sitwat:nahi..aur me bhi nhi kar saki sirf tumhri wajah se tumne kyu roka mujhe azlan.
Azlan:kyu ke yahi sahi tha mom
Sitwat:par azlan Jo kuch usne Azka se bola kya wo sahi tha?
Before Azlan can say anything, he sees that Shirin is coming towards them
Azlan:mom hum is topic pe akele me baat karege,abhi wo aa rahi hai so leave it.
Sitwat also sees that Shirin is coming to them.
Sitwat:aao Shirin Aaj late ho gayi tabiyat sahi hai tumhri?
Shirin:ha..bas aise hi
Azlan: Asalamualaikum aunty
Shirin hesitantly sits on the chair.
Shirin: walekum assalam.
Azlan:aaye nashta kare.
Sitwat:Samina..chalo naashta le aao jaldi.
Samina brings breakfast
Samina:begum sahiba ek minute rukiye ga aapka BP check karna hai.
Azlan:mene already kar diya hai
Samina:accha to phir Bibi jee chale aaye aap ka check kar lu phir.
Shirin: Mashaallah Samina tum bahot jayada dhyaan rakhti ho.tumhe pata hai sitwat me jab se yaha aayi hu ye ladki roz subah nashte se pehle aur raat ko dinner se pehle aakar mujhe zarur yaad dilati hai ke me apna BP check Karu..bhulne nhi deti mujhe ek din bhi.
Samina:Bibi jee mera is me koi kamaal nhi hai wo Azka Bibi hai jo mujhe roz aapke paas ye BP ki machine lekar bhejti thi,warna mujhe kaise pata ke aapko BP hai.unhone hi mujhe sikhaya tha ke ye kaise istemaal karte hai.
Shirin is very surprised to hear this. She looks at Azlan who is silently having breakfast without saying anything.
Sitwat:Azka hai hi aisi sabka khayal rakhne wali meri pyaari beti.
Azlan:Samina par phir bhi mom aur aunty ke khaane ka khaas khayaal rakhna,jaisa daily banta hai waisa hi bana na ok
Samina:Azlan saab mujhe Azka Bibi ne sab samjha Diya hai, wo to roz nashta bhi khud banati thi, wo nhi hai isliye thoda late ho jata hai mujhse Par aap fiqar na kare wo mujhe sab samjha ke gayi hai.aur bola bhi hai ke kuch smajh na aaye to me puch lu unse.
Azlan:ok good.accha mom main nikalta hu meri ek bahot zaruri meeting hai.aur me alredy late ho gaya hu,thik hai Allah hafiz.
Sitwat:Allah hafiz
Azlan leaves and Shirin finds it very strange that he has not talked to Shirin about that incident till now.
Sitwat:Shirin nashta suru Karo
Shirin:Huh..haa.
Sitwat:kya hua hai tabiyat thik hai tumhri?
Shirin:ha bas thoda sir dard hai aur kuch nhi.
Sitwat:accha chalo phir naashta karo aur rest karo tum.
Shirin:nahi mene abhi kuch der baad bahar Jana hai,thoda sa kaam hai.
Sitwat:shaam ko chali Jana agar tabiyat sahi nhi hai to.
Shirin:nahi abhi medicine lugi to thik ho jaugi.
Both start having breakfast.
Shirin:sitwat Azka kab aa rahi hai?
Sitwat:Azka…ahm..aa jayegi jaldi wo kya hai na bahot dino ke baad jo gayi hai na apni Amma ke ghar,meri wajah se wo jaa hi nhi paati thi.
Shirin: accha.
Sitwat:tum kyu puch rahi ho? Koi kaam tha azka se?
Shirin:nahi koi kaam nhi bas aise hi pucha
Sitwat wants Shirin to talk but she does not, and silently starts having breakfast.
Next scene
Amma:Azkaa…Azkaa beta tum abhi tak so rahi ho? Aaj hospital nhi jana?
Azka:nahi Amma mene Aaj off liya hai
Amma:kyu tabiyat to thik hai na?
Azka:ha bas aise hi.
Amma:accha chalo thik hai,ab jaldi se tayyar hokar neache aa jao phir saath me nashta karege.
Azka:jee me bas aayi.
Azka takes her phone and opens it. She keeps looking at the phone for some time and then puts it back.
Azka:main kyu har roz phone is umeed me dekhti hu ke sayad aaj Azlan saab ne koi call ya MSG Kiya hoga.jab ke main janti hu aisa kabhi nhi hoga.aur jis tarah Main wapas aayi hu uske baad to mera Aisa sochna Banta bhi nhi.ek dosti ka rishta jo ban Raha tha ab to wo bhi nhi raha
Next scene
Azlan:Danish saab ye file le jaye aur study kar ke iski report kal shaam tak ready kariye.
Danish:jee bilkul
Azlan: anything else
Danish:Sir Mr.Umair ki call aayi thi,wo aapse kuch baat karna chahte the
Azlan:thik hai aap jaye me baat kar luga unse.
Danish:ok sir.
Azlan calls Umair
Umair: Hello
Azlan:tumhri call aayi thi
Umair: ha wo kuch baat karni thi project ke hawaale se.
Azlan:thik hai lunch time ke baad office aa Jana.
Umair:tum lunch karne Jaa rahe ho?
Azlan: ofcourse lunch time pe log lunch hi karte hai.
Umair:Yaar, kabhi humare saath bhi lunch Karo kitne saal ho gaye.
Azlan took a long irritated breath
Azlan:tum nhi ho na yaha warna Aaj mauka de deta.
Umair:accha agar aisi baat hai to ye lo.
Umair enters Azlan's office.
Umair: TUMNE PUKAARA AUR HUM CHALE AAYE.
Azlan keeps his hand on his face seeing him like this in his room.
Umair:kya hua ,abhi tumne hi to bola tha ke main yaha hota to tum mujhe lunch pe le jate.
Azlan:mujhe nahi idea tha ke tum yahi ho.
Umair comes and sits on the chair
Umair:Yahi to problem hai tumhe abhi tak Mera idea hi nhi hua.
Azlan: ofcourse how can I forgot that days jab mujhe tumhra idea hua tha.
Umair gets very serious after hearing this.
Umair: Listen Azlan wo bahot purani baat thi and i m…
Azlan:Umair please I'm hungry and I don't want to listen to you right now.
Azlan gets up from his chair and walks to the door. Umair is sitting there, Azlan turns.
Azlan:kya khaoge lunch main?
Umair smiles hearing this but his face is not towards Azlan. He again make a serious face and turns his chair towards Azlan.
Umair:mene Aaj mutton karahi khaani hai.wo bhi shinwari se.
Azlan:R U mad ? Me waha nhi Jaa Raha.
Umair:phir yaha order kar lete hai.
Azlan:usse kya hoga time utna hi lagega,chalo aao yaha ek paas me accha restaurant hai waha se kha Lena tum apni mutton karahi.
Umair:great but look,tum har baar ki tarah apni marzi chala rahe ho.
Azlan:tumne aana hai ya main jau?
Umair:Aa raha hu yaar!!! but it's not right.
Azlan does not say anything and goes out and Umair also goes behind him smiling.
Next scene
Shirin:shukar main Aaj jaldi aa gayi.baat suno.
P:jee Bibi jee
Shirin:yaha tum hote ho din ke waqt?
P:Bibi jee hum to yahi rahte hai din me bhi aur raat main bhi.
Shirin:accha to ye saaf safai aur baki sab tum dekhte ho yaha?
P:jee Bibi hum log hi hai.
Shirin:accha ye paise rakh lo.
P:shukriya Bibi
Shirin:bahot acche se sambhala hua hai tumne.me pakistan se bahar rahti hu,mujhe bahot accha laga.peechle hafte hum main se koi aa nahi saka phir bhi tumne sab bahot acche se saaf kiya hua tha.
P:aap kaunsi Qabar ki baat kar rahi hai?
Shirin:ye samne wali ..meri beti ki hai.
P:Bibi jee ye me nhi karta yaha to roz subah ek baji aati hai wahi ye sab karti hai.
Shirin:nahi tumhe koi galatfehmi hui hai.yaha to Azlan aata hai na jinki Biwi ki ye qabar hai.aur kaun aayega.
P:wo bhi aate hai.par ek baji bhi aati hai Roz
Shirin:roz..,!!!!!!!
P:jee wo Roz sabse pehle aakar yaha ki safai karti hai,Qabar pe pani daalti hai phoolon ki chadar bicha kar Quraan ki Tilawat karti hai.
Hearing this, Shirin starts thinking who is the one who comes to Shanaya's grave.
P:wo dekhe wo aa gayi baji
Shirin sees that the girl is none other than Azka. Azka cannot see Shirin because Shirin is standing a little far away.
Shirin:ye wo ladki hai jo yaha Roz aati hai?
P:jee
Shirin:ye Azlan ke saath aati hai?
P:nahi ye to hamesha se akeli aati hai.Azlan saab ne to mana bhi kiya tha inko jab yaha dekha tha to.par phir bhi ye aati hai.
Shirin:mana kiya tha??
P:Ha Bibi jee mene dekha tha wo inko gusse se bol rahe the.
Shirin: ye kab ki baat hai?
P:ab sahi se to mujhe yaad nhi par sayad 6 mahine purani baat hai.par ye baji peechle 6 mahino se yaha Roz aati hai.
Shirin:Azka yaha roz aati hai par kyu ? Wo bhi Azlan se shadi karne se pehle se??
Shirin is looking at Azka, who is cleaning Shanaya's grave and putting flowers on it. Shirin is shocked to see all this.She doesn't understand why Azka comes here, that too since she and Azlan were not even married. She stands for a while,She doesn't have the guts to go and talk to Azka, so she goes back
Next scene
Umair:not bad haa..yaha ki mutton karahi bhi bahot mazaydar hai.
Umair sees that Azlan is not responding and quietly having lunch.
Umair:Yar lunch pe laaye ho mujhe atlist banda thodi si baat hi kar leta hai
Azlan again does not respond.
Umair:helloo main tumse baat kar raha hu..sunayi de raha hai ya nhi?
azlan still says nothing
Umair:Accha chodo ye sab,tumhe pata hai kal me Azka se mila tha.
Azlan looks at Umair after hearing Azka's name.
Umair:look ab kaise kaan khade hue hai.
Azlan:tum meri biwi ke bare me baat kar rahe ho.
Umair:wo biwi jo ab tumhre ghar se jaa chuki hai.
Azlan:par zindagi se nahi.
Umair:waha se bhi chali jayegi.
Azlan:shut up.
Umair:Maine kya galat kaha..jab tum use apne ghar se jate hue nhi rok sake to zindagi se bhi jate hue nhi rok paoge.
Azlan:wo me manage kar luga tum apni mutton karahi pe concentrate karo
Umair:u know Azka bhi bahot acchi mutton karahi banati hai.
Azlan looks at Umair
Umair:don't say ke tumne nhi khaayi,Are main to bhul gaya tumko wo kyu khilayegi ye blessing to mere naseeb me hai.
Azlan:mere naseeb main Azka hai isliye wo aaj….
Umair:wo aaj tumhre ghar se chali gayi hai.
Azlan becomes silent after listening to Umair
Umair:Sach sun ke zubaan ke alfaaz ruk Gaye na?
Azlan:ye sach nhi hai.
Umair:accha to phir batao aakhri baar kab Azka se baat ki thi?
Azlan:it's none of your business Umair.
Umair:Ohh really??
Azlan does not give any response and starts having lunch, Umair smiles and dials the number on his phone and puts the phone on speaker.
Azka: Asalamualaikum
.Hearing Azka's voice, Azlan immediately turns his face towards the phone.Umair smrik seeing Azlan like this.
Azka: Hello …Umair…
Umair: Asalamualaikum Azka
Azka: walekum assalam
Umair:kaisi ho Azka ?
Azlan is hearing Azka's voice after so many days, he is feeling good, he also wants to know how is Azka.he is waiting for azka's reply
Azka:main…main thik hu.
Umair:accha awaaz se lag nhi raha..?sab thik hai.
Azka:jee sab thik hai,main bas bahar aayi Hui thi.
Azlan wonders why she is not in the hospital at this time. He gestures to Umair to ask why he is out.but umair ignores him
Umair:aaj to aapne leave lee hai na hospital se?
Azlan feels bad to hear that Umair knows that she is on leave today but Azlan does not know.
Azka:jee main Qabaristaan aayii Hui thi,bas ghar jaa rahi hu.aapko kuch kaam tha?
Umair:kuch khaas nhi bas wo aapko bolna tha mera bahot dil kar raha hai aapke haath ki bani hui mutton karahi khane ka.
Azlan gets more angry after hearing this, and Umair enjoying seeing him like this.
Azka:accha to koi baat nhi kal aap hospital aa rahe hai na aunty ke saath,main aapke liye bana ke le aaugi.
Umair:are that's so sweet of you Azka..tum sach main bahot acchi ho Thank you.
Azka:Thank you ki koi baat nhi.
Umair:ye to tumhri mohabbat hai Azka,warna i know tumhre haath ki mutton karahi sabke naseeb Main nhi hoti.
Azlan gets irritated seeing Umair. Then he hears Azka's laugh.
Azka:haha..Aisi koi baat nhi hai.
Azlan himself smiles hearing Azka laughing like this. After so many days he has heard Azka's laugh.
Umair:chalo phir kal milte hai.khayaal rakhna Allah hafiz
Azka:jee Inshaallah Allah hafiz.
Umair disconnects the call and looks at Azlan who is still thinking of Azka and is feeling happy.
Umair:Lagta hai koi apni biwi ki awaaz sunkar bahot khush hai.
Azlan comes out of his thoughts and looks at Umair
Azlan:ha Aaj pure ek hafte baad mene azka ki awaaz suni.all because of you.
Umair:don't look at me like this..ye favour mene sirf isliye ki kyu ke tumne mujhe lunch karwaya hai.otherwise u know me tumne uske aaspaas bhi na aane du.
Azlan:Ye tumhri galatfehmi hai umair.Is dunia main me hi wo waahid shakhs hu jo azka ke kareeb aa sakta hai.
Umair:accha agar ye baat hai to kyu nhi kar rahe usko calls ? kyu use khud se door kiya hua hai?
Azlan does not answer. And Umair keeps looking at him.
Azlan:i m done main bahar gaadi main tumhra wait kar raha hu.
Azlan gets up and puts his credit card on the table. He starts to leave. Then Umair calls him.
Umair:Azlan wait..
Umair comes to him
Azlan:now what??
Umair:nothing i m full ..aur waise bhi kal to phir se khana hai Mutton karahi Azka ke haatho ka bana hua.
Azlan controls his anger and walks towards the parking lot without saying anything and Umair is happy to see him like this.
IN THE NIGHT
Shirin is in her room and she is still thinking about Azka.
Shirin:Azka mujhse itna kuch sunkar bhi khamosh rahi.usne palat kar mujhe koi jawab nahi Diya,aur azlan ne mujhse koi sawaal nahi kiya, jab ke us din usne sabkuch dekha aur suna tha.main janti hu mera behaviour Azka ke saath sahi nhi tha aur phir bhi wo khamosh hai aur Shanaya ke qabar pe uska Roz aana..mujhe kuch samjh nhi aaraha,me kitna kuch keh gayi usko par wo phir bhi..wo ladki jab se gayi hai mujhe ek pal ke liye sukoon nahi hai dil pe ek bojh sa hai,mene galat kar diya uske saath.
Then there is a knock in Shirin's bedroom. She opens the door and sees Azlan standing in front of her.
Azlan:I m sorry mene is waqt aapko disturb kiya but mene aapse ek zaruri baat karni hai
Shirin has a feeling that Azlan will talk to her about Azka.
Shirin:nahi nahi…it's ok aao andar aao
Azlan enters the room and sits on the chair.
Shirin:Azlan beta main khud tumse baat karna chaah rahi thi,me yaha aayi aur phir jo kuch bhi us din..
Azlan stops Shirin before she can say anything.
Azlan:Aunty mene aapse aapke ghar ke baare main baat karni thi.
Shirin is very surprised to hear this, she did not think that Azlan has come here because of this.
Azlan:main janta hu aap ye ghar sell nahi karna chahti hai par aapko is waqt koi aur option nahi nazar aa rahi.
Shirin:Azlan dekho humari pehle bhi is topic pe baat hui hai.chahti to main bhi yahi thi ke ye ghar sell karne ki zarurat na pade but tum jante ho mere paas ek yahi ek property hai aur mujhe is waqt waha apna ghar lene ke liye paiso ki zarurat hai.dekho beta agar tum mujhe wahi sab bolne aaye ho to sorry beta me tumse kisi qisam ki koi help nhi le sakti.
Azlan:aunty main janta hu par ek tarika hai jisse aapki help bhi ho jayegi aur aapka Ghar bhi aapke paas hi rahega.
Shirin:kaise ?
Azlan:aap wo ghar mujhe sell kar de.
Shirin:tumhe?
Azlan:jee, aap mujhse kisi tarah ki help Lena nahi chahti i can understand but aunty aise wo ghar aap mujhe sell kar degi to aapki aur meri hum dono ki help ho jayegi.
Shirin:Azlan…ye tum..
Azlan:wo ghar aaj bhi waisa hi hai jaisa Shanaya chod ke gayi aur aage bhi waisa hi rahega
Shirin:Azlan beta main..main..how can I mean to say …ye baat ek tum hi soch sakte ...
Azlan:MAINE NAHI AZKA NE SOCHI THI YE BAAT AUTHOR'S NOTE (part 48 ke start me AZKAAN ki phone pe conversation ye thi)
Shirin looks at him in astonishment and he smiles
Azlan:jee aunty wo Azka hai jisne mujhe ye idea Diya tha,usne kaha tha ke.wo ghar main Shanaya ka bachpan aur sari zindagi guzari hai.wo nahi chahti thi ke us ghar ko koi aur khareede aur tod de.wo Shanaya ki yaade hai.wo yaade jo aapke saath thi mere saath thi,Aur azka nhi chahti thi ke hum dono ki Shanaya se Judi Hui kisi bhi yaad ko koi Tod de.ye Shanaya ka Haq hai aur wo ye Haq kabhi kisi aur ko lene nahi de sakti.
Shirin is very surprised and embarrassed to hear all this,she lowers her face
Azlan:bas ek yahi baat karni thi maine aapse.
Azlan looks at Shirin but Shirin doesn't make eye contact with him.What Azlan had come to explain to Shirin, he explained to Shirin without even speaking to her
Azlan:Chalta hu, aap aaram kare good night
Shirin is very embarrassed to hear all this, she remembers all the things she said to Azka.
Shirin:main…Maine itna kuch bol diya usko aur wo ..wo meri Shanaya ki yaado tak ko Sambhal ke bethi hui hai aur maine usse ye kaha ke wo meri beti ka Haq le rahi hai,Ya Allah Mene ye kya kar diya mene use uske aur Azlan Ke rishtey tak ko lekar kitna kuch bol diya.,wo ladki meri Mari Hui beti ke rishtey ko itni ahemiyat de rahi thi aur me use uske shohar uske kamre tak ka taana maar rahi thi.
Shirin is remembering all the things she said to Azka and crying.
Next Day
Azka comes to the hospital.and goes to the canteen area
Azka: Asalamualaikum Ayesha.
Ayesha: Walekum assalam Dr. Azka kaisi hai aap?
Azka:main bilkul thik.
Ayesha:aaj aap late ho gayi?
Azka:ha bas thoda sa kaam tha ghar pe.patient to nahi aaye na?
Ayesha:no no aapki appointments 12 baje ke baad ki hai saari.aur abhi 11 baje hai.
Azka:accha sune ye khana hai ye aap canteen me rakh le jab lunch time hoga to plzz garam kar ke mere room me le aaiyega.
Ayesha:aap fiqar na kare me lunch time pe le aaugi.
Azka:accha Dr.umar aa gaye round se?
Ayesha:nahi wo aaj round pe nahi gaye.
Azka:kyu?
Ayesha: emergency ward main ek case aaya hai to wo waha Gaye hue hai.
Azka:emergency ward main?par dr.umar kyu gaye?
Ayesha:wo Dr.Azka unke kisi janne wala ka case aaya hai.
Azka:accha kaun?
Ayesha:koi MR.AZLAN AHMED HAI.
Hearing this, Azka looks at Ayesha.
Azka:kya naam liya tumne?
Ayesha:AZLAN AHMED.
Azka gets worried after hearing Azlan's name and starts running towards the emergency ward. As soon as she reaches, she sees Dr.Umar
Azka:Dr.Umar wo..wo..AZLAN SAAB..yaha..wo…AZLAN SAAB.
Umar:Azka ye Azlan ki watch aur mobile…
Azka sees Dr. Umar has Azlan's watch and mobile with blood on it. Azka sees that and starts crying.
Azka:Dr.umar kaha hai wo?mene abhi unko dekhna hai.wo thik hai na..?
before Dr. Umar can say anything Azka hears Azlan's voice,She turns around and sees Azlan talking to someone in the corridor
Azlan: excuse me pharmacy kis jagah hai.
Azka:AZLAN SAAB!!!!!
Azlan hears Azka's voice and looks at her.Azka comes running towards Azlan and hugs him tightly
End of part 22
Edited by sanabmw - 1 years ago
comment:
p_commentcount