IshRa Ss : Tujhe kitna chahne lage hum part 29 on page 126 on 21/9

Posted: 3 years ago

Hello friends i am here with new story it's is one of my ongoing story on wattpad and now i am posting it here i will upadte my other stories also very soon here i am updating the prologue and first part of this story so please do read it and share your reviews .   


 


Prologue

A girl badly injured was bring to a hospital by some people

M: doctor kaha hai? Please dekho iss ladki ka accident hua hai

A man said looking for doctor nurse comes there

N: sorry sir par hospital ke sare doctors strike pe hai aap kaam karo inko kisi aur hospital mai le jao

M: ye aap kaisi baat kar rahi ho? Iski halat itni khrab hai aur hum to iss ladki ko jaante bhi nahi ye road pe behosh padi thi to hum isko hospital le aaye iske ghar wale iska intzar kar rahe honge

M2: haa aap jaldi karo bechari ladki pata nahi kabse waha road pe aise padi thi hum raaste se guzar rahe the to isko dekha iss liye yaha le aaye

N: i am sorry but main kuch nahi kar sakti sabhi doctors strike pe hai waise bhi ye police case hai aap please isnko le jao

She was saying when a doctor comes there

D: kya ho raha hai ye sab?

Nurse looked at the doctor

N: doctor raman aap Wo actually ek accident case hai sab doctors ki to strike chal rahi hai iss ladki ke ghar wale bhi iske saath nahi hai iss liye main

R: so what? Agar doctors strike pe hai to kya iska ilaj nahi hoga? Ek patient ki jaan se zada zaroori aur kuch nahi hota aur koi doctor nahi hai to kya hua main hoon naa main karuga iska treatment jaldi se compounder se bolke ot ready karvao

N: but doctor ye ek police case hai

R: baaki formalities baad mai bhi puri ho jayegi iss whakt patient ki jaan zada zaroori hai

He asked the comubder to take the patient inside

R: aap sabne bhot acha kaam kiya aise ek anjan ladki ki jaan bacha ke

He said looking at the person who brings that girl to hospital

M: thank you doctor ye hamara farz tha ab hum jaa sakte hai naa?

R: ji haa aap sab jaa sakte ho don't worry ab uss ladki ki jaan bachane ki responsibility meri hai

He said and went to see the patient

After sometime he comes out after treating that patient and call the nurse

R: nurse abhi wo ladki khatre se bahar hai kuch der mai usko hosh bhi aa jayega please take care of her mujhe kisi bhi tarah ki carelessness nahi chaiye agar zaroort padi to mujhe call kar dena main aa jaauga

N: ok doctor

R: aur haa jab tak usko hosh nahi aata police ko bhi infrom karne ki zaroort nahi hai kyunki uske saath koi family member nahi hai aur jab tak wo hosh mai nahi aa jaati ye pata nahi chal payega uske saath kya hua tha so jaise hi usko hosh aata hai tum mujhe call karna

N: ji doctor

Raman leaves from there

Next morning

The girl gets conscious and she get confused seeing herself in the hospital she tries to get up slowly but she was about to fall as her head was still spinning a nurse comes there and saw her

N: ye aap kya kar rahi hai? Abhi aapko rest ki zaroort hai

She said helping her to sit on the bed

G: mujhe yaha koun leke aaya? Please mujhe jaane do main yaha nahi ruk sakti mujhe jana hoga

N: relax aap chali jana main abhi doctor ko bula ke laati hoon

G: but

N: please mam aap do minute ruko main abhi doctor ko bula ke laati hoon

She said and went to call raman after sometime raman comes there

R: are you fine? Ab kaisa feel ho raha hai?

He said looking at her

G: i am fine doctor please mujhe jane do main thik hoon main nahi ruk sakti yaha

She said looking at him with pleading eyes

R: just relax abhi mujhe aapke kuch test karne hai phir aap jaa sakti hai aap apne ghar mai kisi ko inform kardo taaki koi aapko aake le jaye

He said while ishita got scared she start sweating badly

R: kya hua aap thik ho naa?

He said keeping his hand on her shoulder while she nodded he checked her blood pressure and examine her then he gives her injection while she closed her eyes feeling pain

R: waise to aap ab thik hai bas mujhe aapke kuch test karne honge to make sure ki aap puri tarah thik ho then uske baad aap ghar jaa sakti hai aap apne ghar walo ko inform kardo taki baaki formalities puri ho jaye aur aap apne ghar jaa sake

G: doctor mera iss seher mai koi nahi hai aur meri family se koi nahi aa sakta main khood chali jaaugi

R: sorry but i can't let you go alone i mean aap abhi puri tarah se thik nahi ho kal raat aapka accident hua tha wo to acha hua ki kuch log aapko yaha le aaye aur main abhi police ko inform kar deta hoon aap unko bata dena accident kaise hua

She gets shocked listing this

G: no doctor please i beg you police ko inform maat karna wo accident meri galti se hua mujhe koi complaint nahi karni please aap police ko inform maat karna please

She said almost crying

R: ok just relax agar aap nahi chati to main police ko inform nahi karuga i can understand aapki shyad koi personal problem hai iss wajeh se aap itni dari hui lag rahi hai but aap mujhe apna naam to bata sakti ho?

He said looking at her

G: Ishita

Raman smiles

R: ok so miss ishita abhi mujhe aapke kuch test karne hai uske baad hi pata chalega aap puri tarah thik hai ya nahi aur please apni family ya friends mai se kisi ko inform kar dijiye kyunki musibat ke time pe sirf family ke saath honse se har musibat ka saamna karne ki himmat milti hai any ways abhi main nurse ko behjta hoon aapko kuch test ke leke jana hai

Ishita nodded while raman leaves from there

I: family apni family ki wajeh se hi to main aaj iss haal mai hoon aur meri family ne to musibat mai mera saath dene ki jagah mujhe musibat mai daal diya iss duniya mai sab matlabi hai pyar aur rishto ki koi value nahi hai

She thought and wipes her tears 


Scroll down for part=1⬇


Index

Part=2

Part=3

Part=4
Part=5

Part=6

Part=7

Part=8

Part=9

Part=10

Part=11

Part=12

Part=13
Part=14

Part=15
Part=16

Part=17
Part=18

Part=19
Part=20

Part=21

Part=22

Part=23

Part=24
Part=25

Part=26
Part=27

Part=28

Part=29


Thread 2

Edited by Priyanka7080 - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Part=1

Raman comes in the room and saw ishita trying to get up from bed she was about to fall but raman comes to her and hold her while she looked at him

R: ye aap kya kar rahi hai aaram se

I: i am fine doctor

She said and pushed his hand away as he was still holding her

R: am sorry waise aapki reports aa gayi hai aur sab normal hai par aapko aaj ke din hospital mai hi rehna hoga kyunki aap abhi bhi weak hai kal aap discharge ho jayegi aap apni family ko bhi inform kardo

I: thank you so much doctor aapne meri jaan bacahi par main aapse pehle bhi keh chuki hoon mere ghar se koi nahi aayega main khood ko sambhal sakti hoon i don't need anyone

She said looking down

R: ok as you wish main aapke discharge papers ready karva dunga abhi aap rest karo main chalta hoon

He said and goes from there

R: ye ladki itna strange behave kyu kar rahi hai? Kitni ajeeb hai ek to main iske bhale ki baat kar raha hoon aur ye aise behave kar rahi hai par mujhe kya? uski life hai jo marzi kare

He thought and went to check other patience

Next day

Nurse comes to raman's cabin

N: doctor wo 102 wali patient

R: kya hua usko? Is she fine?

N: nahi doctor wo apne room mai nahi hai maine sabhi jagah check kiya kahi nahi hai raat tak to wahi thi par maine sab jagah dekha kahi nahi hai i think wo chali gayi hai

R: what? Are you mad? Ek patient hospital se gayab hai aur hospital mai kisi ko pata bhi nahi chala ache se dekho wahi hogi

N: doctor maine sab jagah check kiya wo kahi bhi nahi hai uski family se bhi koi nahi aaya aur uska bill bhi pay nahi hua i think wo bhaag gayi hai mujhe to pehle si hi kuch gadbad lag rahi thi

R: i can't believe it tum log itne careless kaise ho sakte ho? Hamare hospital se patient gayab ho gayi have you any idea iska asar hamare hospital ki repetition pe par sakta hai aur wo ladki kitni bholi lagti thi dekhne mai aur wo aise raato raat chali gayi zaroor kuch gadbad hai i think iss liye usne mujhe police ko bhi inform karne se mana kar diya

N: doctor

R: ab mujhe hi kuch karna hoga ek to hospital ke sabhi doctors strike pe hai iss whakt sari responsibility mere uper hai tum please jao aaj tum logo ki carelessness ki wajeh se ye sab hua hai

N: sorry doctor kisi ko pata hi nahi chala wo kab chali gayi

R: ab tum please yaha se jao aur ek baar se sab jagah check karo aur cct tv camera mai bhi check karvao pata karo wo kab gayi please go

Nurse nodded and leaves from there

R: i can't believe it wo ladki aise kaha chali gayi?

He was thinking when his phone rings he picked the call in first ring

R: ok i am coming

He said and leaves from there

At night

Ishita was walking on road all lost in her thoughts

I: kya karu ab main kaha jaau? Itni majboor hoon mai mere paas paise tak nahi hai hospital ka bill pay karne ke liye kuch samjh nahi aa raha kya karu? Iss seher mai kisi ko jaanti bhi nahi agar unn logo ko pata chal gya ki mai delhi mai hoon to wo mujhe le jayege no aisa nahi ho sakta waha wapis jaane se acha hai main maar jaau please murgan koi to rasta dikhao please help me

She prayed to god and wipes her tears she was so lost in her thoughts that she didn't saw the car coming towards her but the car stops before it can hit her while ishita closed her eyes in fear

R: andhi ho kya dikhai nahi deta?

Ishita looked and gets shocked seeing raman while raman was equally shocked

R: tum? Tum yaha ho waha hospital se bhaag ke jaa rahi thi

I: nahi main

R: oh please tumhe koi idea bhi hai tumne kya kiya hai? Waha hospital se bhaag aayi wo bhi bill diye bina tum dekhne mai to itni bholi lagti ho mujhe nahi pata tha tum aisa karogi tum

I: aap ek baar meri baat sunoge ya sirf bolte hi jaaoge main bhaag nahi rahi thi paise ka intzam karne hi jaa rahi thi kal raat jab mera accident hua to mera sara saaman aur paise chori ho gaye main to iss sher mai kisi ko jaanti bhi nahi aap to soch bhi nahi sakte mai kiss problem mai hoon

She said making him silent

I: anyways main aapko itni explanations kyu de rahi hoon? Aap ho to ek ajnabi I know mujhe hospital se aise nahi aana chaiye tha but mere paas koi aur choice nahi thi bina bill pay kiye to koi mujhe aane nahi deta aur shyad koi meri majboori bhi nahi samjhta anways mere paas paise to nahi hai iss time ye meri chain hai isko aap rakh lo

She said removing chain from her neck she removed her earrings also

I: ye lo isse mera bill pay ho jayega naa i am sorry doctor mere paas iske ilva kuch nahi hai

She said folding her hands in front of him while raman feels bad for her

R: i am sorry main ye nahi le sakta agar aapko paiso ki problem thi to aap mujhse pehle baat karti main aapki majboori samjh sakta hoon ye sab aap apne paas rakho aur bill ki tension lene ki koi zaroort nahi wo main dekh luga

I: but

R: maine kaha naa iski koi zaroort nahi hai agar phir bhi aap chathi hai to aap apne ghar jaane ke baad paise bhej sakti hai

I: thank you so much doctor

R: it's ok agar aapko koi help chaiye to aap mujhe bata sakti hai maybe i can help you in any way

I: thank you so much but mujhe aapki help ki zaroort nahi hai abhi mai chalti hoon aapki help ke liye thank you main jaldi bill clear kar dugi

She said looking at him and goes from there while raman was still looking at her

R: sach mai kitni ajeeb hai ye ladki maine help offer ki aur ye aise behave kar rahi hai pata nahi kya problem hai isko jo aise behave kar rahi hai but i hope iski jo bhi problem ho jaldi solve ho jaye

He thought and call someone after finishing his call he was going towards his car when he listen ishita screaming he turn and saw some goons misbehaving with her they were trying to push her inside the ca forcefully while ishita shouting for help but there was no one to help her raman gets shocked seeing this and go towards them running

R: ye tum log kya kar rahe ho? Chodo usko

He said coming towards them while ishita looked at him

I: thank god aap aa gaye please mujhe bacha lo inse please help me

She said looking at him crying

G: agar apni jaan pyari hai to bhaag jaa yaha se

Tje goon said threading raman

R: ladki ko chod do chup chap warna mujhe police ko bulana hoga just leave her

Ishita pushed the goon away and come towards him

I: please mujhe bacha lo ye log mujhe apne saath le jayege please save me

She said crying and hide behind him while raman looked at her

G1: oye hero tu koun hai tu? Chup chap chala jaa yaha se

G2: ladki ko chod do aur jao apne ghar warna tu soch bhi nahi sakta tera kya hoga

R: agar himmat hai to isko haath laga kar dikhao

G3: tu pagal hai kya? Kyu iss ladki ki wajeh se apni jaan khatre mai daal rahe ho hum isko liye bina nahi jayege

R: jab tak main yaha hoon tab to tum isko le jaa nahi sakte kossish karke dekhlo

He said looking at the goons while one of them come towards him to hit him but raman hold his hand and punch him hard in stomach making him fall down another goons come to attack him but raman fight with them and beat them soon they runs away from there to save themselves

As they all went away raman looks at ishita

R: aap thik hai naa?

Ishita looked at him and nodded

I: thank you so much aap agar nahi aate to pata nahi kya hota

R: it's ok aapko thanks kehne ki koi zaroort nahi hai are you fine ?

He said looking at her while she nodded

R: aapko itni raat ko aise road pe akele nahi jana chaiye it's not safe aap batao kaha jana hai aapko main aapko drop kar deta hoon

He said looking at her

I: mujhe to khood bhi nahi pata mujhe kaha jana hai

R: kya matlab?

She start feeling dizzy and holds her head

R: are you ok?

He was saying when she lost her balance and fall unconscious before she can fall down raman holds her

R: ye to behosh ho gayi

He said and picks her in his arms and takes her towards his car and make her sit inside and takes her from there

After sometime

Ishita gets conscious and saw herself in a room she got up in Jiffy

I: ye main kaha hoon?

She was saying when raman comes there

R: how are you feeling now?

Ishita looked at him

I: aap yaha? Aur ye kounsi jagah hai main yaha kaise aayi?

She said covering herself with duppta

R: wo actually aap behosh gayi thi so main aapko apne ghar le aaya pehle socha hospital le jaau par mera ghar paas mai tha to yaha le aaya anyways tension lene ki koi zaroort nahi hai aap jaldi thik ho jaaogi

I: thank you so much doctor aapne aaj meri itni help ki iss anjan sher mai yaha main kisi ko jaanti bhi nahi waha aapne ajnabi hote hue bhi meri itni help ki aapka ehsan main kabhi nahi bhool sakti if you don't mind kya aap meri ek help aur kar sakte hai

She said looking at him

R: ya please tell me kya help chaiye?

I: kya aap mujhe railway station tak drop kar doge mujhe apni ek friend se milne jana hai it's very urgent

R: ya sure i will drop you but abhi bhot raat ho gayi hai itni raat ko jana safe nahi hoga if you don't mind main kal subhe aapko drop kar duga aur aaj raat aap yaha ruk sakti ho

He said making her looked at him

I: but main yaha kaise i mean

R: i know hum ek dusre ko jaante bhi nahi hai iss liye aapke liye akward hoga ek ajnabi ke ghar pe aise rukna but aur koi option bhi nahi hai itni raat ko aapka akele jana safe nahi hoga kal subhe main aapko railway station drop kar duga aur yaha pe aap bilkul safe ho don't worry you can trust me

He said looking at her while she nodded

R: by the way maine apne aapko introduce hi nahi karvya mera naam raman bhalla hai Dr Raman bhalla i am a cardiologist

I: mera naam ishita hai aur main teacher hoon thank you so much doctor aap itni help kar rahe ho meri warna aaj ke zamane mai koi kisi ki help nahi karta

R: it's ok main bas wo kar raha hoon jo mujhe sahi lag raha hai anways be comfortable ghar pe aur koi nahi hai meri family ek shadi attend karne ke liye chandigarh gayi hai so ghar pe main akela hoon abhi ke liye aapko kisi bhi chiz ki zaroort ho you can call me main saath wale room mai hoon

Ishita looked at him and nodded raman was going ishita stopped him

I: kya mujhe aapka phone mil sakta hai? Mujhe ek urgent call karni hai

R: ya sure

He said and give his phone to her and leaves from there while ishita tries to call someone

I: please pick the call mujhe tumhari help chaiye

She was trying to call but the person was not answering her calls at last she hung the call

I: kya karu ab main? Agar unn logo ko pata chal gya ki main yaha pe hoon to wo mujhe phir se pakad lege mujhe apne saath le jaayege jabrdasti aur phir mere saath no aisa nahi ho sakta isse pehle wo mere tak phonche mujhe kahi door jana hoga please murgan help me please main dobara uss narak mai nahi jana chathi

She said while her eyes get moist she was lost in her thoughts when raman comes there and knocks the door ishita looked towards him

R: dinner ready hai please come

I: no it's ok aap pehle hi mere liye itna kuch kar rahe ho

R: come on aapko itna formal hone ki zaroort nahi hai aap meri help le sakti ho to dinner karne mai kya problem hai? Please come main aapka wait karta hoon

Ishita nodded while he goes from there

After sometime ishita comes downstairs and ishra sit togeather to have dinner while a help was serving the dinner both start having their dinner silently

Ishita was eating very fastly as she was very hungry while raman looked at her seeing her eating weirdly but he ignored it and continue to eat his food soon they Finshed their dinner

R: agar aap bura naa maane to aapse ek baat puchu?

He said making her looked at him she nodded

R: aapko dekh ke lagta hai ki aap bhot achi family se belong karti hai to phir aisi kya problem hai jo aap iss haal mai hai? I mean aapka accident hua aapki family se koi bhi nahi aaya aapne mujhe aapki family aur poilce ko batane se bhi mana kar diya aur aap itna tensed lag rahi ho koi problem hai kya?

He said while ishita looked at him

R: don't get me wrong main to bas aise hi puch raha tha it's your personal life i can understand

I: i know aapko mera behaviour thoda strange lag raha hoga kya karu kismat ne mere saath jo kuch kiya uski wajeh se meri life badal gayi hai puri tarah se aapko apni kahani sunao to shyad aapko bhi vishwas nahi hoga aur apni life ki problems aapke saath share karke aapka time kyu waste karu? Waise bhi ab to sari zindagi apni problems ke saath aise hi jeena sikhna hoga mujhe to kisi aur ke saath share karne ka kya fayda?

She said while he looked at her confused

R: anways sorry mujhe ye topic nahi chedna chaiye tha abhi bhi aap apne room mai jaa sakti hai agar zaroort ho to aap mujhe bula sakti ho

I: thank you

She said and went to her room while raman was looking towards her confused

R: aisi bhi kya problem ho sakti hai jo ye itna zada pareshan lag rahi hai? I hope iski ye problem jaldi solve ho jaye

He thought and went to his room

Next morning

Raman was going to drop ishita to the railway station while ishita was trying to call somone from raman's mobile they were going towards the station when a man hits with raman's car and fall down raman stopped the car immediately and comes out of the car and went towards the man

R: are you fine? Aapko zada chot to nahi aayi?

He said helping that man to get up when someone hit raman on his head with the stick from behind raman hold his head an looked at the person he tried to get up but soon he fall unconscious while ishita gets shocked seeing all this


p.s: here is update so guys please do share your reviews and i will send pms to only those who are interested in reading my stories so who are Interested please do response as i don't want to waste your precious time by sending pm's i hope you guys will understand 

Thanks 😊   

Edited by Priyanka7080 - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Welcome back priyanka

Gud to see u back..

Posted: 3 years ago

Interesting start

So ramanet ishita on road

Curious to know what had done with her..

Who hits raman?

Is that person related to ishita?

Continue soon

Edited by harshiidiv - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Its a beautiful one di

I love this story ❤️

Posted: 3 years ago

Its a beautiful story.. ..please pm me dear.. .

Posted: 3 years ago

Can u give ur writing index pls

Posted: 3 years ago

super awesome update 

Update soon 

N

Thanks for the pm 










-TWINKLE 

Posted: 3 years ago

Welcome back Priyanka, I really missed your stories!

Posted: 3 years ago

Congratulations for the new story di


Awesome start di

Totally loved it so much

Some person take ishu to hospital because she met with an accident. Raman is a doctor. In hospital doc are in strike, but raman came and tells them that his responsibility to save ishu now. He tells nurse not to inform police. In morning ishu got conscious and she doesn't want to her family members about her. She left the hospital without informing anyone. Nurse informed this about raman and he is shocked to know it. Raman saw ishu in middle of the road and she tells him that she came out to arrange money to pay the bill. He saved ishu from some goons and brings her to his home. He saw her behavior weird. Ishu ask him to drop her in railway station but he tells her that he will drop her in morning because it's late now. Hope ishra will be fine.

Thanx for the pm

Continue soon



Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
YHM DT #8 (Strictly Reserved for IshRa/DivAn)

pencil ChanChanMan   stackexchange 1122   eye 142537

ChanChanMan 1122 142537 9 days ago --PriyaRay--
Ishra FF: Hum Hain Rahi Pyaar Ke

pencil kavitha_r   stackexchange 27   eye 1040

kavitha_r 27 1040 24 days ago coderlady
Decalogy (Ishra 10th Wedding Anniversary Fic)

pencil thefarfetcher   stackexchange 3   eye 361

thefarfetcher 3 361 1 months ago zohakhan7

Topic Info

26 Participants 923 Replies 38848Views

Topic started by Priyanka7080

Last replied by Sukhvi

loader
loader
up-open TOP