He doesnt need your sympathy. He said apne paas rakho😆
He doesnt need your sympathy. He said apne paas rakho😆
Unko bolna phir to RAM MILAYE JODI he deserved u than lol
Originally posted by: shridharg
Aap saadhu ho ... 😳
I am hyper active ... and my hubby is very calm and composed ... god knows how he manages me and my tantrums ...
Me sadu bhi hu and hyper active bhi it’s depends on my mood.
Awww MashaAllah that’s so sweet of him.he loves u so much that’s y he accepts u who you are❤️stay blessed dear.
Originally posted by: shridharg
Those arent my lines ... read somewhere ... have habit of collecting articles and shayaries or poems ..to read again ....❤️
felt perfect for the situation ....😳 I dont know how to edit it next your text ...😔
Keep up the good work ....❤️
Yes yes I know its not ur lines but yaha to Tumne post ki that’s y I wrote ur lines
Mujhe khud poems,sayri read karna pasand hai.
Haan Uske sare Ashiqon ko pitwa do😆
You are right..Azlan is feeling all these kind of feelings first time...
Mujhe bhi sharam aati hai..islye toh tumko bola☺️
Take your time dear...Will wait for the next part...
Azlan and Azka's fanfiction:
1st Part- Pg 38
2nd Part- Pg 40
3rd Part- Pg 43
4th Part- Pg 44
5th Part- Pg 46
6th Part- Pg 47
7th Part- Pg 48
8th Part- Pg 49
Part 9
Azka Azlan ko dekhke smile karti hai...Assalamualaikum….
Azlan: Walequm Salaam....
Azka: Aap kab aaye….
Azlan: Bas thodi der hui hai...tum busy thi shayad islye mujhe notice nahi Kiya…
Azka uski baat par jyada dhyan nahi deti…
Azka: Aap kuch khayenge?
Azlan: Nahi ...mere sar mei dard hai...main aaram karunga thodi der...
Vo wahan se chala jata hai room mei....Vo uske liye coffee banati hai aur room mei le jati hai... Azlan ankhein band karke bed pe leta hua hota hai....Azka coffee side pe rakh deti hai...Uske pass bethti hai aur uska sar touch karti hai...He opens his eyes…
Azka: Kya hua Aapko ...Jyada dard ho raha hai….
Azlan takes her hand and then holds it to his chest... Nahi...
Azka ko uska behaviour thoda ajeeb lagta hai..par vo kuch nahi kehti....Aap coffee pi lijiye...Main medicine de deti hu aapko..
Azlan: Nahi uski Zarurat nahi hai....
Azka: Kyun?
Azlan: Halka sa dard hai...thik ho jaega…
Azka: Aap naraaz hai mujhse?
Azlan: Nahi…. main kyun naraaz hone laga…
Azka: Maine aapko dekha nahi jab aap aaye...main Zain se baat kar rahi thi toh mera dhyan nahi gya...
Azlan: Vo tumhe bahar bula raha tha…
Azka: Haan Dinner pe invite Kiya tha....par maine mana kar diya...time nahi hai….
Azlan: Aur agar time hota toh chali jati…..
Azka: Pta nahi...maine aisa socha nahi....kher vaise bhi main usse hospital mei baat kar lungi…
Azlan: Kya baat karni hai usko tumse?
Azka: Mujhe nahi pta....usne kuch btaya hi nahi...Koi jaruri baat hai....
Azlan: Kya use pta hai tum married ho….
Azka: Pta nahi....maine toh nahi bataya....par Dr. Omar ko toh pta hai...shayad unhone btaya ho...mujhe sahi se nahi pta…
Azlan: Aur tumne use kyun nahi bataya that you are married…
Azka: Koi baat nahi aayi aisi…aur hospital jaungi toh sabko btana hi hai…usko specifically kya kehna...
Azlan: Okay...thik hai….
Azka: Kuch hua hai kya.....aap preshan lag rahein hain…
Azlan: kuch nahi…tum preshan mat ho ..sab thik hai…
Azka: Nahi koi toh baat hai...please kahiye na...
Azlan: Azka…
Azka: Please…
Azlan takes a breath.... Kya tum use pasand karti thi kabhi? Ya achha lagta ho shayad pehle… aur agar tumhari mujhse shaadi nahi hoti toh kya tum sochti uske barei mei…
Azka ko bahut hairangi hoti hai uski baat sunkar.... ye kis tarah ki baat kar rahein hain usse...Apni wife se kaun iss tarah ka sawaal karta hai....vo uski pasand pehle bhi puchh chuke hain ...toh fir ab....Vo koi jawaab nahi deti…
Azlan: Ye shaadi tumhari marzi se nahi hui thi…Majboori thi…Aaj beshak tum ye rishta nibhana chahti ho…Kya sirf islye ki main tumhara husband hu aur tumhari nazar mei iss nikaah ke bahut maayne hain aur main mohabbat karta hu tumse....main aisa chahta hu ki tum mere paas raho...
Azka: Aapko aisa lagta hai…
Azlan: Nahi mujhe nahi lagta…main toh aisa sochna bhi nahi chahta….Meri thinking kuch aur rahi hai….par main sirf apni soch ke hisaab se nahi chal sakta…
Azka ko achha nahi lagta toh vo uthke jaane lagti hai but he tightens his hold on her hand....
Azlan: Mat jao please....baat karo mujhse…I need you..
Azka: Kya baat karni hai aapko…maine aisa kya kiya hai jo aapne ye sab soch liya..
Azlan: Tumne kuch nahi kiya Azka…tum toh bahut achhi ho…saaf dil …aur main tum par shak nahi kar raha…please galat mat samjho…mere dil mei ye sawaal aa gaya hai…mujhe nahi pta kyun… main sirf jawaab chahta hu…mujhe sukoon nahi ayega...Please...
Azka: Aapko mujhse iss trah ki baat nahi karni chahiye thi…
Azlan: Main jaanta hoon…and I am sorry for that...aur main ye sab nahi sochna chahta…sach mei…main tumse bahut mohabbat karta hu aur chahta hu ki tum khush raho bas…
Azka: Agar mujhe Zain Pasand hota toh main kyun aapke sath rehti…main aapki baat hi kyun maanti…. aapse talaak le chuki hoti ab tak…mere dil mei uske liye aisi koi baat nahi hai….par aapko kuch samajh nahi aata…
Azlan feels ashamed for asking all this. Vo sahi keh rahi hai...Vo toh use chhod sakti thi pehle hi...uske sath ghar wapas hi kyun aati...
Azlan: I am really sorry maine tumse ye sab kaha.....mujhe samajhna chahiye tha...
Azka: Aapke jo dil mei hai aapne wahi bola...aapko shayad mujh par koi trust nahi hai...
Azlan: Aisi koi baat nahi hai...I trust you...
Azka: Achha.... ye hai aapka trust ki agar main apne kisi friend se baat karlu toh aapko lagta hai ki main use pasand karti hu...jabki main aapki biwi hu...
Azlan: Nahi vo baat nahi hai...it's not about distrust...mujhe pta hai tum kuch bhi galat nahi karogi..par main nahi chahta ki tum ab kisi bhi majboori mei rishta nibhao toh ye sab keh diya......main bas darr gya tha….
Azka: Kis baat se…
Azlan: Vo Zain tum mei kuch jyada interest le raha hai…tum use bahut pehle se jaanti ho…vo tumhara achha friend bhi hai…tum sath padhte the…aur tumne uski tareef bhi ki thi hospital mei....jabki hmare past mei toh sirf ladaiya hain…aur maine tumhare sath kabhi sahi nahi kiya kuch...toh mujhe laga shayad vo tumhe achha lagta ho par ab shaadi ho gayi hamari toh tum mere sath ho... So main bas preshan ho gya ye sochkar…
Azka: Mujhe samajh nahi aa rha...aapke dimag mei ye baat bhi kaise aayi...Aap Zain ko lekar ...
Azlan: Toh vo tumhe baar baar phone kyun karta hai...dinner pe kyun bula raha hai akele ..aur aisi kya baat karni hai…
Azka ko samajh nahi ata ki kya Azlan Sahab ka dimag kharab ho gya hai ya sare husband apni biwi ke mamle mei aise hi hote hain…
Azka: Aapko mujh par trust hona chahiye…Main uske dil ka haal nahi janti lekin mujhe apna pta hai….
Azlan: I trust you Azka….bas main nahi chahta hamare bich kuch bhi aaye..koi insaan ya koi bhi baat…mujhse bardasht nahi hua ki koi aur tumse...I am sorry…I know it's not your fault..I just got upset about all this…forgive me please…
Azka uski ye baat sunkar thodi narm padh jati hai...usko vishwas nahi hota ki Azlan Sahab bhi kisi se Zealous ho sakte hai usko lekar...khud ko compare karenge kisi aur ke sath…Uski mohabbat ke liye ...Vo unki biwi hai fir bhi...unhe kya laga tha ki vo unhe kisi aur ke liye chhod degi...jabki vo toh unhe chhodke kahin ja hi nahi sakti...
Azka: Par mai toh nahi karti na...koi kuch bhi kahe ya kare....
Azlan: You are right…
Azka: Aapko ye laga tha ki main uske liye aapko chhod dungi...
Azlan: Nahi I know you will never leave me...but I thought may be you won't be that happy ..I don’t know I was just thinking too much…
Azka: Nahi aisa kuch nahi hai....main bahut khush hu yahan aapke sath...
Azlan: I am sorry ...maine tumhe bhi preshan kar diya na...main tumhe hurt nahi karna chahta tha….
Azka: koi baat nahi...par please aage se kabhi aisi baat mat kahiyega...aur na hi sochiyega...
Azlan: kabhi bhi nahi….
Azka: Aur iss baat se koi fark nahi padhta ki vo mera kitna achha friend hai…ya main use kab se jaanti hu...Aap mere husband hain aur aapse badhkar mere liye koi bhi nahi hai…main apni marzi se aapke sath hu….aur apni zindagi ka sabse achha waqt aapke sath guzaar rahi hu...
Azlan uski baat sunke khush ho jata hai….Azka jaane lagti hai toh vo usko rokta hai ...
Azka: Vo Mujhe kuch kaam hai…
Azlan: Samra kar legi…..
Azka: Mujhe kuch kaam hai na…fir aa jaungi aapke paas...
Azlan: Tumhe pta hai…Apna sara waqt ek biwi ko apne husband ko dena chahiye...
Azka: Achha….das aur kaam bhi hote hain ek biwi ke paas..
Azlan: Uske Husband se se bhi jyada important...
Azka :....
Azlan: Yahin raho mere paas please...
Azlan pulls her towards him and she lands on his chest....She tries to sit up par Azlan use kas ke pakad leta hai…
Azka looks at him and he was very serious…
Azka: Kya ho gya hai aapko...Aap thik hain na...
Azlan: Hmm thik hu main...tum ho na mere paas toh sab sahi hai ...
She places her head on his chest and keeps her hand on his heart and caresses it…..
Azka: Aap jaante hain na ki main hamesha aapke sath rahungi…
Azlan: Hmm....
Azka: Toh bas…aap kisi bhi baat ko lekar preshan mat hoiye….hamare bich koi bhi nahi aa sakta…
She looks at him and he feels very happy and smiles at her…
He kisses her hand..and begins tenderly touching her face with his fingertips...Azka sochti hai …abhi itna preshan the thodi deir pehle aur ab koi dekhei inhe… Inke bhi koi haal nahi hain…
Azka: Aap abhi itna preshan the aur abhi aise ho gye hain …
Azlan: Aise kaise...
Azka: Aise matlab aise...romantic...
Azlan smiles...hmmm.....Vo toh main uss baat se preshan ho gaya tha…ab sab thik hai …..aur tum ho hi itni pyari...tumhe dekhke main vaise hi behaal ho jata hu…
Azka starts blushing ... He kisses her cheeks..
Azka: Kya kar rahe hain aap...kuch toh time dekha karein...
Azlan: Kya kar raha hu...kuch bhi toh nahi....aur waqt dekhke kaun pyar karta hai...
Azka: Aap bahut jyada besharam ho gaye hain…
Azlan: ab apni biwi ko pyar karne mei kaisi sharam... tabhi door pe knock hota hai..Azlan ignore kar deta hai ...Azka kehti hai usko chhodne ko...but he raises his head and starts giving small kisses on her lips...Door pe dobara knock hota hai...Azka asks him to leave her by pushing his shoulders slightly and reluctantly he leaves her this time…She opens the door and he sits up...Samra bolti hai ki aapko badi begum sahiba bula rahi hain...and she nods at her....
Azka: Aunty bula rahi hain...
Azlan ka muh ban jata hai….
Azlan: Jao fir...
Azka: kya ho gya….itni deir se toh thi na aapke paas….
Azlan: Tum kya time calculate karti ho ki tumhe mere paas kitna rehna hai….
Azka: Nahi toh....Main kyun calculate karungi time....
Azlan: Pura din toh mom ke sath hi rehti ho….aur abhi bhi ja rahi ho…
Azka: Seriously aap apni mom se compete kar rahein hain…
Azlan: Haan toh tumhare liye toh karunga hi…aur kya karu…tum mujhe time hi nahi deti…
Azka: Aisa toh kuch nahi hota….itna time toh hoti hu aapke paas....aur aunty ko kuch kaam hoga ...Varna vo iss waqt na bulati...vaise bhi raat ko maine yahin aana hai....
Azlan: haan toh tab bhi wahin rehlo tum…tumhe toh bas mom ke paas achha lagta hai....mujhse Durr jane ka toh bahana chahiye tumhe...
Azka: Haan.... vaise mujhe unke sath achha lagta hai....Thik hai fir…Main aaj unke paas soungi ...
Azlan looks at her in horror...tum aisa nahi kar sakti…
Azka: Main kar sakti hu…maine phle bhi kiya hai…
Azlan: main sone hi nahi dunga tumhe wahan...le .aaunga wapas….us din bhi le aaya tha…
Azka: Aur aunty se kya kahenge...
Azlan: Vo dekh lena tum…
Azka wahan se chali jati hai....Azlan sochta hai agar sach mei ye wahan so gayi toh...kya kehke wapas launga...nahi vo Aisa nahi kar sakti..par pehle bhi toh koshish ki thi isne..
They were all having dinner..
Azka: Aunty main soch rahi thi ki aaj aapke paas so jaun...
Azlan looks at her...
Mom: Iski kya zarurat hai beta..main bilkul thik hu...mom ko pta hai ki dono ek dusre ke bina nahi reh sakte.. Azlan ne vaise bhi le jana hai Azka ko kisi bahane se..In dono ka ye sab chalta rehta hai…
Azlan ko thodi tassali hoti hai ki thank God mom ne mana kar diya….
Azka: Mujhe acha lagta hai aunty aapke sath...mera mann kar raha tha...
Azlan: Azka jab mom keh rahin hain ki vo thik hain. Toh tum zid kyun kar rahi ho….
Azka Azlan ko ghoorne lag jati hai...Mom dono ko hi notice kar rahi hoti hai ...
Mom: Azka...Tum poore din toh mere hi sath rehti ho….ab Azlan ka dhyan rakho tum…usko tumhari zarurat hai….
Azlan smiles looking at Azka...She ignores him….and mom also smiles seeing their antics...
Azlan room mei hota hai ...Azka aati hai aur vo usko dekhke smile karta hai….Azka jaake sofe pe beth jati hai...Azlan samajh jata hai ki she is again trying to be oversmart....look at the audacity.....How can she even think that she can surpass him…
Azlan: Azka ..wahan kyun bethi ho....yahan aao….
Azka: Main aaj yahan pe soungi….
Azlan: Idhar aa jao Varna main tumhe uthake yahan le aunga…
She ignores him ....Azlan apni jagah se uthta hai...Vo ekdum se khadi hi jati hai...main aa rahi hu....
Azlan: Nahi...ab main tumhe uthake ke le jaunga…
Azka bhaag ke apni jagah pe chali jati hai and lies down to sleep…Azlan looks at her and also lies beside her…He pulls her towards him and she places her head on his shoulder….
Azlan: Ye kya kar rahi thi tum aaj mom ke saamne....
Azka: Aunty maan jati agar aap bich mei na bolte toh…
Azlan: Nahi mom nahi maanti... unhe sab pta hai...
Azka: Kya pta hai...
Azlan: She knows ki maine tumhe wapas le aana hai apne paas.....main tumhare bina bechain ho jata hu....
Azka: Achha....toh ek baat btaiye...
Azlan: Kya...
Azka: Agar main mana kar deti aapke sath ghar aane se phir...
Azlan: Mere love confession ke baad bhi?
Azka: Haan uske baad bhi....
Azlan: Aise kar sakti thi tum?
Azka: Shayad...toh aap kya karte...
Azlan: Toh main koshish karta rehta...tumhare ghar ke chakkar lagata baar baar...jab tak tum Maan nahi jati ..tumhe manata rehta…..tumhare gharwale bhi preshan ho jate mujhse...
Azka ko hairani hoti hai sunke....
Azka: Aap sach mei aisa karte mere liye?
Azlan: haan toh aur kiske liye...tumse mohabbat karta hu toh tumhare liye hi karunga na....
Azka:....
Azlan: kyun tumhe nahi lagta ..
Azka: Nahi matlab...Aap aur ye sab...aap lagte nahi hain na aise...
Azlan: Kya matlab hai iss baat ka...lagta nahi hu...
Azka: Mera matlab...Vo hote hain na jo kisi ladki ke liye uske ghar ke chakkar lagayein ... Ashiq ban jaayein....Usko manate rahein....mohabbat ka yeqeen dilate rahein ..vaise...
Azlan: Ye kya baat Hui.... mohabbat mein insaan kya nahi karta ...aur tum toh biwi bhi ho meri... aise kaise jaane deta tumhe....main toh Koshish karta rehta.. tumhe nahi chhodta kabhi bhi...
Azka: Achha...sahi hai fir...mujhe maanna nahi chahiye tha itni jaldi..kuch toh dekhne ko milta...
Azlan: Ye tum jaldi maani ho...meri jaan nikal rahi thi us waqt...
Azka: Kya....Maan toh gayi thi jaldi....aap mujhe lene aaye aur main aa gayi...
Azlan: Achha aur uske bich jo itni batein hui hamare bich ..Mujhe samajh nahi aa raha tha ki kaise samjhau tumhe apni baat.....Maan hi nahi rahi thi tum...talaak sun sunke mera dil betha ja raha tha….pta bhi hai kitna preshan tha main...
Azka: Haan toh vo main bhi thi...mujhe achha thodi lag raha tha aapko aise dekhke ..
Azlan: Vaise Agar main apna love confess nahi karta toh tum na maanti...
Azka: Nahi...main nahi maanti....
Azlan: Sach mei?....mujhe chhod deti tum?...
Azka looks at him and then says socha toh yahi tha...
Azlan: Zaalim ho tum fir....
Azka: kya....main kyun maanti bina mohabbat ke izhaar ke ..aise thodi hota hai... contract tha na...
Azlan: Vaise toh bahut Jazbaati ho tum ...par mere case mei practical ho jati ho...Sara dimag laga leti ho ...
Azka: Haan toh main kya karti.... situation aisi hi thi mere liye....
Azlan: Tum wait kar rahi thi mere confession ka....
Azka: Nahi...mujhe kya pta tha aap mujhse mohabbat karte hain...
Azlan gasps...
Azlan: Toh tum mujhse talaak le hi leti ...matlab tumne ye bhi nahi socha ki shayad discussion karke we will patch up ..tumhe aisa laga tha ki talaak ho hi jayega....iraada karke bethi thi….
Azka looks at him helplessly kyunki usko toh yahi laga tha...
Azka: Haan...laga tha uss waqt...
Azlan: Azka sach mei tum bahut Zalim ho...matlab kaise chhod sakti thi tum mujhe...tumne socha bhi kaise .. benefit of doubt hi de deti…itna kuch toh bol chuka tha main...
Azka: Mujhe kya pta tha tab...aur vo sab kafi nahi tha mere liye...
Azlan: toh bhi....Isi reason se maanna tha toh direct puchh leti na ki mohabbat karte hain ya nahi...
Azka: main kyun puchhti aapse...aapko pehle hi kehna tha na....
Azlan: Shukar hai maine bol diya ..Varna kya hota...tum toh rishta bhi tod deti aur mera dil bhi...
Azka: toh itni batein karne ki bajaye kehte na ki mohabbat karta hu...
Azlan: keh toh diya tha fir maine..
Azka: Toh Maan gayi na main fir...
Azlan: hmm vo toh hai ..He smiles....jo bhi hua ho....tum mere paas ho na...ye important hai mere liye....Azka also smiles at him...
Azlan starts kissing her cheeks...
Azka: Bas bhi kijiye ....Kya aap hamesha ye sab…
Azlan: kyun....mujhe achha lagta hai ..tumhari tarah thodi hu main...
Azka: Kya matlab hai aapka ....maine kya kiyaab...
Azlan: Yahi toh problem hai tumne kuch kiya hi nahi hai...
Azka gets puzzled and looks at him with a question face...
Azlan: Have you ever kissed me?...
Azka: Yes I have...aur aapko pta hai toh jhoot toh mat boliyega...
Azlan: No...you didn't...I did it...you just responded...
Azka: same thing…
Azlan: no it’s not...you never initiated....you never even kissed me on cheeks.....
He makes a sad face...
Azka: Ye kya baat hui......aapne toh kiya na mujhe toh bas fir..
Azlan: toh tumne toh nahi kiya na..bas main hi Sara pyar jatau ...tum na kar lena thoda bhi pyar ..
Azka looks at him and he was making puppy eyes...Azka was like oh my god ..what now..He keeps looking at her with those eyes....and she sighs…..
Azka: Achha apni ankhein band karein...
Azlan look at her amused...really...
Azka: Haan...karein na...
Azlan closes his eyes and waits for her smilingly...
She looks at him...She knows that his husband is a very handsome man...but with eyes closed and this charming smile..he is like out of this world...
She takes a breath....pull sherself up slightly and then softly kisses his cheeks first...his smile grows...he knows this is Azka's last limit ..but then he feels her lips on his lips....but it was too quick...for mere seconds....he opens his eyes in amazement..Azka did kiss him...although it was just a brush...Her face was pink ..she was blushing hard... not looking at him...
Without wasting any time...he smashed his lips on her...and kisses her slowly at first and she does the same....then he increases his pace..kisses her with more passion...after a while he stops and take a look at her...she was mesmerizing...he ascends on top of her....They look at each other…Azka was surprised with his sudden act.....
Azka: Kya kar rahe hain aap..
Azlan: I am loving you…
Azka: Nahi...
Azlan: Achha…Nahi karu....he touches her face...
Azka blushes more…Azlan smiles at her condition..and starts to kiss her everywhere on her face…her lips and then he moves on to her neck....she was writhing under him and it drives him crazy and he starts giving open mouth kisses on all her neck and throat..she was breathing heavily ..his weight was crushing her....her Hands were moving on his back ....he was biting on her skin..her body jolts with his actions....
Azka: Please bas kijiye….
Azlan keeps on biting her and kissing her...then he again moves on to her face and starts kissing her lips again...their lips move in the same rhythm...somehow he stops himself from devouring her right there...and keeps his head on her shoulder to calm himself down....Azka also catches up with her breath.......both were breathing very hard....When finally they both calm down...Azlan looks at her...she was looking breathtakingly beautiful..affectionate eyes….kissed lips…pink face….he smiles at her....She also smiles at him slightly... He examines the red marks on her neck....and kisses that area again..
Azlan: Azka…..
She looks at him...
Azlan: Tumhe kya feel hua...
Her cheeks take on the colour of hues.
Azka: Garmi…
Azlan: Kya ?...Garmi? AC on toh hai...
Azka: Haan par mujhe lag rahi hai...
Azlan: Ye tumhara jawaab hai..... seriously...
Azka starts thinking....ab vo kya btaye ki use kaisa feel ho raha tha ... use vaise hi itni sharam aa rahi hai...Aur use samjhana bhi nahi ayega....aur itni garmi kyun lag rahi hai usko achanak se...
Azlan: bolo na please…
Azka: Kya puchh rahein hain aap ye...
Azlan: kya... Normal sawaal hai...
Azka: mujhe nahi pta...
Azlan: Achha nahi pta toh thik hai sari raat main tumhe aise hi kiss karta rahunga jab samajh aa jaye ki kaisa laga toh bta dena...
Azka usko hairani se dekhti hai..aur jaldi se jawaab de deti hai...mujhe achha laga...
Azlan smiles at her...mujhe bhi...he smacks her lips again..
He then moves from her and lies next to her....
Azlan: Did I hurt you...
Azka shakes her head in no...
Azlan: Still sorry main control nahi kar paya khud ko….
Azka feels very shy...aur kuch nhi kehti...Azlan caresses her cheek with his hand…she closes her eyes ...He feels very happy seeing that and kisses her forhead…
In the morning, Azka wakes up in the same position like the previous day..Azlan has half of his body on her...
Azka: Suniye ...
Azlan was asleep ….he does not react…
Azka moves lightly..
Azlan: ummm...don't move…sone do...
Azka: Uth jaiye ..mujhe Jana hai...
Azlan: Please so jao ..
Azka: Time ho gya hai ...
Azlan opens his eyes...He was too sleepy...
Azka: Mujhe kaam hai ..aap so jao beshak...
Azlan: itni subah..Kaun sa kaam....kyun karna hai tumne...itna staff ghar pe hai ...vo kis liye hai...
Azka: fir bhi...mujhe dekhna toh padhega na...
Azlan: Koi jarurat nahi hai ..jab tum nahi thi tab bhi hote the na kaam...
Azka: Haan toh mera kya kaam hai yahan jab ghar ke mulazimo ne hi sab sambhalna hai....
Azlan: Tumhara kaam mujhe sambhalna hai bas...
Azka: Haan...thik hai toh...aapka breakfast banana hai ..
Azlan: Tum khana banane aayi ho yahan? …vaise bhi abhi bahut waqt hai ....tum itni jaldi kyun uth jati ho.... so jao chupchap...
He holds her more tightly and snuggles up to her neck...
Azka: Sune na..
Azlan raises his head and look at her...
Azlan: Azka...just sleep right now or you want to do something else in the morning...I am very sleepy and want my wife ...If I wake up then you know what I would like to do....
Azka immediately closes her eyes...he smiles and again goes to sleep holding her...
Azka: Main apka breakfast laga rahi hu...aa jaiye…
Azlan grabs her….
Azka : chhodiye…
Azlan: Kyun ….
Azka: Subah ka waqt hai...
Azlan: tumhe raat ko pasand hai…
Azka: Ye kis tarah ki batein kar rahe hain aap...mera vo matlab nhi tha..
Azlan: Kya kiya hai maine….abhi toh hamari wedding night bhi baki hai...tab bataunga tumhe aur kya kya hota hai….
Azka: Aap mujhse aisi batein na kiya karein….
Azlan: toh fir kisse karu..tum hi ho mere paas….dusri hoti toh usse kar leta….
Azka: dusri? She immediately gets out of his hold...aapne toh kaha tha aap mujhse bewafai nahi kar sakte...
Azlan: Azka majaak kar raha tha main....aisa kuch nahi….
Azka: Majaak...ab toh kahenge hi...vaise toh mohabbat ke daave karte rehte hain...aur ab dusri?
Azlan: Aisa kuch nahi hai...majaak tha sach mei…
He tries to hold her hand...but Azka stays away…..
Azka: Aap rehne dijiye bas...aap rukein main aunty ko bataungi...unhone bhi kaha tha aap mujhse bahut mohabbat karte hain.. Unhe bhi toh pta chale….vaise toh shaadi nahi karni thi kisi se bhi aur ab dusri bhi chahiye sath mei….
Azlan: Azka ruko…nahi… I was just kidding.....
Vo kuch nahi sunti aur blabbering karte huae room se bahar chali jati hai...Arae yaar...ye kya bol diya maine...ye toh naraaz ho gayi...mom ko bol degi toh mom fir mujhe dantegi....vo Azka ke piche piche jatahai...Azka mom ke room mei ja rahi hoti hai...Azlan usko jaldi se apne paas khich leta hai...
Azlan: Azka meri baat suno…
Azka: Nahi sunna kuch...jaane dein mujhe…
Azlan: Nahi....Main majaak kar raha tha...
Azka: Aap jhoot bol rahe hain...shayad aapki khawahish hai dusri biwi ki…
Azlan: Nahi...mera vo matlab nahi tha na....mujhe toh bas tum pasand ho ..aur koi nahi chhaiye…
Azka uski taraf dekhti hai... he cups her face and says... Tumhare alawa kisi aur ki jarurat hi nahi hai mujhe.…you are the only one..Azka uski batein sunkar thoda shant ho jati hai...
Azka: Aap sach bol rahein hai...aapko koi aur nahi chahiye….
Azlan: haan na...koi bhi nahi…I swear koi nahi chahiye tumhare alawa....
Azka then smiles and Azlan takes a breath of relief and kisses on her cheek...and then hugs her...
Azlan: Why are you so naïve?...tumhe lagta hai jiski biwi tum jaisi ho itni achhi ...vo kisi aur ko bhi chah sakta hai…
Azka: Jyada batein na banaye….
Azlan: Sach bol raha hu...main sirf tumse mohabbat karta hu...
Azka gets happy listening this...then she realised they are standing in the hallway hugging each other...she immediately steps back…
Azlan: Ab kya hua….
Azka: Ham hall me hain…
Azlan: toh….
Azka: Ghar mei staff bhi hai ..dekh liya toh….
Azlan: toh kya...tum meri biwi ho ..main tumhe gale lagaun ya kiss karu....kisi ko kya masla hai…
Azka: Haan toh publicly karna jaruri nahi hota..
Azlan: hmm...ok let's go to our room then…
Azka: nahi.....aap ko iss sab ke alawa koi aur kaam nahi hai…office bhi toh jana hai…
Azlan: Hai na...par vo abhi nahi kar sakta.....tumhe wait karna padega...par agar tum chaho toh ..he touches her arm with his knuckles..
Azka: Aap na...kuch na hi bole toh achha hai...hamesha isi tarah ki batein karte hai...yahan aap hai aur wahan bhabhi....aap logo ki batein sunke lagta hai ki insaan bas paida hi pyar karne ke liye hua hai…
Azlan: haan toh sahi baat hai...Miya biwi pyar karne ke liye hi paida hote hain...aur abhi toh sach mei maine kuch kiya hi nahi hai...
Azka: rehne dein aap...aap breakfast kijiye aur office jaiye...ye koi waqt hai ye sab karne ka....
Azlan: Azka aisa karo timetable bana do tum mere liye ..I will follow that...
Azka: Kaisi batein karte hain aap....iska bhi koi timetable hota hai...
Azlan: Exactly... that's what I am saying....so skip this time management thing…
Azka : nahi toh nahi…
Azlan: Tumhe Accha nahi lagta..hmm?
He looks at her with the same charming smile he always throw at her to make her agree to his whims…
Azka: Aap na…hmesha aise hi karte hain mere sath…
Vo Azka ka hath pakadta hai aur room mei le jate sath hi door lock kar deta hai...ab thik hai...koi nahi aa rha aur koi nahi dekh raha...
He holds her and moves to kiss her but she turns her face away and his lips lands on her neck...he starts kissing her on entire neck...he then removes her scarf and continues kissing her throat, cheeks and her lips...Her body's reactions were affecting him so hard that he was not slowing down... she tries to stop him…Azlan looks at Azka who was breathing heavily...he then holds her again tightly ... continues kissing her shoulder and neck ..Azka tries to stop him again...
Azlan: Azka please....
he smacks her lips ...kisses on her cheeks continuously... Azka becomes more nervous...she starts to shiver unconsciously...Azlan feels her body shivering under his...so he stops suddenly...then he realises ki she is too nervous.....he loosens his grip too as he was squeezing her too hard...
Azlan: Kya hua tumhe….Are you all right…
Azka.uski taraf dekhti hai par kuch nahi bolti….
Azlan: I am really sorry...I was not thinking straight….I did not mean to scare you…So sorry…
Azka: Main thik hu..
Azlan: I am really sorry Azka...I just lost it...can you please forgive me...I will never do that again..Main force nahi karna chahta tha ..
Azka: Nahi please aap sorry mat boliye...I know that...aap kabhi bhi khud ko mujhpe force nahi karenge...baat ye nahi thi...main bas nervous ho gayi thi....I am sorry..…Ek wife ko apne husband ko khush rakhna chahiye….mujhe toh kuch bhi nahi aata…
Azlan Ko achha nahi lagta ki Azka aise sochne lagi hai...jabki uska koi fault nhi hai...control toh usko rakhna chahiye tha…kya ho gya tha use...
Azlan: Nahi na...tum toh bahut achhi biwi ho...aur main tumse bahut khush hu...tumhari jaisi pyari aur masoom biwi kismat walo ko milti hai.....galti meri hai ..mujhe khud par control rakhna chahiye tha....
Azka: Aap mera dil rakhne ke liye keh rahein hain na..
Azlan: Azka...main sach mei bahut khush hu tumhare sath...aise hi thodi tumhare aage piche firta rehta hu ....itni mohabbat karta hu...
Azka: Par mujhe toh kuch bhi nahi aata…
Azlan: Toh kya hua…mere liye tum important ho…aur rahi iss sab ki baat…tum sab Sikh jaogi....Haan par uske liye hame baar baar practice karni padegi...
Azka uski taraf dekhti hai...Azlan smiles at her .and she smiles too...then he smacks her lips once again and embraces her...
After Azlan goes to office...Azka was thinking about the whole scenario....he stopped himself for her...he is her husband and they have not consummated their marriage yet...but he does not mind...he cares for her...always considers her will..she smiles...He really loves her truly....and she is the lucky one to have him...
In the evening Azlan returns from his office ..
Azlan: Azka...
Azka: Aap aa gaye ..
Azlan: Hmm...chalo ready ho jao...hmm dinner pe chal rahein hain...
Azka: dinner? Achanak....kyun?
Azlan: Dinner achanak thodi hota hai ....daliy hota hai...
Azka stares at him...
Azlan: Achha...I mean...can't we go to dinner...
Azka: mmm...nahi aisi baat nahi hai...vo kabhi gaye nahi hmm sath ...
Azlan: Haan.. par ab toh ja sakte hain...tumhe aitraaz hai koi?
Azka: Ghar pe hi rehte hain na...
Azlan: room mei?
Azka: Jii nahi...mera matlab aunty ke paas chalte hai abhi...unke paas rahenge kuch time...
Azlan: Azka...kaisi biwi ho tum...sach mei hairan hu main...
Azka: Kyun kya ho gya...
Azlan: Matlab apne husband ke sath time spend nahi karna tumko bas mom chahiye...
Azka: kya bolte hain aap bhi...aur mujhe unke sath bhi achha lagta hai...
Azlan: Unke sath bhi nahi unke sath hi...meri mom hain ...I love her and also spend time with her ...tumhari tarah nahi din raat...
Azka: main aap dono ke sath time spend karti hu...
Azlan: Toh mere time mei se time kyun de rahi ho...
Azka: Fir wahi competition...
Azka...Hmm...Achha mom ke paas thodi deir rahenge...fir toh chalo ..
Azka: ok thik hai...aap naraaz mat ho...we will go...
They spend sometime with mom and she was really happy that both of them are going out.....
Azka was wearing a red colour outfit with light jewellery...She does a little makeup to finish her look...Azlan comes out of the closet and looks at her...She was looking stunning in that attire...He stands behind her in front of the mirror and their eyes met...Azlan smiles at her and she does too..
She turns around...
Azlan: You are looking very beautiful..
Azka: Thank you..
Azlan: Vaise hmm Ghar mei bhi ruk sakte hain...agar tum chaho toh...tum keh rahi thi na….
He holds her by her waist...She understands what he means by that...
Azka: Nahi..bilkul nahi..ham dinner pe hi jayenge ab...
Azlan smiles and then they go out...
When they step out of the car..he comes to her side and holds her hand..
Azka: Kya kar rahein hain...hath chhod dijiye...
Azlan: kyun? Meri wife ho tum...
Azka: Fir bhi... Chhodiye na ..
Azka just shakes his head in no...and keeps walking...
They enter the restaurant and they are led to their table...
Azlan: What do you want to have...
Azka: Aap apni pasand se dekh lijiye...
Azlan: are you sure...
Azka: Hmm...
Azlan orders the food for them...
He keeps looking at her...
Azka: Kya dekh rahein hain aap aise...
Azlan: Apni khoobsurat biwi ko..
Azka: Kitne cheesy hain aap...
Azlan: Achha...cheesy hu main...Azka meri mohabbat ki kadr nahi karti tum...
Azka smiles at him....
Azka: Achha...Kadr nahi karti main….tabhi ye haal hain aapke...
Azlan: Achha tumhe na dekhu toh kise dekhu btao....kisi aur ko ..
Azka looks at him ..
Azka: Dekh lijiye ..mujhe koi farq nahi padhta...
Azlan: hmm...vo toh maine dekha hai...kitna farq nahi padhta hai tumhe...
Azka stares at him...She knows that he knows about her jealousy....
Tabhi Azka ki nazar ek girls' group par padhti hai jo unhi ko dekh rahe hote hain...Azka ko pehle toh samajh nahi aata then she realises ki Vo inko dekh rahin hain...
Azlan: Azka kya hua...kya dekhne lag gayi tum...
Vo usi direction mei dekhta hai but does not understand ...what's the point...
Azka: Aapki fans ko...jinhe zara bhi sharam nahi hai...aapko taad rahin hain...
Azlan again looks at them but then ignores...
Azlan: Toh main kya karu ....
Azka looks at him squinting her eyes...
Azka: Aap toh rehne hi dijiye..
Azlan: Ab maine kya Kiya ismei..
Azka: Aap hi ka fault hai...
Azka knows that he is too handsome...aur ye ladkiya besharam hain....aise kaun karta hai...
Azlan: Main toh nahi dekh raha na unko...mera dhyan toh sirf tum par hai...
Azka just makes a face... She knows that he is obviously enjoying this...He loves to see her jealous..
Then one girl out of them approaches their table and addresses towards Azlan...
Girl: Hello...My name is muskaan...Are you married and can I ask who's she?
Azlan was surprised as he was approached directly and he looks at Azka who was fuming with anger ..so he feels scared....
Azka was feeling angry ...that girl...approaching his husband... shamelessly asking him about his marital status and their relationship..Aajkal ladkiyo mei koi sharam hi nahi hai.....but before he could reply....
Azka: I am his wife...
Azlan feels slightly relaxed. But then Azka dons a saccharine smile and he understands she is upto something...
Azka: And we have four kids...
Muskaan gets surprised including Azlan...
Muskaan: Four kids? Lagta toh nahi hai aapko dekhke...aapki age toh kafi Kam lagti hai...
Azka: Oh thank you...jaldi shaadi ho gayi thi na meri...paanch saal ho gaye hain ..
Muskaan: Paanch saal mei chaar bachche?...
Muskaan looks at Azlan and he nods his head in yes..
Azka: Par if you are interested then mujhe koi problem nahi hai...I am very cooperative...
Muskaan: Excuse me please ..aur vo chali jati hai...
Azlan was very amused and Azka was angry...
Azka: Bahut khushi ho rahi hogi aapko toh aapki fan aapse shaadi karna chahti hai...
Azlan: Chahti thi...ab nahi...
Azka still remains upset about it....
Azlan: Kya ho gya... chhodo na ab...tumne keh diya na usko....tum important point pe aao ...
Azka: Kya...
Azlan: You want four kids from me?
He holds her hand on the table and starts caressing it...and she understands his meaning..
Azka: Nahi kya baat kar rahein hain aap...
Azlan: Abhi toh tumne kaha...tumhari khawaish hai and I am a very loving husband ...it's my duty to fullfil your every wish...
Azka: Jyada dimag na lagaiye..aisi koi khawaish nahi hai meri....
Azlan: Nahi... keh diya toh keh diya...but I will have to work hard and you will have to give me more time ...five years ...four kids...
Azka starts blushing hearing this and he smiles at her..
Azka: Aap bas apne matlab ki baat hi sochiyega hamesha...koi mauka jaane na dijiyega...
Azlan: Vo toh hai hi...kyun jaane do ..toh decided hai fir ..four kids...
Azka just keep her hand on his head...
Azka; Aisa kuch nahi hai...
Azlan: aisa hi hai aur aisa hi hoga...
Azka just smiles at him...
Azlan then takes out a rose from his jacket and presents it to her..A smile appears on her face..She takes it from him...
Azka: Thank you...it's really beautiful...
Azlan: not more than you...and he smiles at her..
He again holds her hand ...she feels butterflies in her stomach and looks at him with colour donning her cheeks...he was feeling really happy...He loves it when she gets jealous. It gives him a sense of belonging to her ..
Then their order arrives and they have dinner....
In the car...Azlan was driving aimlessly ...they were sharing looks with each other time to time...
Azlan: Kya soch rahi ho tum...
Azka: Kuch nahi ..bas aise hi...
Azlan: Kya fir bhi...four kids…
Azka: Bas bhi kijiye ab...
Azlan: Kyun ...usmei kya galat hai...
Azka: Mujhe ye baat nahi karni...
Azlan: Azka sharmati rahogi toh kaise kuch hoga ...
He winks at her and she again gets shy..
Azka: Aap aisi hi batein karte hain hamesha...
Azlan: toh baat hi kar sakta hu...tum toh kuch karne deti nahi...
Azka: jhoot toh mat boliye Kam se kam...
Azlan smiles at her..
Azlan: Vo toh kuch bhi nahi..abhi toh bahut kuch baki hai... Doctor Azka...
She understands all that and his reference of her as doctor...she does not say anything...
Azlan: Lo...fir se Sharma gayi meri biwi...
Azka just looks at him smiling...
Azka: kitni azeeb si baat hai...ek time tha ki aap mujhe Zara bhi pasand nahi karte the....
Azlan: Hmm...tum ladti thi na mujhse tab ..ab mera khayal rakhti ho ..
Azka usko ghoorti hai...
Azlan: Majak kar raha hu..tab tumhe janta nahi tha na... misconceptions the bahut ..ab janta hu toh mohabaat hi kar sakta hu...aur by the way tumhare khayalat bhi kuch khas nahi the mere barei mei...
Azka smiles at him...
Azka: Haan toh ..aapki harqatein hi aisi thi...
Azlan:Harqatein...achha...maine kya kiya. ..gussa karta tha bas...
Azka: bas gussa...kuch jyada hi bolte the aap... galatfehmiya bhi bahut thi aapko...
Azlan: Kaun si...
Azka: Kya kaha tha aapne mujhse hospital mei...ki main aapse jyada baat karne ki koshish na karu...jaise ki I was dying to talk to you...
Azlan: vo...haan toh tum karna chah rahi thi na mujhse baat...
Azka: Haan toh important baat thi na..mujhe koi shok thodi tha aapse baat karne ka...
Azlan: Main gusse mei tha tab tumko leke ..tumhe dekhte hi mujhe kuch ho jata tha ..
Azka: Hmm....vo toh pta hai...jhela jo hai maine...
Azlan: Achha tum bhi toh sunati thi...Mari baat kaat deti thi...meri baat nahi maanti thi…
Azka: toh main kyun sunti rehti har waqt....aapko toh har baat pe gussa aa jata tha...
Azlan: par main tab bhi tumhare barei mei socha karta tha...I don't know why...
Azka: Vo toh main bhi sochti thi...
Azlan looks at her....sach mei?
Azka: Hmm ..
Azlan: That's something good..Main tab bhi tumhe affect karta tha...
Azka: Not in a good way...
Azlan smiles at her...toh bhi...karta toh tha na...aur ab karta hu vaise good way mei affect...he asks her teasingly....
Azka: Hmm...
Azlan: Main bahut khush hu Azka...
Azka looks at him admiringly...She knows he is happy ..she can see that...
Azka: Mere sath rahenge toh khush hi rahenge...itni achhi wife hu...itna khayal rakhti hu aapka....
Azlan smiles at her ...she is self appreciating herself...
Azlan: vo toh tum ho...par khud hi apni tarif ..ye pehli baar hai...
Azka: Aapka asar hone laga hai...
Both of them smile at each other...
To be continued❤️❤️❤️
Originally posted by: kamleshmehra
Azlan and Azka's Fanfiction:
1st Part- Pg 38
2nd Part- pg 40
3rd Part- Pg 43
4th Part- pg 44
Part 5
In the night also….Vo vahi sab soch raha hota hai…Azka ne akhir kuch kaha kyun nahi… she was just smiling at Zainab…ye kya baat hui… chahe kuch bhi ho.. she is his wife … Usko kuch toh kehna chahiye tha…Contract marriage hai toh kya marriage toh hai…Vo uska husband hai…Kya Azka ke dil me uske liye kuch bhi nahi hai…Koi ladki unke room tak aa gayi par Azka…she doesn’t care…he hates it when he is not able to read her…Hmesha aisa hi karti hai vo uske sath…cold expressions….That empty face….devoid of any expression… is only reserved for him…jaise koi feelings hi na ho…
Kuch Waqt baad Jab Azka room me aati hai toh she does not look at him aur apni jagah pe beth jati hai and starts checking her phone…Azlan use dekhta rehta hai ki shayad vo kuch bole…par vo toh uski taraf dekhti bhi nahi…Azlan se bardhasht nahi hota…
Azlan: Azka....
Azka: haan...
Azlan: mera koi fault nahi tha…mujhe nahi pta usne kyun kiya …par main hath hatane wala tha…aur vo yahan bhi khud aayi thi....
Azka looks at him…
Azka: Aap kya bol rahe hain?
Azlan: I mean..Us waqt mera koi fault nahi tha…Zainab ne aisa kyun kiya..I don’t know..I was also shocked aur main apna hath hatane wala tha tabhi tum aa gayi…vo room me bhi achanak aa gayi thi.. maine usko nahi bulaya....
Azka: Achha…
Azlan: Bas tumne yahi kehna hai..
Azka: Toh main aur kya kahu…Aap btana chahte hain…maine toh aapse kuch nahi puchha…
Azlan: Hmm…Main hi btana chahta hu…tumhe toh vaise bhi koi fark nahi padhta…
Azka: Toh… mujhe kya fark padhna chahiye…
Azlan: Pta nahi mujhe…Shayad padhna chahiye...
Azka: Aapki life hai toh aapki Marzi hai……Aap kisi ka hath pakde ya koi aapka...aur aap usko room mei bulaye ya kuch bhi karein...mujhe kyun fark padhega….
Azlan ko bahut gussa aata hai uski baat sunkar…Akhir kyun fark nahi padhta isko…Zain aur isko dekhkar uska toh jaise dil tut gaya tha…par Azka…uska dil nahi jalta in sab baton se…gussa nahi aata zara bhi…kuch feelings toh sab mei hoti hai....Aisa kaisa ho sakta hai ki vo itna bechain hai yahan aur ye aise normal behave kar rahi hai…jaise kuch hua hi na ho….
Azlan: So you just don’t bother....koi aitraaz nahi hai tumhe kisi bhi baat se....
Azka: Bhala main kaun hoti hu aitraaz karne wali...Aap toh Puri tarah se Azaad hain kuch bhi karne ke liye toh kijiye jo Mann mei aaye...aapko kaun hai rokne wala yahan....
Azlan: Azaad? Tum kehna kya chah rahi ho...aisa kya kar raha hu main..
Azka: Aapko pta hai aap kya kar rahe hain....Bas aapko hamare divorce tak ka wait karna chahiye tha… par agar aapko usse itni mohabbat hai …itni pasand hai vo toh… jo karein …ghar se bahar karein…ghar pe kisi ne dekh liya aur aapki mom ko bata diya toh unhe kafi dukh hoga…
Azlan: Mohabbat?…Kaun si mohabbat …kaisi mohabbat…aur kya karu main bahar jaake… jab maine kuch kiya hi nahi toh…Tumhe yahi btane ki koshish kar raha hu…
Azka: Jo maine dekha hai…vahi bol rahi hu…toh ab aap rehne dein…Majeed safai na dein is barei mei..
Azlan: Azka please ..jo bhi tumne samjha hai...its not true...
Azka: Maine Jo samajhna tha samajh liya aur uske aage mujhe kuch bhi mat samjhayein aap...
Azlan: Toh tum mujhe blame karo aur main kuch kahoon bhi na…Bas tumhe kuch bhi sochne du…
Azka: Main koi blame nahi kar rahi…bas aapko ehtiyaat karne ke liye bol rahi hu…aur aapko vaise bhi kya fark padhta hai ki mujhe kya lagta hai….toh bas chhodein….Hum baat hi kyun kar rahe hain is barei mei…
Azlan: Kya Ehtiyaat rakhu main…Azka aisi koi baat hai hi nahi…Aur mujhe fark padhta is baat se ki tum kya soch rahi ho…
Azka: Achha….Agar Aapko mera zara bhi ehsaas hota toh aap aisa kuch karte hi nahi…Aap jo uske sath itna free ho rahe the...
Azlan: Ehsaas hai mujhe tumhara…..tabhi tumhe samjhane ki koshish kar rha hu ki mera usse koi vasta nahi hai....Aur free hone se tumhara kya matlab…maine aisa kuch nahi kiya…main bilkul apni limit mei hu…
Azka: Hmm.. tabhi toh lounge mei usne aapka hath pakda tha ....aur vo iss tarah betakkaluf hokar yahan hamare room mei aa gayi....kyunki aapka usse koi vasta nahi hai....Agar aap apni limit mei hote toh aisa kuch hota hi nahi…akhir vo khud se kyun aisa karegi agar usko aapki taraf se koi sign na mila ho…kyun iss tarah room mei aa jayegi....
Azlan: Mujhe kya pta ye sab…meri taraf se maine koi aisi baat nahi ki usse.....Vo pta nahi kyun kar rahi hai aisa…
Azka: Aapko kafi pasand karti hai vo aur aap bhi karte hi hain…toh bas fir…iske aage koi bhi baat karna bekaar hai…aur akhir aap mujhe safai de hi kyun rahein hain....aapki marzi hai na...jo chahe karein....I don't care....But ghar se ye sab batein durr rakhein….
Azlan: Azka...meri taraf se aisi koi baat nahi hai...agar aisa kuch bhi hota toh main pehle hi shaadi kar leta usse…tab toh mom ki tabiyat bhi kharab nahi thi…mere paas poora mauka tha usse shaadi karne ka…maine nahi ki na…aur tumhe pta hai ye baat fir bhi tum aise…
Azka uski taraf dekhti hai aur fir apni nazre hata leti hai…
Azka: Believe me please.......agar aisa kuch bhi hota toh accept kar leta main… You know main jhoot nahi bolta..Bharosa nahi karti mujhpe zara bhi?
Azka Jaanti hai ki vo jhoot nahi bolte...aur aisa nahi ki usko unki baton pe yaqeen nahi hai…maan liya ki vo sach keh rahein hain..Par agar inhe vo pasand nahi toh akhir inhone Zainab ko itni liberty lene hi kyun di...Vo inke kareeb aane ki koshish kar rahi thi toh ye mana bhi toh kar sakte the usko.....Vaise toh pehle har kisi pe gussa kar dete the…aur uspe toh hmesha hi....batein sunana shuru kar dete the vo bhi bina reason ke...toh Zainab ko kuch kyun nahi bola…Usko kuch toh kehte….par nahi...inhone kuch nahi kaha hoga usko...Inhe kaunsi parwaah hai kisi ki ....Usko gussa aur badh jatahai ye sochkar...…
Azka jab koi jawaab hi nahi deti toh vo fir se uske expressions read karne ki koshish karta hai… he just wants to see through her for once and then what he see on her face surprises him….She was angry…really angry...There were so many emotions on her face...Anger...frustration...Disappointment ....complain …irritation.iska matlab ki…. she is affected somehow…Vo usse tabse lad rahi hai...batein suna Rahi hai.... chahe Azka na maane par AZKO KO FARK PADHTA HAI …and then a faint smile appears on his face....Vo khush ho jata hai...…Azka uski taraf dekhti hai…aur uski smile dekhkar hairan hoti hai.…yahan uska dimag kharab hua padha hai...aur inhe itni khushi kis baat ki ho rahi hai…
Azka: Kya….
Azlan: tumhe gussa aa raha hai….
Azka: Toh kya..
Azlan: Kuch nahi…bas tumhe gussa aa raha hai….
Azka then realizes ki usne fir se apne Jazbaat Zahir kar diye…nahi nahi nahi…use ye nahi karna tha…usne pehle hi sochliye tha ki she won’t react par usne fir se vahi kiya…usko khud par control rakhna chahiye tha… vo kyun unse ye sab kehne lag gayi? Uska kya haq hai sawaal karne ka…koi bhi toh nahi…Vo kya soch rahe honge uske barei mei...Use ye sab nahi kehna chahiye tha....Uska koi matlab nahi iss .sab se...
Azka: Aisi koi baat nahi…main koi gussa nahi hu…bas aapki mom ki khatir ek baat keh rahi thi…
Azlan: Achha ok…tum kehti ho toh…
Azka uski taraf dekhti hai…vo samajh jati hai…he is being sarcastic about it…
Azlan was now feeling very calm and composed...Azka ki in sab shikayato se vo khush ho gaya tha...ab usko sirf Azka ko samjhana tha....and he knew she will trust his words …
Azlan: Azka…meri baat suno...tum jaisa samajh rahi ho aisa kuch nahi…Mujhe Zainab se koi mohabbat nahi hai aur na hi main use pasand karta hu….main khud uske aise behaviour se surprised hu…I was about to release my hand from her hold..Main khud awkward feel kar raha tha...aur vo room mei bhi achanak aa gayi thi ...Mujhe toh khud uski ye harqat namunasib lagi thi….maine usko bola tha bahar jaane ko par vo nahi gayi aur tabhi tum aa gayi toh main ghabra gaya ki tum pta nahi kya samajh logi…aur haan main usse bilkul nhi milunga tumhare bina...mana kar dunga..Main usmei na pehle interested tha aur na ab ho sakta hu....Uska mujhe nahi pta….par main usse koi bhi aisa rishta nahi rakh sakta aur na hi rakhna chahta hu…
Azka unki taraf hi dekh rahi thi Sara waqt jab vo usse ye sab bol rahe the... aur unke expressions dekhke vo narm padh jati hai....Vo kafi sanjeeda the...…vo sirf yahi bol pati hai...... Kyun..
Azlan: Because I am married….Tumse nikaah kiya hai maine....Contract marriage ho ya kuch bhi ho…chahe koi bhi reason ho…Chahe hamara rishta kaisa bhi ho…aur chahe tum maano ya na maano…tum meri biwi ho aur main kisi bhi haal mei tumse bewafai nahi kar sakta…
Ye sab sunke uske hawase ud jaate hain…Uska dil joro se dhadakna shuru kar deta hai…Vo jaanti hai vo sach keh rahein hai…She can see that in his eyes…read out on his face….Is it all real or is she dreaming……
Azlan: Azka….
Azka comes back in her senses...haan
Azlan: Tum samajh rahi ho na…
Azka: Haan….Haan...
Azlan: Okay….main bahut preshan ho gya tha ki tumhe kaise samjhaunga...thank you for believing me....
Azka was again lost….she just says monotonously….I am sorry…mujhe aapse vo sab nahi kehna chahiye tha…
Azlan smiles....
Azlan: koi baat nahi…Ye toh achhi baat hai ki tumhare dil me jo bhi tha tumne bol diya…aur aage bhi tum mujhse puchh sakti ho kuch bhi…jo tum chaho…
She just nods….. .because she is speechless now…she has too much to digest....
Azlan was very happy about how all this turned out…Atleast now he knows that Azka was deeply affected by this incident…she was trying to hide it well but couldn’t…She was absolutely fighting him like a wife should be…It is giving him some kind of happiness…a ray of hope….She is not at all indifferent towards him as she shows… Azka ko fark padhta hai usse….Use toh vo bahut acchi lagti hai aur ab vo yeh bhi keh sakta hai ki usko usse mohabbat ho gayi hai…Aur koi jawaab nahi hai iske alawa uske iss haal ka..iss bechaini ka… Mohabbat kar betha hai vo usse…Par Azka ka kya jawaab hoga jab vo usko kahega…Maan jayegi ya gussa karegi…Shayad Gussa karegi…Vo gussa hi karti hai hamesha…He smiles thinking of that…Azka aur uska Gussa….
Azka bahut bechain hoti hai sab baton ko leke…Use Azlan Sahab aur Zainab ko dekhke bahut bura laga tha…bahut gussa aya tha….par usne socha tha vo kuch nahi kahegi…Azlan Sahab jo chahe karein…. Par use kyun itna gussa aa gaya…Usko itni jealousy kaise ho gayi … kya ho raha hai usko....Kyun unse shikayatein kar rahi thi…Vo jisse chahe rishta banaye…usko kya…Vo kyun sochne lagi hai Azlan Sahab ke barei me aisa...Vo uske shohar hai bas isiliye ya fir vo unse…
Vo usse bewafai nahi kar sakte…ye baat uske dil ko jaake lagi hai... Par ye toh kuch waqt ki baat hai… Vo toh unka nikaah hua hai toh he is loyal towards their marriage….iske alawa aur koi wajah nahi….Unke talaak ke baad kaunsi wafa nibhani hain unko..koi nahi....Aur kuch time pehle toh usne khud kaha tha unse ki vo shaadi karlein kisi aur se uske baad…par kya vo sach mei aisa chahti hai…nahi…Vo preshan ho jati hai ye sochkar…Ye sirf ek contract hai aur use isse aage nahi sochna chahiye....Kuch aur sochna bhi galat hai...Haqeeqat yahi hai ki she has to go from here...
Next day vo Azlan se baat karne ka sochti hai...Par use subah time hi nahi milta toh vo sochti hai ki raat ko unse baat karegi…
Azlan was working on his laptop...
Azka: Aap busy hain?
Vo uski taraf dekhta hai...
Azlan: Nahi....kya hua?
Azka: Mujhe aapse kuch baat karni thi...
Azlan apna laptop side rakh deta hai and slightly turns towards her...
Azlan: Haan bolo...
Azka: Aap mujhe talaak kab de rahein hain?
Azlan uski baat sunke hairaan ho jata hai..vo fir se achanak aisi baat kyun kar rahi hai...aisa kya ho gya ab?
Azlan: Kya hua hai? Tumse mom ne fir se bachche ke barei mei baat ki hai? dekho main mom se baat karunga ki vo abhi...
Azka interrupts him...
Azka: nahi aisi koi baat nahi hai...unhone kuch nahi kaha mujhse...
Azlan: Toh fir tum kyun?
Azka: kya matlab aapka...ye toh hona hi hai na toh isiliye... mujhe mere Ghar mei bhi toh baat karni padhegi..unhe bhi toh sab kuch samjhana hai...I know ekdum se nahi ho sakta…fir bhi aap bta dete mujhe ki kab…toh main us hisaab se dekh leti apne ghar ka…
Azlan: toh kya tumne socha liya tum kya kahogi unse?
Azka: Vo bahut dukhi honge ye jaankar...Unhe toh yahi lagta hai ki Hum ek dusre se bahut mohabbat karte hain...khush hain sath mei...
Azlan: Jaanta hu main ye baat...tabhi puchh rha hu....
Azka: Aap ye mat sochein ki main kidney wali baat unko bataungi...Main unse yahi kahungi ki hum dono ne bahut koshish hai ki ye rishta nibhane ki...khush rehne ki par hamari soch kafi different hai...khayalat nahi milte aur hum adjust nahi kar pa rahe abhi tak bhi...toh hamne mutually decide Kiya hai separation ka...
Azlan: tumhe lagta hai ye kafi hai...shaadi ko din hi kitne huae hain Azka….Vo ye nahi puchhenge ki fir shaadi ki hi kyun...
Azka: hmmm vo puchhenge....Main keh dungi...Ki Hum hospital mein jab mile the toh hum kareeb aa gye the thoda because jo bhi situation thi aapki mom ke sath..toh uske basis pe hi aapne aur maine decide Kiya tha shaadi ka...
Azlan: Aur Vo Maan lenge...
Azka: Mere gharwale jante hain ki Aapki aur meri banti nahi thi pehle...aur jab maine iss shaadi ke liye haan ki thi toh vo hairan bhi the aur preshan bhi...fir bhi unhone mujhe support Kiya tha toh main yahi sochti hu ki abhi bhi vo mera sath denge aur mere decision ki kadr bhi karenge...
Azlan uski tarah dekhta rehta hai aur sochta hai ye sab kuch sochke bethi hai...
Azlan: Tumne toh kafi kuch soch liya...par ye sab kafi nahi hai...nayi nayi shaadi hai hamari... aur adjust hone mei time lagta hai...ye reasons valid nahi hain....
Azka: Hmm...par aur koi option bhi nahi hai mere paas...mujhe unhe convince toh karna hi hai kaise na kaise..main soch lungi kuch…
Azlan: Tumse ek baat puchhu...
Azka: Hmm...
Azlan: Agar maine us waqt contract na kiya hota toh tum sochti iss rishte ko nibhane ka...
Azka: Aap fir vahi puchh rahein hain...aapki mom ki khatir?
Azlan: Nahi main vo nahi puchh raha..main sirf apni aur tumhari baat kar raha hu...
Azka: Aap kya puchh rahein hai mujhse?
Azlan ke dil mei jo sawaal tha uske liye use words nahi mil rahe the sahi ki vo usko kis tarah se samjhaye apna sawaal...toh vo bahut soch samajh ke aur sambhal ke bolna shuru karta hai….
Azlan: Mera matlab...Maine contract kiya......par agar nahi karta...ek normal shaadi ka kehta ki we can try to work it out...chahe past me jo hua ho...toh mujhe shohar maan leti aur rishta nibhane ki koshish karti….I mean Bahut log hote hai jo kisi reason se shaadi karte hai...par baad mei bahut achhi Zindagi gujarte hai ek dusre ke sath aur khushi se...
Ya chalo contract bhi hai...toh tumne kabhi bhi...I mean ek pal ke liye ...kabhi socha ki hum sath reh sakte hain...hamesha....tumhe us waqt laga ya tum chahti ki talaak na ho aur hum sath reh jayein..tumhare mann mei aaya ye khayal kabhi bhi.....
Azka uski taraf dekhti rehti hai...aur vo shayad unka sawaal kafi hadd tak samjh gayi thi ya nahi bhi samjhi...use nahi pta.... fir bhi vo bahut soch rahi thi ki vo kis tarah se jawaab de unko...
Azka: Azlan Sahab…Aapne jab shaadi ki baat ki thi toh aapne saaf saaf kaha tha ki ye bas aapki majboori hai ... khawaish nahi hai ...jo ki sach tha kyunki meri bhi majboori thi...main aise insaan se shaadi nahi karna chahti thi kabhi bhi jo mujhpe zara bhi trust nahi karta... respect nahi krta... mohabbat toh Durr ki baat hai...Contract hota ya na hota….
Agar aap sirf zubaani keh dete ki Azka...kidney transplant ke baad tumhe divorce de dunga…main tab bhi Maan jati ...Kyunki main bhi aise rishte mei nahi rehti jahan mera shohar mujhse mohabbat hi na karta ho….Kher aapko trust nahi tha toh Zahir si baat hai aap contract hi karte...toh iss sab mei main ye kabhi nahi soch sakti thi ki hum sath rehte...mujhe pehle se pta tha iss shaadi ka maqsad..aur aap kya chahte hain...toh maine Aisa kuch nahi socha tab...
Azlan: Hmm...samajhta hu main tumhari baat...par aaj...aaj kya sochti ho tum...ab tumhe kya lagta hai...Kya chahti ho…
Azka: Ab iss barei mei kya sochna hai...sab kuch pehle se decided hai...main kya soch sakti thi ya kya chah sakti thi .... Kya fark padhta hai...Jo tey ho chuka hai...vo ho chuka hai...
Azlan: Mom nahi manengi...
Azka: Main jaanti hu...mujhse mohabbat karti hain vo...Hame hamesha sath dekhna chahti hain....Par aapko unhe btana toh padhega hi ..aap baat kar lena fir main bhi unse baat karungi..ki main aapke sath...
Azka uski aankhon mei dekhti hai aur chup ho jati hai...usse aage bola nahi jaata...
Azka: Aap samajh rahein hain...
Azlan just nods...Aur vo chala jata hai room se bahar...
Azka’s eyes start flowing after that...She was holding herself for so long... Azlan Sahab se alag ho jana uske liye asaan nahi ho pa raha .. bas use samajh nahi aa rha ki vo kyun itna ro rahi hai....Kya ho gya hai usko...vo bhi toh yahi chahti thi aur use pehle se pta tha toh kya badal gya hai...Kyun use itna dukh ho raha hai....
Azlan was too overwhelmed...Azka usse alag hona chahti hai ....kya usko apni mohabbat paane ka koi haq nahi...Jab vo Azka se mohabbat nahi karta tha toh vo uski zindagi mei aa gayi aur ab jab vo usse itni mohabbat karta hai aur uske bina nahi rehna chahta tab vo usse durr ja rahi hai....Kya allah talaa ne uski kismat mei sirf tanhai likhi hai...Kya Azka ko uski ankhon mei mohabbat dikhayi nahi deti... A lone tear escapes his eye...
When he returns to the room...Azka was sleeoing on her side....He also lies beside her and keep looking at her sleeping figure...She has traces of tears on her cheeks... He thinks about her....Why was she crying...because she has to get separated from him...kya ye wajah ho sakti hai....Kya vo alag nahi hona chahti aur contract hai bas islye talaak mang rahi hai kyunki vo chahta tha aisa.... toh kya vo uske sath rehna chahti hai....pta nahi....ye toh waqt hi batayega ki Azka ke dil mei kya hai...Par uske dil mei toh bas Azka hai aur vo usko khud se durr jane nhi dega chahe kuch bhi ho jaye...With this determined thought, he sleeps....
Next Morning…at the dining table…
Azka: Vo mujhe apne ghar jana tha thodi deir ke liye…
Azlan: Mere sath chalo …I will drop you…
Azka: nahi abhi nahi…I will go in the afternoon…
Azlan: ok…driver ke sath chali jana fir…I will pick you up after office…
Azka: Hmm…
Azka apni ammi ke ghar hoti hai….aur tabhi Abid wahan aata hai …Azka usko dekhke hairan ho jati hai kyunki vo toh jail mei tha…
Azka: Aap yahan kaise? Aap toh?
Abid: Tumne kya samjha tha…main Jail me hi rahunga…Aur ye kya sun raha hu main tumne nikaah kiya hai kisi ameer ladke se…
Azka: Dekhein…Mera nikaah ho chuka hai…Ab mera pichha chhod dijiye?
Abid: Kya matlab hai tumhara….Pichha chhod do…Main tumhe kabhi nahi chhodunga…Tum sirf meri ho….ye wahi ladka hai na jo tumhe pehle ghar chhodne bhi aaya tha…Mujhe pehle hi samajh lena chahiye tha ki tumhara koi chakkar chal raha hai uske sath…Usi waqt uske hosh thikane laga deta…..
Azka: Main na tab aapki thi aur na kabhi ho sakti hu…Aur zara tameez se baat kijiye....Mere shohar hain vo ... Kisi ki biwi hu main ab…toh please ab ye sab band kijiye…
Abid: Azka…use Jaan se maar dunga main…Tum sirf meri biwi banogi…Jald hi tumse nikaah karunga… Uske jiteji ya uski maut ke baad….Tumhe kya lagta hai tum kisi se nikaah kar logi toh main jaane dunga tumhe…tumse mohabbat karta hu….Kya tumhe zara bhi ehsaas nahi hota meri mohabbat ka…Itne saal ho gaye…Maine tumhara bahut intezaar kiya hai….toh ab kaise chhod du…Aisa toh nahi ho sakta…
Azka darr jati hai…Kahin Abid sach me Azlan Sahab ko kuch nuksaan na pahuchaye….
Azka: Par main Aapse mohabbat nahi karti….Aapko ye baat samajh kyun nahi aati…Aur ab toh meri shaadi bhi ho gayi hai….main kabhi bhi aapse shaadi nahi karungi…chahe kuch bhi ho jaye…Aap mujhe preshan karna band kar dijiye…Aap jo chah rahein hain …aisa kabhi nahi hoga….
Abid: Acha mujhse koi mohabbat nahi hui tumhe itne saalo mei...aur apne kal ke aaye shohar se ho gayi...
Azka: Haan ho gayi bas...mere shohar hain vo....aur mujhe aapse koi baat nahi karni... jayein yahan se....
Abid: Mujhe isse koi fark nahi padhta…main tumhe apna banake rahunga bas….Tum chaho ya na chaho….
Azka ko bahut gussa aata hai ye sab sunke….Aap Jayein yahan se….Varna main shor machake sabko bula dungi…
Abid: Ja raha hu…lekin tumhe lene aaunga….samjhi tum…Tumhari mohabbat pe sirf mera haq hai…Aur tumhare us Shohar ko toh main chhodunga nahi…
Azka ko samajh nahi aata vo kya kare….Azlan Sahab ko btade…nahi unhe involve karna thik nahi…Abid ka kuch bharosa nahi…Agar isne sach me unko…she gets upset…
In the evening Azlan takes her home….Abid unhe jaate huae dekh leta hai toh he follows them and when they enter their home then Abid also comes in….
Azlan was talking on phone toh vo aage chala jata hai .. Azka piche hoti hai tabhi Abid aake uska hath pakad leta hai…Azka use dekhke ekdum ghabra jati hai aur Azlan ki taraf dekhti hai par vo toh aage chala gya hota hai….
Abid: Yahi hai na vo tumhara ameer shohar….Isike chakkar me tumne mujhe chhoda hai na…
Azka: maine aapse pehle bhi kaha hai ki mera aapse koi vasta nahi hai…Chhodein mera hath…
Abid: Nahi chhodunga…Chalo mere sath tumabhi…Tumhe kya laga tha main tumhe iske sath rehne dunga…tumhe abhi ke abhi mere sath chalna hai…ham abhi nikaah karenge….He tries to pull her….
Azka ko bahut gussa aata hai aur vo uspe chilla padhti hai...
Azka: chhodein mera hath…mujhe kahin nahi jana aapke sath…Nikaah ho chuka hai mera…Chhodein mujhe….
Tabhi Azlan unki Awazein sunkar mudta hai aur dekhta hai ki ek aadmi ne Azka ka hath pakda hua hai…
Azlan foran hi bhagta hua wahan aata hai…Aur abid ko dhakka de deta hai…
Azlan: tumhari himmat kaise hui uska hath pakadne ki…Ho kaun tum?….Azka tum andar jao….
Azka aur ghabra jati hai Azlan ka gussa dekhke...
Azka: Nahi main aapko chhodke nahi jaungi…
Abid ko gussa aata hai ye sunke…
Abid: Ye meri hone wali biwi hai…aur main ise yahan se leke ja raha hu…Isse nikaah karunga…
Azlan: Kya bakwas kar rahe to tum…Ye meri biwi hai…durr raho isse…dobara hath lagane ki koshish bhi mat karna…
Abid: Azka ….btao ise…tum meri mangetar ho….hamari shaadi hone wali thi….
Azka: Nahi ye jhut bol rahein hain…Aisa kuch bhi nahi hai….
Abid: Azka maine tumhe kaha hai tum sirf meri ho aur main tumse shaadi karke rahunga…chahe kuch bhi ho jaye…Mujhe koi rok nahi sakta….
Azlan ko bahut gussa aata hai aur vo uska collar pakad leta hai…Apni Zubaan se naam bhi mat lena iska…Tum isko kya iske saaye ko bhi nahi chhu sakte..Shaadi toh bahut durr ki baat hai….Aaj ke baad hamare aas paas bhi nazar aaye toh jaan le lunga tumhari…He pushes him away and asks his guards to throw him out….
Azka bed pe hairaan preshan bethi hoti hai….Azlan uske liye panni leke aata hai....
Azlan: Azka…Kaun hai vo…aur iss tarah ki batein kyun kar raha tha?
Azka: Vo…Vo Abid hain… Kanwal Bhabhi ke cousin…Mujhse shaadi karna chahte the…kafi salon se mere pichhe padhe the…Ek baar toh unhone dhoke karke mujhse shaadi karne ki koshish bhi ki thi…par allah ke karam se main bach gayi…Par unhone mera pichha nahi chhoda…Mana karne ke bavjood bhi baar baar rishta leke aa jate the…mujhe bahut preshan karte the…Fir Kanwal Bhabhi ne police complain karke unhe jail bhijwa diya…Par ab vo bahar aa gayein hain toh fir se mere pichhe padh gye hain…Vo mujhse abhi bhi nikaah karna chahte hain …..
Azlan: Par vo tumse nikaah kaise kar sakta hai…Tum toh already mere nikaah mei ho…
Azka: Unhe is baat se koi farq nahi padhta…vo bas mujhe pana chahte hain….obsessed hain…itne saal ho gaye par unhe abhi bhi samajh nahi aayi…Isiliye mujhe zabardasti apne sath le jana chah rhe the….taki nikaah kar sakein…
Azlan ko ye sab sunke bahut gussa aata hai….Azka ne kitni preshani mei life gujari hai…Abid Azka ko harass karta aaya hai….Unke ghar me koi male member bhi nahi jo usko protect kar sakta…Par ab aisa kuch nahi hoga…Vo hai ab Azka ke liye…Abid ki himmat kaise ho gayi ki vo isse shaadi karne ki baat bhi kare…Vo uski biwi hai…Jaan le lega vo Abid ki…usne agar Azka ko nazar uthake dekha bhi toh…
Azlan: Tum chinta mat karo…Aisa kuch nahi hoga….main sab dekh lunga…
Azka: Aapka bahut shukriya…aapne meri help ki aaj….par Aap iss sab se durr rahein…ye mera masla hai…main dekh lungi…Kanwal Bhabhi ko bta dungi…vo inki ammi se baat kar lengi…sab thik ho jaega…
Azlan: Tum kaisi baat kar rahi ho Azka…Tum Biwi ho meri…tumhari protection meri zimmedari hai....Aise kaise main iss sabse durr rahoon…
Azka: Azlan Sahab…ye meri problem hai aapki nahi hai…Aapko mere liye kuch bhi aur karne ki jarurat nahi hai…aur vaise bhi aap kab tak meri help karenge…Mujhe kuch waqt mei yahan se jana hai…tab bhi toh mujhe khud hi dekhna hoga na…aap rehne dijiye please…main khud manage kar lungi…Ye kehke vo chali jati hai wahan se….
Azlan ko bura lagta hai ye sab sunke…Vo janta hai Azka bas usse duri banake rakhna chahti hai..Uski koi madad nahi chahti…Par vo Uski responsibility hai…It is his duty to protect her as her husband…lekin Azka aisa nahi samajhti …Use apna shohar bhi nahi manti…apna koi haq nahi samajhti….Par vo toh maanta hai na…usse mohabbat bhi karta hai….aur vo apna farz jarur nibhayega…Azka chahe kuch bhi kahe…
Azka kitchen mei hoti hai aur sari baton kebare mei soch rahi hoti hai… Ab vo Kya samjhaye Azlan Sahab ko…Abid toh criminal hai…kuch bhi kar sakta hai…Usne toh unko maarne ki dhamki bhi di hai… vo aisa nahi hone de sakti…Behtar yahi hai ki Ye durr rahein iss maamle se…Aur vaise bhi vo unki zimmedari nahi hai…kuch waqt mei talaak ho jaega…tab bhi toh Abid hoga aur use khud hi handle karna hoga…Vo iss sab se bhaag nahi sakti…Use kal hi Kanwal Bhabhi se baat karni hogi taki iss problem ka koi hal nikle…
In the night…both of them were lying on their side …..lost in their thoughts…tabhi unhe shor sunayi deta hai….Dono window ke paas jaate hai toh dekhte hain ki Abid ne ek Guard ko injure kar diya hai…He is in the garden …..he has pistol in his hand and guards are also trying to fight him…Azka darr jati hai…Azlan bahar jaane lagta hai…but Azka helds his arm…
Azka: Aap kahan jaa rahein hain?
Azlan: Bahar…tum yahi rehna…kuch bhi ho bahar mat aana….okay…
Azka: nahi please…aap bahar mat jayein…please nahi…
Azlan: Azka kuch nahi hota…main dekh lunga…tum preshan mat ho…
Azka: Nahi…main nahi jaane dungi…Vo aapko kuch kar dega..usne mujhe kaha bhi tha…Please mat jaiye…
Azlan hairaan hota hai ye sunke …..Kya isiliye vo chahti thi ki vo iss sab se durr rahe…Usko uski itni parwaah hai….
Azlan: Kuch nahi hoga…main bol raha hu na…
Azka: nahi….please…aap yahin rahiye…mat jaiye…Uske sar pe toh khoon sawaar hai…Vo sach me kuch kar dega…Usko koi farq nahi padhta iss sab se….Us par bas mujhe paane ka junoon hai….
Azlan Azka ki haalat dekhta hai…Vo bahut ghabrayi hui hoti hai….
Azlan: Acha ok…main yahin hu…kahin nahi ja raha…..bas police ko phone kar raha hu…you just relax…
Azlan police ko phone karta hai….and within minutes police reaches there…and arrests Abid…
Then Azlan goes outside...settles the matter and the injured guard is sent to hospital for treatment…
Azlan enters the room again aur Azka asks him about Abid…
Azlan: He is arrested ….so don’t worry…he won’t bother you again… okay…
Azka nods and thanks him…
Azka: Aapka Bahut Shukriya…Aapne mere liye itna kuch kiya…Aur mujhe maaf kar dijiye…meri wajah se aapko itni problem hui…Shukar hai Aunty ko kuch pta nahi chala….vo toh bahut preshan ho jati…
Azlan: Isme kaunsi badi baat hai…I am your husband toh ye toh mera farz tha na tumhe protect karna…Aur tum sorry kyun bol rahi ho…ismei tumhara koi fault nahi hai…Jiski galti hai..usko saza mil jaegi…
Azka use dekhti rehti hai par kuch nahi bolti…
Azlan: Tum preshan ho gayi thi mujhe leke…Tumhe meri itni parwah hai mujhe pta nahi tha….
Azka looks in his eyes and then they get lost in eyelock..but then Azka comes back to the reality and says...
Azka: Azlan Sahab….Jaan kisi ki bhi ho…bahut kimti hoti hai…aur meri wajah se kisi ko jaan ka khatra ho main aisa kabhi nahi chahungi….
Azlan just smiles at her…nods... and asks her to sleep…
Azlan was thinking about whatever happened …Azka kabhi nahi kahegi ki she cares for him but he knows ki usko hai parwah…Agar aisa na hota toh vo use bahar jaane se nahi rokti…Vo jitna preshan ho gayi thi usko leke…he can’t ignore this fact…Vo jaanta hai Use hi saare faasle tey karne hain…Unke bich ki duriyo ko mitana hai…Vo uski taraf dekhta hai...She was just an arm length away...Uska dil chahta ki use khich ke apne seene se lagale aur kahe ki vo safe hai uske paas...Par Abhi vo waqt nahi aya…
Azka was thanking the god ki Azlan Sahab ko kuch nahi hua aur Abid arrest ho gaya…unhone uski bahut badi madad ki hai...Agar vo na hote toh Abid toh usse nikaah kar leta…tab kya hota...Par uski Wajah se aaj unki jaan khatre me padh gayi thi…Vo toh mar hi jaati agar unko kuch ho jata toh…Allah ka shukar hai sab thik ho gaya….Ab jab vo yahan se chali jayegi toh atleast Abid ki taraf se koi problem nahi hogi aur vo sukoon se reh sakegi…Akhir kuch toh asaani hogi uski Zindagi mei…
To be continued❤️❤️❤️
Azlan is a smart man usko azka ke dil me kya hai ye pata chal Gaya hai😊after all aise hi thodi Itna bada business man ban Gaya lol
Azka feel jealous but azlan ko silence treatment de rahi thi 😆typical Wife thing..Azlan jis tarah apne aapko clear kar raha tha azka ke saamne that was cute..pyaar ho Gaya hai janab ko ❤️
Abid aaya and chala bhi Gaya🤣but jate jate Azlan ka kaam kar gaya 😉
Now waiting for Azlan’s confession
Originally posted by: kamleshmehra
Azlan and Azka's Fanfiction:
1st Part- Pg 38
2nd Part- Pg 40
3rd Part- Pg 43
4th Part- Pg 44
5th Part- Pg 46
Part 6
Next day, Azlan calls Azka to be ready in the evening as they have to attend a business party....
When he returns home ... Azka was not ready...
Azlan: Tum ready nahi hui abhi tak...
Azka: mujhe time ka dhyan nahi raha...Aap change kar lijiye.. maine aapke kapde nikal diye hain...Main ho jaungi jaldi se...
Vo bahar jaane lagti hai apne kapde leke...
Azlan: Tum kahan ja rahi ho...
Azka: Aunty ke room mei...main wahan ready ho jaungi…
Azlan: nahi tum yahin raho...main dusre room mei chala jata hu...
Azka nods and after he leaves ...she starts getting ready....
When Azlan returns to the room ...she was wearing jewellery...
He looks at her...she was looking so beautiful in that pink dress...her persona exuded simplicity and elegance...Vo us par se apni nazre nahi hata pa raha tha...
Azka looks at him though mirror...
Azka: Kya hua...
Azlan comes out of his stupor .......Haan...
Azka: Kya hua..kya dekh rahein hain?
Azlan: kuch nahi..kuch bhi nahi...
Azka: bas do minute ...I know late ho gaye...
Azlan: koi nahi...
Azka finishes her look and turns towards him...
Azka: Chalein...
Azlan: haan kya...
Azka: maine kaha chalein ab...
Azlan: haan haan..chalo...
They go to the party...and talk to several people there..Somebody calls him so he excuses himself from Azka and goes to meet one of his associates...Tabhi Zainab Azka ke paas aati hai...
Zainab: Hello Azka...kaisi ho tum?
Azka: I am fine...Aap kaisi hain?
Zainab: I am good..Azlan Kahan hai?
Azka: Yahin hain....apne kisi associate se milne gaye hain...abhi aa jayenge...
Zainab: Hmm...aur btao kya chal raha hai..
Azka: Kuch khas nahi..routine...
Zainab: if you don't mind, can I ask you something?
Azka looks at her...ki akhir usko usse kya puchhna hai...
Azka: Aisi kya baat hai...
Zainab: Tum aur Azlan...
Azka samajh jati hai ki fir ye uske aur Azlan Sahab ke relationship ke barei mei Janna chah rahi hai...aunty ne bta toh diya tha isko...ab usse kya Janna hai...
Azka: aapko aunty ne bta toh diya tha sab...
Zainab: Nahi unhe sab kuch toh pta nahi hoga na...
Azka: Aapko Aisa kya puchhna hai...
Zainab: Main Azlan ki friend hoon toh I just care for him...hope you don't mind..
Azka knew she wants to be more than just his friend...Jhooti kahin ki…
Azka: Ok...bataiye....
Zainab: Azlan kafi hot headed hai..decisions immediately le leta hai...toh tum dono aapas mein khush ho...I mean mujhe lagta hai ki jaise usne aunty ki khatir tumse shaadi karli...please galat mat samjhna...I am just looking after him as his friend...
Azka: Jii...Vo hot headed hain ye mujhse jyada kisko pta hoga...meri aur unki banti nahi thi pehle...Jab unki mom ki tabiyat kharab hui thi...we both came to an understanding and took that decision...he is a good man...and I am happy with him...
Zainab: Oh ...vo pyaar karta hai tumse ..
Azka ko gussa aata hai uske iss sawaal pe...Ye Azlan Sahab aur uska personal matter hai...Vo kyun btaye ye sab usko..hadd ho gayi..But she controls herself...
Azka: Aapne unse nahi puchha?
Zainab: puchaa tha indirectly...but usne kuch btaya nahi iss barei mei...
Azka: Vo apni feelings har kisi ko nahi btate...bura mat maniyega...I understand ki Aap unki friend hain par fir bhi vo aapse shayad ye sab na discuss karein...it's too personal for him...
Zainab ko bahut gussa aata hai ye sunke...Azka khud ko samajhti kya hai..Just because she is his wife...vo usko aise kaise keh sakti hai...
Azka: Mera matlab...vo jyada kuch kehte nahi hain....par mujhe ye toh bilkul pta hai ki Vo mere alawa kisi aur se shaadi nahi karte..
Zainab: Toh tumhe lagta hai ki use tumse mohabbat hai...usne kaha hai kabhi?
Isse pehle ki Azka kuch kehti...Azlan wahan aa jata hai aur ye sun leta hai...
Use achha nahi lagta ki Zainab fir se unki personal life ke barei mei janne ki koshish kar rahi hai...aur Uski wife se ye sab puchhne ka kya haq hai usko....ye Azka aur uska personal matter hai....kahin Azka fir se kuch galat na samajhle..
Azlan: Har baat kehne ki jarurat nahi hoti Zainab...Kuch batein khud hi samjhi jati hain..aur mere aur Azka ke bich mei bahut achhi understanding hai...toh main kabhi na bhi kahu toh bhi usko pta hai mere dil mei kya hai...And she knows ki uske alawa main kisi aur se shaadi nahi karta...She is my wife so obviously we have a lovely relationship....
Azka hairan ho jati hai Azlan ka Jawaab sunkar and looks at him...unhone kuch jyada hi bol diya.....Kya ye sirf Zainab ko dikhane ke liye hai...yahi hoga...
Azlan smiles at her....
Zainab: Azlan main toh vaise hi puchh rahi thi...
Azlan: Ok..jo bhi ho...Its too personal for us...please understand... and don't bother my wife with this...
Zainab: I am sorry...I did not mean it like that...
Azlan nods...Well hame deir ho rahi hai...we should go...Azka chalein...
Azka was already too surprised to say anything....She just nods at Zainab in greetings and leaves with him...Zainab feels very upset about all this...Azlan is too engrossed in his wife...and she can't do anything now....
Azlan car drive kar raha hota hai aur Azka ki taraf dekhta hai...She was lost in her thoughts..
Azlan: Azka..
Azka: Hmm...
Azlan: Zainab ne tumhe kuch kaha hai kya...
Azka: Kya matlab...
Azlan: Nahi tum kisi baat se naraaz toh nahi ho...Tumhe pta hai na ki Mera usse ...
Azka: nahi...aisi koi baat nahi hai...mujhe pta hai sab..
Azlan: Vo kya keh rahi thi tumse ..
Azka: Aapke barei mei?
Azlan: kisi bhi barei mei..
Azka: Usko lagta hai ki aapne mujhse aunty ki kahtir shaadi ki hai....sach bhi hai vaise...toh yahi puchh rahi thi ki aapka aur mera relation kaisa hai? Mohabbat hai ya nahi?
Azlan: Tumne kya kaha...
Azka: Vahi jo aapne kaha tha...
Azlan: Sahi kaha fir...
Azka uski taraf dekhti hai and he just smiles at her...
Vo sidha dekhne lag jati hai...kuch bhi keh dete hain bas...Ab iska kya matlab hua...Vo toh bas us Zainab ko btana chahti thi ki she is Mrs. Azlan aur vo jyada khwaab na dekhe faltu mei...Azlan Sahab se vo alag bhi ho jayegi toh bhi vo us Zainab se toh kabhi bhi shaadi nahi karenge...she smiles at this thought...
Azlan: Kya soch rahi ho...kis baat pe itni khush ho rahi ho..
Azka: Kuch nahi...aise hi bas...kuch yaad aagya tha...
Azlan: Ok...and he also smiles at her...
In the morning, she tries to get up but feels weight on herself....She opens her eyes and finds herself hugging him...He has her right hand around her waist and she was also clinging to him with her head touching his chest..She moves his head upwards and looks at his face....he was too close to her...She smiles and then immediately it fades as realisation dawns on her ...She tries to move and it disturbs his sleep too...Azlan also opens his eyes and comes across beautiful face of his wife...Both look at each other...
Azka: Aap yahan kya kar rahe hain?
Azlan looks at her surprisingly...
Azlan: Main toh yahin sota hu...
Then Azka looks at her surroundings and then realises that she had moved in her sleep and trespassed in his place....
Azka again looks at him...and keeps looking at him curiously as to why is he not leaving her...
Azlan was also looking at her in curiousity as to why is she looking at him like that...
Azka: Kya?
Azlan: Kya?
Azka: Kya dekh rahein hain aap?... Chhodiye na...
Azlan then realises that Azka is still in his hold...
Azlan: Oh haan... sorry....
And he leaves her...she immediately moves...gets off the bed and rushes to the washroom...
A full bloom smile appears on his face seeing her antics... ....was she in his arms the entire night...this thought excites him....
Azka was in the washroom and bashing herself regarding the thoughts she was having for him...Ye galat hai…vo toh sirf Azlan sahab ki mom ke liya hai yahan bas aur kuch nahi.. use apne ghar jana hai….Is tarah ki feelings kyun aa gayi hai uske dil mei unke liye…. Vo toh usse mohabbat bhi nahi karte…Par vo karne lagi hai?… shayad...pta nahi...she gets upset.
Azka mom ke room me hoti hai…
Mom: Azlan chala gya kya beta?
Azka: Nahi…vo bas aate hi honge aapse milne……
Mom: Hmm mujhe bahut zaruri baat karni thi tum dono se…
Azka soch me padh jati hai ki kahin vo fir se grandchild ki baat na karein…..
Azlan: good morning mom….
Mom: good morning beta…kuch baat karni thi tumse….
Azlan: haan mom boliye na…..
Mom: Main Walime ka soch rahi thi….
Azlan and Azka both look at each other surprisingly…
Azlan: Mom Walima…
Mom: haan Walima…vo toh main bimaar padh gayi par walima toh karna hai na iska…Mujhe iske sare armaan poore karne hain….vaise bhi jab se tumhari shaadi hui hai…Ye bas mera khayal rakh rahi hai…bas bahut jald ek Zabardast walime ka arrangement karna hai tumne…thik hai na…
Azlan: Okay….
Azka gets puzzled but kuch nahi kehti…Kaunse armaan….Koi armaan nahi the uske mann mei iss shaadi ko leke…aur ab jo sochein uske mann mei aa rahi hain…use toh kuch bhi karke unhe khtm karna hai bas…Sab unke sath rehne ke natija hai…Varna pehle vo kabhi unke barei mei aisa nahi scohti thi…
Office mei bethe bethe Azlan yahi soch rha hota hai ki Azka ko kaise bataye…Vo toh hamesha bas talaak ki baat karti hai….Use Azka se baat karni padhegi ki vo use jane nahi de sakta… bas use Azka ko apni mohabbat ka yaqeen dilana hai…Shayad vo maan jaye…par tab bhi nahi maani toh…nahi…Pehle use Azka ko apni taraf mayal karna hoga fir hi vo usse apni mohabbat ka izhaar karega….yahi thik hai…
Raat ko jab vo room me aata hai toh Azka ko couch pe bethe dekhta hai…
Azlan: ye kab aaya...
Azka: Maine pehle se order kiya hua tha but delivery late ho gayi....
Azlan: toh fir....
Azka: toh fir kuch nahi…I will sleep here....
Azlan: Nahi….Uski koi Zarurat nahi hai....Yahan aake so jao…Vo samajh jata hai ki Azka subah wale incident ki wajah se aisa kar rahi hai…
Azka: Nahi...main comfortable hu yahan…vaise bhi ye hi meri jagah hai…Azka ko subah ka waqya yaad tha toh usne jaldi mei vo couch kharid liya tha... Use unse duri banake rakhni hai bas…
Azlan: Azka tum meri biwi ho aur iss ghar ki bahu….tumhara pura haq hai sab cheejo pe… we are married toh tum yahan so skti ho…Koi galat baat nahi hai…..subah jo bhi hua…hum dono ka fault nahi tha…ho jata hai aisa and its ok….
Azka: Nahi …Aapko aisi koi bhi baat nahi kehni chahiye jo sach nahi hai…iss ghar mei meri kya haisiyat hai main kabhi nahi bhuli…na hi bhulna chahti hu… Kaagzi rishta hai hamara bas aur kuch nahi …..Mera aapse kisi bhi lihaaz se betakkaluf hona zayaz nahi hai…aur meri jagah bhi aapke sath nahi hai…na thi aur na hi kabhi ho sakti hai…mera wahan hona galat hi hai…aapko shayad iss baat se koi fark na padhta ho par mujhe padhta hai.. ab vaise bhi Sirf kuch dino ki baat hai…main apne ghar chali jaungi…fir sab pehle jaise ho jayega…Sab kuch thik….
Azlan feels bad…Usne shaadi ki raat jo kaha Azka ke dil pe aaj bhi vo sab naksh hai…Vo kuch bhi nahi bhuli itne dino mei…
Azlan: Azka idhar aa jao...Mujhse tumse baat karni hai…
Azka unki taraf dekhti hai aur unko serious dekhkar wahan aa jati hai….
Azlan apni jagah se uthta hai aur uske saamne aake beth jata hai….I am sorry...
Azka: Kis liye...
Azlan: un sab galat baton ke liye jo maine tumse kahi…
She keeps looking at him ...but kuch nahi kehti…
Azlan: main jaanta hu maine har baar tumhara dil dukhaya hai…maine itni galtiya ki hai kadam kadam pe ki samajh nahi aata kis kis ki maafi mangu tumse…Har baar koi baat saamne aa jati hai mere…Maine hamesha tumpe apna gussa utara hai…meri life mei mere sath jo hua uska kasoorwar bhi tumhe thehra diya ...shaadi ki raat maine jo kuch bhi kaha uske liye main bahut sharminda hu…mujhe nahi kehna chahiye tha…. Aur main samajhta hu tumhe Shayad mujhse kafi nafrat hogi un sab wajaho se jo maine khud tumhe di hai….par ho sake toh mujhe maaf kardo….
Azka ko samajh nahi aata vo kya kahe…Azlan sahab fir kisi baat ke liye maafi mang rhe hain… Uska dil vaise hi aajkal confuse hai bahut ki kya kare aur kya na kare…vo unhe pasand nahi karti thi ye sach hai…par ab aisi koi baat nahi hai…vo bas gussa thi tab…naraaz bhi thi….par nafrat toh kabhi bhi nahi ki usne….
Azka: Azlan Sahab… Mujhe apse koi shikayat nahi hai…Agar kabhi thi bhi toh ab nahi hai… Aap shayad nafrat karte honge mujhse par aapne fir bhi meri medical fees pay ki chahe shanaya ji k iwajah se…par wasila toh aap hi bane… aapki wajah se main aaj doctor bani hu…iss mukaam tak pahuchi hu….main ye baat kabhi bhi nahi bhool sakti… aur iske liye main apki hamesha shukargujaar rahungi….itni nafrat ke bavjood Aapne mere liye jo kuch bhi kiya us wajah se aap mere liye kabile aitraam hai… Aur maine kabhi bhi aapse nafrat nahi ki thi…na pehle ki na karti hu…
Azlan stays rooted to his place…Vo kya soch rha tha aur Azka uske bare me kya sochti aayi hai…Vo use kabile aitraam samajhti hai…uski sari batmeeziyo aur bure ravaiyyo ke baad bhi….Vo shukargujaar hai uski par uske liye toh uski medical fees pay karna koi badi baat nahi thi Par Azka ke liye thi…Azka ka khwaab tha doctor banna….Shanaya ne btaya tha use….Azka hamesha se hi itni achi thi…use hi kuch dikhayi nahi diya…Vo usse nafrat nahi karti… Kafi sukoon mehsoos ho raha hai use ye jaanke…
Azlan: Main Jannta hu maine tumhare sath bahut galat kiya hai…Us waqt bhi jab main tumhare ghar aya tha gawahi ke liye…..
Azka: Aapko yahi laga tha na ki hum kitne behiss hain…kitne beraham….shanaya ji ne hamari itni madad ki …us case ki wajah se unki jaan chali gayi aur humne kuch bhi nahi kiya…Azlan Sahab hum behiss nahi the ….bahut majboor the…Kamjor the….Sultan bhai ke jaane ke baad hamari zindagi aur bhi mushkil ho gayi thi…Hum ghar mei sirf aurtein aur logo ki galat nazrein….Fir meri Aliha kidnap ho gayi…Us waqt jo hamare dil pe gujari…main aapko bayaa bhi nahi kar sakti…usko kuch ho jata ya uski ijjat…bahut muhskil tha hamare liye…
Aapne jab gawahi ki liye kaha….toh bhi hum aapki madad nahi kar sake…itni himmat hi nahi thi hamare andar…Agar fir se vaisa kuch ho jata toh hum kya karte… Sultan bhai chale gaye aur hum kuch nah ikar sake….Shanaya ji chali gayi aur aap kuch nahi kar sake…Main jaanti hu ki aap apna sab kuch gawake bhi unko insaaf dilana chahte the…. par hum log jo bacha tha…use bachana chahte the…Shayad aapke liye ye baat samjhna mushkil tha us waqt ya hum thik se aapko samjha nahi sake…
Azlan ko bahut bura lagta hai…usne un logo se kitni nafrat ki iss baat ko leke…Vo unhe ehsaan faramosh samajhta tha…beharam samjhta tha…usne kabhi unki majboori samjhne ki koshish nhi ki…shayad vo samajhna hi nahi chahta tha kuch bhi…
Azlan: Azka main us waqt kuch bhi samjhne ki condition mei nahi tha…Meri Shanaya chali gayi aur main uske qatilo ko saza dilwana chahta tha bas…Tumhari aur tumhare gharwalo ki majboori nahi samajh saka…Shayad mere andar vo salahiyat hi nahi thi….Us waqt maine kafi insult ki thi tum sabki… mujhe maaf…
Azka: Nahi please …Aap maafi mat mangiye…aapki galti nahi thi…Aapki taqleef…aapka dukh bahut bada tha….aap sahi the apni jagah…shayad main bhi yahi karti agar aapki jagah hoti toh…Halaat hi kuch aise the…Aap shayad nahi jaante…Shanaya ji ko maine btaya tha Aliha ke barei mei…main dari hui thi aur unke alawa koi nahi tha jise main ye keh sakti…Agar maine us waqt unhe na btaya hota toh aaj vo zinda hoti aur aapke sath hoti…Main samajhti hu ki aap mujhe iske liye maaf nahi kar sakenge…par mere liye ye baat aapko btana bahut jaruri tha…
Azlan: Nahi Tum meri jagah hoti toh aisa nahi karti…tum saamne wale ki majboori samajhti…Tumne mom ke liye mujhse nikaah tak kar liya jabki maine hamesha tumhari insult ki…Aur tumne shanaya ko na bhi btaya hota toh bhi kuch nahi badalta…tumhare gharwalo ke case wapas lene ke bavjood vo puri tarah case mei lagi hui thi…vo kaise bhi pta kar leti aur wahan jarur jati…Kafi brave thi Shanaya aur ahmak bhi…Jaan ki toh parwah thi hi nahi usko…Ye Allah ki marzi thi …tumhari galti nahi …Us waqt shayad main ye na samjhta par aaj samjhta hu…uska aur mera sath tabhi tak tha…aur maine accept kar li hai ye baat…
Azka has tears inher eyes…Aap waqai aisa sochte hain….Mujhe gunaahgaar nahi mante?
Azlan: Haan main tumhe gunaahgaar nahi manta….Tumhara fault nahi tha….Allah ne usko itni hi Zindagi bakshi thi…
Azka usko dekhti rehti hai…aaj unse iss bare mei baat karke vo kafi halka mehsoos kar rahi hai…dil pe bojh sa tha jo aaj utar gaya..Uski aur Azlan sahab ki kismat mei shayad aise hi milna likha tha aur fir aise hi bichhadna bhi….Kuch waqt mei unka talaak ho jaega…aur vo chali jayegi yahan se… vo pehle ki tarah latalluq ho jayenge…shayad yahi sahi hai…Uske khud kuch bhi chahne se kuch nahi hota….Allah ne uske liye yahi chuna hai aur usko apne allah ka har faisla qubool hai…Vo jo bhi karenge uske haq mei behar hoga….Vo wapas couch pe chali jati hai…
Azlan apni socho mei gum hota hai…Shayad haqeeqat ko accept kar lena hi sabse bada marham hai…Waqt har Zakhm bhar deta hai…Azka ke aane ke baad sab kuch badal gaya hai…Uski soch…Jazbaat …halaat…uski Zindagi…Khushi ka matlab bhi…Uski and Azka ki Kismat shuru se hi judi hui thi…Ye vo aaj jake samjha hai….Azka ne toh usko hamesha se affect kiya hai…vo kabhi bhi usko ignore nahi kar saka….Uski mojudgi mei usne har ehsaas mehsoos kiya hai…Chid…irritation…gussa…nafrat…bechaini …khushi…sukoon….aur ab mohabbat….Azka uske har sawaal ka jawaab banke aayi hai…aur vo ab usko kabhi apne se alag nahi hone dega… He also sleeps looking at her…
Next morning...Kanwal calls Azka to come to home….
Azlan and Azka was having breakfast…She looks at him…
Azka: Mujhe Ghar jana tha…
Azlan: ok main drop kar dunga…
Azka: umm…Nahi main baad mei jaungi abhi nahi…
Azlan: Achha thik hai…
Azka: Hmm…main kal aa jaungi…
Azlan: Kal?
Azka: Haan kal…kya hua?
Azlan: Nahi main keh raha tha ki Sham ko aa jati wapas…
Azka: Aapko kuch kaam hai mujhse…
Azlan: Kaam…..Nahi toh …..vaise hi keh rha tha…Tumhari marzi hai jaise thik samjho…
Azka: Vo main sham ko jaungi na…Bhabhi bhi sham ko aa rahi hai toh...Jaun na?
Azlan sighs in defeat and then nods…He goes to his office….
Azka also informs mom about it.
Azlan returns home and goes to his mom..
Azlan: Kaisi Hain mom...
Mom: main thik hu beta...Azka toh kal subah ayegi...pta hai na tumhe…
Azlan: Ji mom jaanta hu....
Mom: hmm...Bahut achhi bachchi hai...Azlan main bahut khush hu tumne uska intkhab kiya...uske aane se ghar mei jaan si aa gyi hai... Mujhe toh pehle bhi bahut achhi lagti thi..Tum hi pta nahi kyun usko daante rehte the….
Azlan: Mom tab ki baat aur thi…Aapko pta hai main kaisa tha aur mujhe gussa aata tha kafi…
Mom: Hmm vo toh tumhe bahut aata tha…Ab kahin jake tum thoda sukoon mei ho…Azka ne kafi badal diya hai tumhe…Uske aane ke baad kafi khush lagte ho mujhe…Kash vo thoda pehle mil jati…tumne itna arsa tanhai mei gujara…Mujhe bahut dukh hota tha tumhe dekhke…Par ab main bahut khush hu…
Azlan: Shayad usne mujhe ab hi milna tha…Aur main sach mei bahut khush hu uske sath…
Mom: Haan …Azka bahut acchi hai…Khidmatguzaar…bahut mohabbat karne wali…
Azlan yaad karta hai uski aur Azka ki mulaqaate...Vo kaise gussa karta tha uspe hamesha...aur ab sirf pyaar aata hai usko uspe…
Mom: kya soch rhe ho….
Azlan: vahi jo aap keh rahi hain...Azka waqai bahut achhi hai...
He was lying on the bed...he looks at her side of bed and moves there...then decides to call her...
Azka Azlan ke barein mei soch rahi thi..…usko kyun unka khayal aa raha hai baar baar… usko mohabbat ho gayi hai kya…Haan shayad…aur kya jawaab hai uski iss kafiyat ka....par honi toh nahi chahiye thi na…Kaise kar liya usne aisa...Sab Azlan Sahab ki wajah se hua hai...ab kya hoga...Use apne har jazbaat ko dafan karna hai..she has to be strong....ye sab nhi ho sakta....then her phone rings…
Azka: Assalamualaikum..
Azlan: Walequm salaam..
Azka: jii bataiye..
Azlan: Kya...
Azka; Aapne phone Kiya na...
Azlan: Haan...
Azka: toh wajah..
Azlan: mujhe tumse baat karne ke liye kya wajah chahiye...Tum meri biwi ho...
Azka: Azlan Sahab.. mere aas paas koi nahi hai aur please koi majaak mat kijiye…bataiye aapne kyun call ki hai...
Azlan: bataya toh...Main shohar hu tumhara....right hai mere paas tumse baat karne ka...
Azka: kya hua hai aapko aaj...
Azlan: Kuch nahi hua...kya hona hai mujhe...I am just missing you here..
Azka: Ye kya bol rahein hain aap …
Azlan: Sach bol raha hu….tumhe vaise yahan hona chahiye tha mere paas…ab miss na karu toh aur kya karu… Tumhare barei mei hi soch raha tha…tum bhi soch rahi thi kya mere barei mei…
Azka stills…Vo toh unhi ke barei mei soch rahi thi….
Azka: Aap fir mujhse koi majaak kar rahein hain?
Azlan: Mujhe aadat ho gayi hai tumhari…tumhe apne paas chahta hu…aur tum keh rahi ho majaak kar raha hu…tumhari bhabhi ne tumhe samjhaya nahi ki jab shohar romantic baat karta hai toh usko kaise jawaab dena chahiye....
Azka: Bas karein aap aur aapko kaise pta unhone mujhse aisa kuch kaha hai ya nahi….
Azlan: Toh kya samjhaya unhone aur kya sikha tumne..
Azka: Ye kaisi batein kar rahein hain aap mujhse..
Azlan: kaisi matlab...Ek shohar apni biwi se kaisi batein karta hai...
Azka: dekhein...aapko ye sab nahi kehna chahiye...ye sab thik nahi hai...
Azlan: Kyun nahi kehna chahiye...kya thik nahi hai..
Azka: Aapka ye sab kehna...Kya ho gya hai aapko...aap bhul gye hain kya hamara contract..
Azlan: Tum bhul gayi ho kya hamara nikaah….
Azka: Uske koi maayne nhi hai...
Azlan: Tumhare liye uske koi maayne nahi hai?
Azka: Aapke liye toh nhi hain na...toh fir aap ye…aur meri baat alag hai….
Azlan: aur agar main kahoon hain mere liye uske maayne hain toh fir…
Azka: .....
Azlan: Azka..
Azka: Azlan Sahab aapko mujhse ye sab nahi kehna chahiye...mujhe nahi pta aap ye sab kyun kar rahe hain....bas main ye jaanti hu ki ye galat hai...kisi bhi lihaaz se thik nahi hai...
Azlan: Azka hamara rishta kya hai...
Azka: Kya matlab...ye kaisa sawaal hai......
Azlan: Batao hamara kya rishta hai…
Azka: Aap mere ..
Azlan: hmm…
Azka: Aap mere husband hain..
Azlan: Toh kya galat hai aur kya thik nahi hu...Main tumhara husband hu ...koi aur nahi hu jiske sath koi aisi baat karna tum galat samjho..
Azka: Par hamara rishta aisa nahi hai aur kuch dino mei hamara...aap sab jaante huae bhi ye sab….
Azlan: Aisa kuch nhi hone wala...
Azka: Kya matlab hai aapka...
Azlan: Yahi ki aisa kuch nahi hone wala…aur mera jo bhi matlab hai...vo baat hum aamne saamne karenge....phone pe nhi .. aur ek baat samajhlo...tumhare aur mere bich koi bhi baat galat nhi hai...sab Zayaz hai...tum meri biwi ho aur main tumhara shohar ....sirf ye baat sach hai….
Azka: mujhe aapki baat samajh nahi aa rahi...aap ye sab kyun bol rahein hai...subah tak toh sab thik tha...
Azlan: nahi ab sab thik ho jaega...aur tum zara apni bhabhi se sikho kuch jo vo tumhe samjhati hain..
Azka: kya matlab hai aapka...mujhe aisa kuch sikhne ki jarurat nahi hai...
Azlan: Nahi tumhe bahut kuch sikhne ki zarurat hai...
Azka: Ji nahi main sab jaanti hu...samjhe aap…
Azlan: Zara mujhe bhi batao ki kya jaanti ho tum married life ke barei me…kaise chalti hai ek married life achhi…
Azka:...
Azlan: chup kyun ho gayi...abhi toh bol rahi thi sab jaanti ho...batao na ab..
Azka: Aap ye kis tarah ki batein kar rahe hain mujhse...mujhe aapse koi baat hi nahi karni...
Azlan smiles...he knows he is pushing her too hard and uski biwi bahut masoom hai...
Azlan: Accha….thik hai fir…main tumhe abhi lene aa raha hu…
Azka: Aa jayein…main aaungi nahi aapke sath wapas abhi…
Azlan: Karke dekh lena ya bhi…Main tumhari mom se kahunga ki ek toh main itni raat ko isko lene aaya hu aur ye mere sath jaane se inkaar kar rahi hai…
Azka gets surprised listening to this…
Azka: Aap aisa nahi karenge…
Azlan: Hmm…Par agar kiya toh vo puri mohabbat ke sath tumhe mere sath bhej dengi…
Azka: Dekein maine aapse puchha tha subah…Aapko koi aitraaz nahi tha toh fir…
Azlan: Achha preshan mat ho…nahi aa raha abhi…Rehlo aaj raat wahin…
Tabhi Kanwal enters the room and Azka ko awaaz deti hai...Azlan bhi sun leta hai...Azka phone niche kar leti hai but call cut karna bhul jati hai jaldi me...Azlan thinks to cut the call but then decides against it….
Kanwal: kya kar rahi thi?
Azka: kuch nhi bhabhi....
Kanwal: Azlan Sahab se baat ho gayi teri...unka phone aya?
Azka: haan meri toh ho gayi unse baat...maine pehle hi kar li thi...she smiles nervously....
Kanwal: Ye toh acha kiya tune...kya hua…tu itni ghabrai kyun hai...unhone kuch keh diya kya tujhe...
Azka: Nahi toh bhabhi...unhone aisa kuch nhi kaha...
Kanwal: Samajh gayi…unhone koi romantic baat ki hogi tujhse aur tu fir se vaise hi nervous ho gayi hogi ..
Azka: nahi toh...aisa kuch nahi hai...
Kanwal: Azka teri shakal pe saaf likha hai ki tu jhoot bol rahi hai...Maine us din bhi samjhaya tha na ki shohar ki mohabbat ka jawaab mohabbat se dete hain ..tu kab samjhegi...
Azka: bhabhi aap ye sab kya leke beth gayi...maine bola na sab thik hai...aur maine unse acche se baat ki thi...
Kanwal: mujhe pta hai tera achhe se baat karna...tere muh se lafz nahi nikla hoga ek...ya tune ye kaha hoga ki aap ye kya keh rhe hain...main jaanti hu tujhe…
Azka Kanwal ki taraf badi badi ankhein karke dekhne lag jati hai...bhabhi vo main...maine ..
Kanwal: Pta tha mujhe...Teri shakal se pta lag rha hai tune Aisa hi Kiya hai....
Azlan sab sun raha hota hai...he knew ki Ab vo Azka ko samjhana shuru kar dengi...
Azka: aisi koi baat nhi hai bhabhi...please mujhe baksh dein .... aur kuch samjhane na lag jana ..
Kanwal: samjhna padega tujhe...Azka ab tu shadi shuda hai...kyun nahi samjhti tu...Apne bachpane se bahar nikal…
Azka: bhabhi aap bhi mujhe bachcha samajhti hai ....sab pta hai mujhe ..
Kanwal: Acha...main bhi matlab...Azlan Sahab ne bhi tujhe bachchi keh diya hai kya ..
Azka: Aapko kaise pta ki unhone mujhe bachchi kaha hai...
Kanwal: teri harqatein hi aisi hain...acha tum dono ke bich relationship toh hai na...
Azka ghabrake kanwal ko dekhne lag jati hai…
Udhar Azlan Samajh jata hai ki Azka fir nervous ho gayi hai......
Kanwal: Mujhe kya dekh rahi hai...bta na...relationship hai bhi ya nhi...
Azka: Bhabhi ye kaisa sawaal hai...
Kanwal: Hain...kaisa matlab...tu mujhe bta sakti hai...Vo tere kareeb aaye hain ya nahi?
Azlan ekdum se alert ho jata hai ye sunke….Azka kya jawaab degi iss sab ka….
Azka: ye kya puchh rahi hai aap...mujhe kuch nahi btana…
Kanwal: Azka dekh...agar tune sach mei khud unse duri bana ke rakhi hai na toh sach me bevkoof hai tu...mujhe toh laga tha ki tu khush hai unke sath….
Azka: Haan toh hu na khush main ..aapko bta toh rahi hu…
Kanwal: jo maine puchha...vo toh nhi bta rahi.... tu unki biwi hai toh agar vo tujhse mohabbat karna chahte hain...tere kareeb aana chahte hain toh isme koi galat baat nhi hai...
Azlan just closes his eyes…Usko pta hai ki Azka ki toh haalat kharab ho rahi hogi ye sab sunke…
Azka: Bhabhi aap ye sab kyun bta rahin hai mujhe…mujhe nahi karni aisi koi baat…
Kanwal: Tujhe samjha Rahi hu...Mujhe teri haalat dekhke lag rha hai tune unhe apne kareeb nhi aane diya hai abhi tak...toh agar aisa hai toh bahut galat baat hai...Tum dono kareeb aaoge tabi toh tumhara rishta majboot hoga…
Azka: bhabhi please ...aap jayein aur so jayein...mujhe aur kuch nahi samjhna...
Kanwal:Agar shohar ko biwi se mohabbat na mile na toh vo bahar mohabbat dhund lete hain....samjhi kuch..
Azka: Vo aise nahin hain...Mujhse kabhi bhi bewafai nahi karenge…
Azka ko uski kahi baat pe yaqeen hai...Azlan ko bahut acha lagta hai ye jaankar….
Kanwal: toh tu aisi kyun hai ..
Azka: Bhabhi ye mere aur unke bich ki baat hai na…toh hum dekh lenge…aur vaise bhi unko mujhse koi shikyat nahi hai…agar koi baat hoti toh keh dete vo….aap jyada na sochein…
Kanwal: Achha…ye unka zarf hai ki vo tujhe kuch nahi keh rahe jabki tune unko unka haq bhi nahi diya…Unki jarurato kakhayal bhi nahi rakhti…
Azka: Main unka aur unki jarurato ke poora khyal rakhti hu…Saare kaam karti hu unke…aur hamare bich sab thik hai….Puchh lijiyega chahe aap unse…
Azlan ko pta hai ki uski Bhabhi kya kehna chah rahi hain aur Azka vo alag hi tangent par hai….
Kanwal: Azka meri baat samajh tu...Miya biwi ko kareeb rehna chahiye...aur shadishuda Zindagi sirf ikhlaaq se nahi chalti...Mohabbat bhi chahiye...
Azka: Main doctor hu bhabhi..mujhe sab pta hai…
Kanwal: Shohar ke sath doctor nahi Biwi ban...jab pta hai toh fir kyun ye sab...
Azka: Bhabhi aap kyun aisi batein kar rahi hain….pehle toh nahi karti thi…kya ho gya hai aapko…
Kanwal: bas yahi karte rehna tu..pehle teri shaadi nahi hui thi…par ab tu biwi hai kisi ki…islye samjha rahi hu….mohabbat karti hai na unse?
Azlan sari batein sunke muskura raha hota hai ki Vo Azka ko kya kya samjhaye ja rahi hain....par iss sawaal pe vo sanjida hojata hai ..
Kanwal: Bta na…Karti hai na?
Azka: Haan...karti hu mohabbat unse…
His heart flips….vo jaanta hai ki Azka ne yuhi bol diya par uske liye ye sunna bahut badi baat hai ki Azka usse mohabbat karti hai ..vo bahut khush hota hai….
Kanwal: toh fir kya dikkat hai...
Azka: koi dikkat nahi hai...main samajh gayi aapki baat...aapne mujhe samjha diya ....
Kanwal: Amal karegi meri baat pe...
Azka: bilkul...puri tarah se...
Kanwal: thik hai...ab agar vo tere paas ayein...tujhse pyar karna chahe toh mana mat karna.....samjhi...
Azka: Bhabhi please agar aapne dobara ab ye sab bola na main behosh ho jaungi...main apki sari baat samajh gayi hu aur Maan bhi gayi hu...
Kanwal: vo toh mujhe pta lag hi jayega ki kitna samjhi tu...chal ab soja...
Azka was thinking about what her bhabhi said...Uski bhabhi ko is shaadi ki Haqeeqat nahi pta...Uska and Azlan Sahab ka rishta Aisa hai hi nahi ... mohabbat...Unke rishte mei kya ahmiyat hai is lafz ki ..Vo aur Azlan Sahab kabhi bhi kareeb nhi ho sakte...vo usse mohabbat nahi karte…Aur uske khud ke dil mei jo chal raha hai…usse kuch fark nahi padhta…Par Azlan Sahab kis tarah ki batein kar rhe the...biwi ... shohar ...Unko kya ho gaya hai….Vaise hi vo kam preshan hai ki ab vo aisi batein karne lag gaye hain….
Azlan also thinks about the conversation...he was very happy...he has got something to tease Azka...uski biwi bahut innocent hai ....nervous ho jati hai aisi baton se….Doctor Azka...Jisko sab pta hai…Ab toh usko hi kuch karna padhega….
To be continued❤️❤️❤️
Wow Azlan ka azka ko mis karna and phone call ☺️kitna Romance sujh raha tha azlan ko 😳poor azka soch rahi thi inko kya ho Gaya subah to thik the lol kanwal bhabhi ki entry ne sixer maar diya🤣
Azlan buri baat aise girls ki baate nahi sunte phir chahe wo apni biwi ki hi kyu na ho lol
Bechari azka sharma gayi bhabhi ki baato se☺️
Jab usko pata chalega azlan ne sab sun liya tab kya karegi 😆
Over all good update
Azlan is a smart man usko azka ke dil me kya hai ye pata chal Gaya hai😊after all aise hi thodi Itna bada business man ban Gaya lol
Azka feel jealous but azlan ko silence treatment de rahi thi 😆typical Wife thing..Azlan jis tarah apne aapko clear kar raha tha azka ke saamne that was cute..pyaar ho Gaya hai janab ko ❤️
Abid aaya and chala bhi Gaya🤣but jate jate Azlan ka kaam kar gaya 😉
Now waiting for Azlan’s confession
Haan intelligent hai vo vaise...kabhi kabhi dimag nahi chalta uska...
This is the thing between them...they talk ultimately...Azlan is❤️ and he is scared of Azka too😆
Abid Bhai ne kaam kar diya apna...Azka has affection for Azlan too..She cares for him❤️
Wow Azlan ka azka ko mis karna and phone call ☺️kitna Romance sujh raha tha azlan ko 😳poor azka soch rahi thi inko kya ho Gaya subah to thik the lol kanwal bhabhi ki entry ne sixer maar diya🤣
Azlan buri baat aise girls ki baate nahi sunte phir chahe wo apni biwi ki hi kyu na ho lol
Bechari azka sharma gayi bhabhi ki baato se☺️
Jab usko pata chalega azlan ne sab sun liya tab kya karegi 😆
Over all good update
Thank you dear for your review❤️
Azlan abhi aage padhna kya kya karega...he is very romantic❤️...Kanwal bhabhi is lit☺️....Azka ko lapete mei le leti hain😆Azka bahut sharmati hai☺️...usse nahi hoti aisi batein😆
Azlan ko nahi Sunni chahiye thi par maine usko bigaad diya hai😆
comment:
p_commentcount