BeHir FF - The 'Un' Attached String CHAPTER - 18, PAGE - 55 - Page 2

Posted: 5 years ago

CHAPTER 18

Maahir was sitting with Bela's photo in one hand and Bulbul's in another and was looking at both of them one at a time. At one point of time, it was too unbearable for him to concentrate on any one of them and he just put both the photos on the bed and leaned back on his pillow and covered his face out of helplessness. Pratham's master stroke had really put Maahir at bay as he could not decide what to do. At one point, he loved Bela so much that it was absolutely impossible for him to stay with her after she left him and forgetting that hid their daughter and at another point, he loved Bulbul even more than he loved and hated Bela and could go to any extent to bring her in his life. From the time, Bulbul left his apartment to stay with her mother, it was becoming difficult for Maahir to stay alone again as he was completely accustomed to Bulbul's presence after staying alone for so long. She was like a breath of fresh air of his life. He remembered how every morning, he used to wake her up and after getting up, she used to climb on him and again fall asleep on his shoulder, till Maahir put the brush inside her mouth and only then she used to open her eyes. He also remembered how she used to get happy when Maahir went to pick her up from Sarna House while returning home. He went to his drawing room and put on the DVD of Bulbul which was given to him by Madhu. Maahir tried to lost in them and remove those thoughts from his mind but he could not. He picked up the phone to call Kuhu but she didn't receive the call and he was feeling a lot more helpless as Kuhu had always been his life support. He was about to call Rohit but at that moment, his phone started ringing and saw Madhu's number coming up and understood that it was Bulbul. He picked up the call immediately.

M : "Ha mera bachcha!

B : "Daddy aap mujhse bina miley aise hi chale kyu gaye?

M : "Baby I'm very cconfused mujhe samajhme nahi aa raha hai ke main kya karu. I wasn't ready for this aur main to aapko apne paas lekar aana chahta tha lekin yaha to...

B : (made a sad tone) "To daddy aap mere saath nehi rahoge?

M : "Baba main to sirf aaphike saath to rehna chahta hu lekin aapki mamma ke saath rehna its just...

B : "I can understand daddy par na aap mamma ko jitni bari monster samajhte ho utni vo hai nehi aur aap mamma ke saath rehne se dar rahe ho, socho main to unke papa ke saath rehti thi aur vo to Dracula hai.

M : "Ya I feel so bad for you par na aapki mamma to yaha nehi aayengi isliye mujhe waha aana parega and you know waha Suhaani maasi ki mamma mujhe pasand nehi karti hai aur tumhaari mamma bhi.

B : "Aapke paas is duniya best bodyguard hai daddy jiska naam Bulbul Sehgal hai aur aap mamma aur auntynaani ki fikar mat karo, main unko handle kar lungi. Aapke liye main kuchbhi kar sakti hu daddy aap bas yaha aa jaao.

M : "I know mera baby apne daddy se bohot pyar karta hai but I don't know...

B : "Daddy aap mere liye itna nehi kar sakte?

There was something in Bulbul's voice which melted Maahir's heart as he realized that he didn't have the opportunity to do anything for Bulbul and now, may be it was God's grace that he had the 6 months in his quota.

M : "Haww meri jaan main aapke liye apni jaan de sakta hu, par it's a bit difficult...

Now Bulbul lost her patience as she felt that she was being too much generous towards him and of course, showing generosity was not something Bulbul's style. So she decided to turn the Sweetu baby Bulbul' mode off and put on the Seedhi baat no bakwaas ' mode.

B : "Tabse pyar se bol rahi hu aur aap footage kha rahe ho? Maths exam dena hai jo confused ho gaye ho? Itne der se request kar rahi thi jo maine aajtak kisise nehi ki aur aap ho ke... Dekho daddy main na seedha seedha bol rahi hu, aapko main 2 days ka time de rahi hu, agar 2 days ke andar aap yaha nehi aaye na to main na ghar se bhaag jaaungi and mark my words, main pehle bhi ghar se bhaag chuki hu.

M : (He was scared as he knew about all her activities and so he swallowed the lump) "2 days hai na baby main packing bhi kar lunga aur ghar ke baaki ke duties bhi khatam karke main 2 din baad hi apne baby paas aa jaaunga. Ok?

B : "Jabtak threat na do na to matlab koi kuch karna hi nehi chahta hai. Thik aap aa jaao main aapke grand welcome ki tayyari karti hu.

Maahir laughed forcibly to pretend to be normal and then the call was disconnected from both sides.

 

Next day, Bela too was holding the papers on one hand and was sitting on the hall by digging the fingernail of her other hand on her head when Madhu came to her and said, "Mujhe pata hai abhi yu kya soch rahi hai lekin main tujhse us baare mein koi sawaal nehi puchne waali, par mujhe na ek baat janni hai aur vo ye hai ke tu apni life ka koi bhi decision apne papa se puch kar aajkal nehi leti hai to... She sat beside Bela and continued, "Tere papa ne tujhe India kaise aane diya? Bela looked at her mother as if she was seeing some kind of alien and continuing that expression, she asked, "Really mamma?? This is what actually concerning you now? Madhu, too was shocked on hearing Bela's question and she said, "Ha bilkul!! Tere papa ne tujhe yaha aane diya ye soch kar hi to main itni surprised hu. Vo to mar jaayenge lekin tujhe India kabhi bhi nehi aane denge. Seeing Bela nodding her head hopelessly Madhu replied, "Dekh puttar agar tu ye soch rahi hai ke is court order ke liye main pareshaan hu to tu bilkul hi galat soch rahi hai kyuki main jaanti hu ke isi mein meri naatin ka bhala hai aur main is faisle se bohot khush hu. Bela, in a sarcastic manner replied, "Of course mamma vo to hamesha se hi aapka chaheta hai upar aapka so called jamai hai, ab har saas ki tarah aap to usika side lengi na. Aapke liye to vo hamesha se hi best jamai' hai. Musibat to mere sar par aayi hai na aapko usse kya. Madhu looked at her and replied, "Oye bol to aise rahi hai jaise ke tera pati tere saath rehne ko mara ja raha hai. Main isliye khush hu kyuki kal se meri bachchi bari khush hai aur ye khushi to jaise pichle kuch dino se uske chehre se kho hi gayi thi aur vo jamai nehi ek lauta jamai hai mera aur best jamai hai to hai. Jitni shiddat se tu usse nafrat karti hai vo bhi utni hi shiddat ke saath tujhse nafrat karta hai ha vo alag baat hai ke main jaanti hu ke ye dikhaava hai but ha jaise aajkal tu Bulbul ke saamne uske baap ki beizzati karti hai na vaisa usne kabhi kuch nehi kiya. Bela would have replied something back to Madhu but at that moment, Bulbul jumped into the scene and said to Madhu, "Nani nani pata hai maine kal raat ko na daddy ko phone kiya tha na main to batana hi bhul gayi ke daddy na yaha aane ke liye ready hai, vo mere saath rehne aayenge. Madhu and Bela both were shocked and Bela asked, "What? But Bulbul didn't look at Bela and continued talking to Madhu, "Daddy pehle confused the par main bhi to main hu, thora sa dhamkaaya na to line par aa gaye, bola hai 2 days ke andar vo aayenge hamaare saath rehne. Madhu was so happy to hear the news and said, "Mujhe pata tha Maahir kabhi mana kar hi nehi sakta hai aur vo tere liye kuch bhi karega. After all... She looked at Bela with the corner of her eyes and with a tint of taunt in her voice for Bela said, "Mera best ek lauta jamai jo thehra! "That's it!, Bela uttered those words after getting up and continued, "I'm going to find a lawyer to file for a stay order. Main us aadmi ke saath nehi rahungi aur ha... Before leaving from there, Bela continued, "Papa Sweden gaye hai business ke kaam se isiliye main yaha aa paayi hu and I swear agar papa hote na to in sab ki naubat hi nehi aati. Madhu looked at Bela and said, "Bol to aise rahi hai jaise abhi tu bahaar niklegi to tujhe lawyer mil jaayega. Lawyers to gate ke bahaar tera hi wait kar rahe hai. Bela replied, "Well I do have contacts here! "But usse bhi aapko koi faayda nehi hoga bhabhi!, Everyone looked at the direction and found Pratham coming in and seeing him coming, the happiest person on the earth was Bulbul and he gladly jumped and stood in front of him and said, "Pratham uncle daddy ke baad ek aapko dekh kar main sabse zyaada khush hoti hu now a days but mere ek question ka answer do, what is stay order? Pratham made Bulbul sit on his lap as he took his seat and replied, "Stay order ka matlab hota hai ke agar court koi order deta hai usko stay karaana matlab a sort of stop karna taaki vo order manne ki zarurat na pare. On hearing that, Bulbul jumped off Pratham's lap and said to Bela, "Aap mere daddy ko yaha nehi aane dena chahti hai? Mamma main aapko bata rahi hu main aisa bilkul nehi hone dungi aur agar aapne aisa karne ke baare mein socha bhi na to main ghar se bhaag jaaungi. Bela immediately replied, "And I'll make sure that you're properly shackled up with your bed sweetheart! Mujhe monster bolti ho na now don't pull the real monster outta me! Bela had sudden coldness in her eyes which even make Bulbul shiver for a second but of course, she herself was bearing the DNA of her mamma monster and so she replied, "Uske liye to mujhe pakarna parega na mamma, main na bhaag kar daddy ke paas chali jaaungi aur phir kabhi kabhi waapas nehi aaungi. Pratham laughed and said to both the ladies, "Itna zyaada sochne ki zarurat hai hi nehi kyuki is order par koi stay order lag hi nehi sakta hai. Bela asked, "Kyu? Now there came the real suave lawyer Pratham who played just the same trick with Bela which he played with Maahir of course with two different point of views. He stood up and said, "Vo isliye bhabhi kyuki Maahir ne shaayad aapke saath bohot galat kiya ho lekin aapne bhi Bulbul ko 8 saal usse dur rakkha hai. Galti chahe kisise bhi hui ho aur chahe vo galti kitni bhi bari kyu na ho, apne bachche ke existence ki baat jaanne ka haq har ma baap ko hota hai aur ye reason kaafi hai stay order ki appeal reject karne ke liye. Agar aap log divorce ke liye bhi appeal karte na to kamsekam 6 mahine ka time aapko court vaise bhi deta kyuki aap dono itne saalo se ek saath nehi hai. Bela looked like a wounded tigress when Pratham completed his sentence and then he concluded finally, "Aap kisi bhi lawyer se consult kar sakti hai, sab aapko yahi kahenge. Bela, out of extreme anger threw away the paper and said, "Kabhi kabhi mujhe ye lagta hai jaise ye sab na ek planning hai aur is planning ka mastermind Maahir hai. Pratham chuckled and replied, "Agar Maahir ke paas itna dimaag hota to pehli baat aap dono alag nehi hote aur Bulbul Canada ke bajaaye India mein paida hoti. Instead of replying anything, Bela left from there and Suhaani, who was watching the scene came after Bela left and she hugged Pratham and said, "Baby do you know kya kamaal kiya hai tumne? Main hamesha chahti thi ke Maahir bhaiya aur didi ke beech mein sab thik ho jaaye. Par didi ka temperament dekha hai kaun baat karega unse? You did the best thing you know! Madhu too said to him, "Sachchi puttar in dono ne matlab kya batau tujhe main... Pratham replied, "Main jaanta hu buaji, main inki puri love story detail mein suni hai Kuhu se and one thing I know ke inke beech mein sirf pyar nehi hai balki ishq hai ishq aur kis hadh tak hai ye koi nehi keh sakta. Ye jo bachpana ye dono kar rahe hai na ye bas dikhaava hai apne andar ki asli feelings ko chupaane ka kyuki inke dil ki gehraayee mein kya hai ye inko khud ko nehi pata hai. They're dying to stay with each other kyuki agar aisa na hota to Bela bhi move on kar leti aur Maahir bhi Anu se shaadi kar chuka hota. Agar uparwaale ko in dono ko milaana nehi hota to Bulbul yaha kabhi nehi aati. Duniya mein jo kuch bhi hota hai uske peeche koi na koi vajah hoti hai. In dono ke pyar ki jo chingaari hai na vo 8 saalo mein dab gayi hai, bas isko hawa dene ki zarurat hai aur jabtak ye saath rahenge nehi aisa kabhi nehi hoga kyuki jab ye dono saath rahenge to ek dusre ke saath hone ke liye ye dono tarsenge dekhna ajeeb ajeeb aur atrangi bahaane dhundhenge ek dusre se ladne ke liye, ek dusre ko neecha dikhaane ke liye kyuki maine in dono ke dimaag mein aisa beej boya hai na ke ye dono Bulbul ke liye kam ek dusre se badla nikaalne ke liye saath rahenge aur phir... jab aag aur petrol ek saath ho to explosion mein waqt kitna lagta hai. Suhaani and Madhu both clapped and Suhaani put her arm on his shoulder and said, "Kya baat hai pyar mein PhD ki hui kya? Itni knowledge...!! Pratham replied, "Vo kya hai na baby law ki paraai mein psychology ka paper tha vo maine bara dhyaan se padha tha par... He looked at Bulbul, who was listening to them like a fool and was just tossing her eyes between the three of them got her eyes fixed at Pratham as soon as he looked at her and then Pratham continued, "Aaj to main yaha par Bulbul se baat karne aaya hu kyuki agar mujhe Bulbul ke mamma papa ko milwaana hai to Bulbul ka to isme bohot hi important role hai. He again sat down on the couch and held Bulbul's hand and said, "Bulbul beta abhi main jo kuch bhi aapko kahunga aapko bohot dhyaan se sunna parega aur agar aapne vaisa vaisa kiya to I promise you ke aapke mamma papa ko kabhi aapse koi alag nehi karega. Bulbul nodded her head in agreement and then Pratham continued, "Dekho beta aap jaante ho na ke mamma aur daddy ke beech mein thore issues hai aur jab aapke papa yaha aayenge aapke saath rehne to shaayad aapki mamma hamesha gussa karegi aur ye bhi ho sakta hai ke vo aapke papa se baat hi na kare aur is ghar mein bhi shaayad aapke papa ko kuch log pasand na kare. Bulbul immediately replied, "Mere daddy ko na sirf mamma aur auntynaani pasand nehi karti hai aur baaki sab mere daddy ke fan hai. Pratham said, "To aise mein aapko apne papa ka bohot dhyaan rakhna hai taaki koi unko yaha pareshaan nehi kar sakey... Before even Pratham could complete his sentence, Bulbul said, "Karne ke baare mein soch kar to dekhe, usko main cockroach ka soup nehi peela dungi. On hearing that and seeing Bulbul's expressions, Pratham just could not stop laughing and Suhaani replied, "O hullo halke mein mat lena isko, usdin mom ne apne kuch friends ke saamne Maahir bhaiya ki thori buraai ki thi to Bulbul ne jitna saara snacks tha unke plates par saare un ladies ke upar geera diye aur literally unko bhaga diya aur phir mom ke phone ko utha kar bathroom mein le jaa kar flush kar diya. Bulbul immediately replied Suhaani, "Ha to?? Dracula ka to samajhme aata hai, mamma unki beti hai, auntynaani ko kya problem hai? Mere daddy ne kya unke plate se unka favourate khaana chura kar kha liya tha? Vo mere daddy ki buraai karne waali hoti kaun hai? Vo jab bhi aisa karengi na main tab tab unke saath aisa hi karungi aur mujhe koi regret hai. Mere daddy ko agar kisine bhi pareshaan kiya ya unke baare mein bad bad bola to main unki life hell bana dungi.That's my girl!! Pratham appreciated Bulbul's spirit and then said, "Bas mujhe aur koi tension nehi hai baaki na aapki naani, maasi aur main sambhaal lunga. You just don't worry! Aap na bas ek aur cheez dhyaan rakhna ke mamma aur papa ye 6 months ek saath rahe chahe kuch bhi ho jaaye. Madhu said, "Tu uski fikar mat puttar ye hai na isko apne ma baap ki dukhti rag ka pata hai aur isko usey achche se exploit karna bhi aata hai. Pratham pulled Bulbul's cheeks and then asked her to get prepared for her father's welcome and also said that he himself will bring Maahir there. When Bulbul left, Pratham said to both Suhaani and Madhu, "Buaji aur Suhaani aap dono ko ek bohot hi important baat ka khayaal rakhna hai ke Maahir aur Bela kabhi bhi ek dusre se baat kiye bina nehi rehne chahiye kyuki jabtak baat nehi karenge, chahe jhagra hi karle tabtak unke andar andar ki chingaari ko hawa nehi lagegi. Unko tarsaana bohot zaruri hai so you both have to take care of that. Suhaani and Madhu both agreed to Pratham.

 

[2 days later]

Maahir's car stopped at a distance away from the Sarna House waiting for Pratham as he strictly instructed Maahir not to enter without him. In order to kill the time, Maahir decided to give a call to Kuhu.

M : "Kuhu main Sarna House ke bahaar hu!

K : "News channel par phone karke batadu ke tum waha pohoch chuke ho taaki vo aaye aur tumhaare naye ghar ke griha pravesh ka live telecast kar sakey?

M : (understood the sarcasm) "Tu hamesha aisa hi karti hai mere saath. Main to yaha aana hi nehi chahta tha vo to Bulbul ne thora... Is Pratham ke bachche ko na main sach mein...

K : "Pratham ko kuch mat bolna because he did a fabulous job aur kaisi roni si awaaz lekar mujhse baat kar rahe ho? Aisa lag raha hai ke sasural ja rahe ho jaha tumhaari saas tumhaara jeena haram karne ke liye bethi hai.

M : "Saas nehi hai maamisaas to hai aur meri biwi ka to bas chale mujhe truck ke neeche dhakka de degi.

K : "Tere paas vo hai jo inme se kisike paas nehi hai aur vo hai teri beti. Jabtak vo hai na tujhe koi kuch nehi kar sakta hai.

M : "Ha ye baat to hai! Is ek baat ke liye na Iam very thankful to Bela. Kya beti paida ki hai usne. Tu na meri biwi se tip le liyo, tere bhi aise bulldozer bachche paida honge.

Just then Maahir saw that Pratham's car had already arrived and so he disconnected his call with Kuhu. On seeing Maahir already waiting, Pratham came out of his car and looked at Maahir who was standing making a face with his luggage in one hand and Pratham also noticed that Maahir was looking at him in such a way as if he was ready to devour Pratham, if given a chance. Pratham looked at his face and giggled out loud and said, "Mujhe pata hai tera dil mujhe kha jaane ka kar raha hai par main tere pet mein fit nehi aaunga na yaar. Maahir replied, "Teri vajah se ye naya siyappa chaalu hua hai meri life mein. Is aurat ko mujhe 6 mahine jhelna parega teri vajah se. Main to raazi hi nehi tha lekin Bulbul ne na bola to main mana nehi kar paaya coz I love her. Pratham punched on Maahir's hand and replied, "Zyaada naatak nehi karna Bulbul ne tujhe bola nehi harkaaya hai aur beta you love her mother too. Abhi chal teri saas aur teri beti aakhe bichaaye tera intezaar kar rahe hai. He looked at Maahir who was still glaring at Pratham and so he pulled Maahir by his arm and walked towards the Sarna House.

 

When Maahir stood at the door step, Pratham, at first called Bulbul to come. Bulbul, that particular day had woken up early in the morning and had got ready to welcome her father and she was heavily excited about it and she didn't even sleep properly since the last night and nor did she allow Madhu to sleep properly and also for a whole day she didn't talk with her mother as she was very angry at her and Bela too didn't bother it as she was too occupied with the thought of Maahir staying under the same roof. Madhu had already prepared everything in the morning for Maahir's grand welcome and when he had finally arrived with Pratham, Bulbul's happiness had no limits. She came running to him and jumped over him and Maahir too picked her up in his arms and Bulbul hugged him tight and said, "I love you love you love you love you love you daddy!! Main aaj bohot bohot bohot bohot bohot zyaada khush hu. Maahir replied, "Khush to main bhi hu baby lekin... you know... Bulbul got so angry on seeing Maahir's shakiness that she stared at him for sometime and then asked him to put her down and then she angrily asked, "Daadi aapko bachpan mein dudh nehi pilaati thi? Maahir nodded his head and replied, "Ha pilaaya tha! Bulbul put her hands on her waist and said, "To phir aap itne darpok kaise ho sakte ho? Daddy aap mere daddy ho The Bulbul Sehgal ke, mere rehte huye agar aap aise daroge to ye to meri insult hui na and you know I don't forget my insult. Aap is tarah se mera reputation nehi bigaad sakte ho. Meri mamma ko dekho, meri jaisi bold hai aur aap ekdam phattu types. You can't be like that! Be brave and behave like my daddy! Pratham said to Maahir, "Bhai baat to sahi hai tu Bulbul ki reputation nehi kharaab kar sakta hai. Bulbul made a very proud face and seeing that Maahir gave a smile and said, "Main dar nehi rah ahu its just itne saalo baad mujhe Bulbul ki mamma ke saath waapas se rehna par raha hai to you know thora ajeeb lag raha hai isse zyaada aur kuch nehi. Bulbul replied, "Agar aisi baat hai to na ekdam Indian filmo ke hero ki tarah ek dhamaakedaar entry maarna aaj aur vo bhi sunglass ke saath. Ekdam mere daddy type jisse kin a saare dekhte reh jaaye. Maahir squeezed his brows and said, "Really??? Done!! Maahir took out his sunglasses and then said to Bulbul, "Ab dekhna apne daddy ka jalwa. He put on his sunglasses and then addressed everyone inside the house, "Bhai ghar ke bare jamai aaye hai. Koi swaagat nehi karega hamaara? Madhu was almost running towards the door and everyone were already there but on hearing his voice Bela and Mrs Sarna too came out in the hall. On seeing Maahir, Bela made a face and looked away from him. At first, Madhu did Maahir's aarti and took his evil eyes and then Maahir touched her feet and asked, "Saasumom main agar abse aapki beti ko pareshaan karu to aapko koi problem hogi? Madhu put a hand on her own cheek and replied, "Haaye rabba!! Menu ki problem hai? Biwi teri hai ab tu isko pareshaan kar, ke tu isse jhagra kar ab ye sab tum dono ke aapas ka maamla hai. Maahir replied, "Mujhe apni bachchi ki zindagi ke un beeto huye 8 saalo ka badla lena hai aapki beti se, aise hi to main usko chorne waala hu nehi. Bulbul pulled Maahir's hand and replied, "Zyaada nehi pareshaan karna meri mamma ko, varna main aapko pareshaan karna shuru kar dungi nehi to. Meri mamma thori si monstrous hai par achchi hai and I love my mamma. Madhu looked at Bulbul and said, "Arey teri ma se to tera baap bhi pyar karta hai aur tere alava puttar teri ma ko zyaada pareshaan karne waala aaj tak paida nehi hua hai. On the other side, Mrs. Saran was about to leave when Maahir called her and said, "Maamisaasji main aapka bara jamai hu, aap apne jamai ke saamne agar meri izzat nehi karengi to isse aapki reputation society mein down nehi ho jaayegi? Aur isse aapke samdhi kya sochenge? Aapko to meri sabse pehle aarti utaarni chahiye thi after all ye aapka ghar hai. Mrs. Sarna glared at Maahir and wanted to say something when her eyes fall on Pratham and she had to remain quiet and seeing that Pratham whispered to Maahir, "Tune to meri saas ko bhi chup kara diya. Maahir whispered back, "Agey agey dekhta ja bas! Teri saas kya meri aur meri beti ke saath ulta seedha karne waale har kisiko agar maine seedha nehi kiya to mera naam bhi Maahir Sehgal nehi aur teri bhabhi ka to main khaas khayaal rakkhunga. Mrs. Sarna came to Maahir and then took the thali from Madhu's hand and did Maahir's aarti and seeing that Bulbul was staring at Mrs Sarna as if her eyes will just pop out of the hole as she never imagined anyone else could make Mrs. Sarna do something like that. Mrs. Sarna said, "Hamaare ghar mein rehne to aa gaye ho lekin tumhaari yaha par na vahi aukaad hogi jo is ghar mein ajnabiyo ke saath hota hai. Maahir immediately replied, "Well... abhi aap chahe ya na chahe main hu to aapke ghar ki beti ka ek lauta waala pati matlab aapka jamai. Agar aap mujhe apna jamai nehi maanengi to mujhse bhi saas waali respect ki ummeed nehi kijiyega. Vaise bhi main yaha apni bachchi ke liye aapki nakchari bachchi ko jhelne aaya hu lekin agar kisiko meri kadar nehi hai... that's fine with me, mere liye meri beti aur meri saas hi kaafi hai. Vaise bhi galti aap logo ki bhi nehi hai, sarvgunsampann jamai aajkal milte nehi hai na to kadar bhi nehi hoti hai. Bulbul looked at her father with so much proud that she couldn't decide what she should do on seeing her father's attitude and she said, "Dekha daddy mere saath 7 days kya rahe aap bilkul change ho gaye, aaj na aap bilkul Bulbul Sehgal ke daddy types dialogues maar rahe ho. I'm so proud of you today. Mrs. Sarna returned the thaali to Madhu and said, "Main bhi dekhti hu ke mere ghar mein tum rehte kaise ho itne din. Agar maine bhi tumhe yaha se nehi nikaala na to main apna naam badal dungi. Maahir immediately held her hand and said, "Oh please maamisaasji, I'm telling you agar aa paisa kar paayi na to mujhse zyaada khush is duniya mein koi nehi hoga. Kyuki pehle to ye ke mujhe meri so called biwi ke saath rehna hi nehi hai aur dusra agar main yaha 6 mahina khatam hone se pehle nikla na to main akela nehi jaaunga, court order ke mutaabik meri bachchi bhi mere saath jaayegi. He said all those things very excitedly and his eyes too were glowing. Bela, who was standing far away was getting very happy thinking that at least she's not alone against Maahir but the moment when Maahir reminded them of the court order, Bela had to put aside her so called hatred' for Maahir and then said, "Maami please ye sab bandh kijiye aur usko andar aane dijiye, hamaare paas dusra koi option nehi hai aur vaise bhi subhe subhe mujhe ye saara tamasha achcha nehi lagta hai. At last, Maahir kept his step officially as a son-in-law' inside the house and then Bulbul said, "Pata hai aapke chakkar mein maine abhi tak khaana bhi nehi khaaya, mujhe itni saari bhukh lagi hai. Maahir replied, "Maine bhi na jaldi ke chakkar mein khaana hi nehi khaaya, bhukh to mujhe bhi lag rahi hai. On listening to that, Bela said, "Of course bhukkad baap ki beti hai, bhukh to lagegi hi, bigaadne mein to papa ne koi kasar chodi hi nehi hai. Bulbul made a face and seeing that Maahir angrily replied, "Mrs. Sehgal, I know you don't like me par vo kya hai na main bhi koi mara nehi ja raha hu tumhaare saath rehne ke liye. Main sirf Bulbul ke liye yaha par aaya hu aur main to usko apne saath lekar hi jaaunga aur khabardaar agar meri bachchi ke khaane par nazar daali to. Bela turned her face away from him and was about to leave when Bulbul held her hand and said, "Mamma aap please mere daddy ke saath jhagra mat karo, vo to sirf 6 months ke liye aaye hai na aur main to aapke saath bhi rehna chahti hu na mamma, aap dono ke saath to please fight mat karo. Bela replied, "Beta tum shaayad hum dono ke saath rehna chahti ho lekin main tumhaare daddy ke saath nehi rehna chahti hu aur is janam mein ye possible bhi nehi hai. Tum jaao, abhi tumhaare life ke sabse favourate person tumhaare saath hai na. You just go and have your food. Bulbul knew that her mother sometimes gets mad at her but that day, for the first time, after Maahir re-entered her life, Bulbul saw something in her eyes which neither she understood nor she could digest as she never saw that look in Bela's eyes which was very different according to her. Bulbul slowly left her mother's hand and Bela left from there and after she left, she sadly made a pout and hugged Maahir by his waist and Maahir said, "Koi baat nehi puttar, main hu na. Aapki mamma na hamesha se aisi hi thi nakchdhi. Bulbul replied, "Par mamma ne aisa mere saath kabhi nehi kiya hai pehle. Maahir picked her up in his arms and said, "Kyuki vo jhalli hai, paagal hai, vo kya hai na main yaha par aa gaya hu to bas vo thori si cheedhi hui hai aur kuch nehi. Vo thori der baad thik ho jaayegi. Seeing Bulbul still upset, Maahir said, "Aise muh nehi saraate hai puttar, ye to aapki mamma ka signature expression hai. Abhi chalo chalkar khaana khaate hai. Saying he took her with him as he followed Madhu to the dining room. 

Posted: 5 years ago
Finally entry hogai ghar me
Very nice
Posted: 5 years ago
Nice update dear
Loved it
Mahir entry scene was nice
Liked bulbul dialogues
Waiting for next update soon
Thanks
Posted: 5 years ago
Superb as always... thanks for d update
Posted: 4 years ago
Originally posted by Preciousevil


Beautiful
thanks
Posted: 4 years ago
Originally posted by Priya258


Finally entry hogai ghar meVery nice
thanks
Posted: 4 years ago
Originally posted by asifiqbalsh


Nice update dearLoved itMahir entry scene was niceLiked bulbul dialoguesWaiting for next update soonThanks
thanks
Posted: 4 years ago
Originally posted by Pratiksha_A


Superb as always... thanks for d update
thanks
Posted: 4 years ago

Please update dear

Waiting for update

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

31 Participants 416 Replies 65985Views

Topic started by -Paulomi-

Last replied by Mahee114

loader
loader
up-open TOP