Sher O Shayri

Heart Touching Hindi Shayari - Page 3

Created

Last reply

Replies

28

Views

7839

Users

6

Likes

23

Frequent Posters

.nilu. thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
All the shers are amazing, keep it up!👏
rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Ek ajeeb dastaan hain merey afsaane ki
Mene pal pal ki kosis uske paas jane ki
Naseeb the mere yaa, sajish zamane ki
dur hui mjse utni, jitni umid thi karib aane ki
rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Very True Lines in Hindi -

Hume waqt aur teacher dono sikhate hain
Par Waqt aur Teacher me sirf itna sa fark h
Teacher sikha ke imtihaan leta hain
Aur Waqt imtihaan lekar sikhata hain

rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Truth Of Life in Hindi -

Truth no 1 - Maa ke siwa koyi wafadaar nahi
Truth no 2 - Gareeb ka koyi dost nahi
Truth no 3 - Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain
Truth no 4 - Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi
Truth no 5 - Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain

rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Kabar me dafnaate hi,
Sare rishte tut jate h

Chand dino mein apne
Apno ko bhul jate h

Koyi nahi rota umar
Bhar kisi ke liye

Waqt ke sath aansu
Bhi sukh jate hain
rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Mohabbat aankho se nikle ashko ko moti bana deti h
Mohabbat gehre zakhmo par b marham laga deti hai,
Jab jeene ki koi bhi vajah hi naa bachi ho,
Tab Mohabbat maut ko bhi zindagi bana deti hain
rajpbm thumbnail
Posted: 7 years ago
Saare sitam seh kar kitney hi gum chipaye humne
Teri khaateer har din laakh aansoo bahaye humne
Tuh toh chhod bhi gaya humein raasto mein akela
Bas terey diye ghaav har ekk se chipaaye humne

Edited by rajpbm - 7 years ago
CalmeR thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 7 years ago
Uska ishq Chand jaisa tha
Pura hua aur ghatne lga
rajpbm thumbnail
Posted: 6 years ago
Suna hain aajkal bacche badi jaldi bade ho jate h
aur umr se pahle hi, apne pero par khade ho jate h

Hume to barso lag gaye, ab tak bade nahi ho paye
Apne hi pero par, ab tak khade nahi ho paaye

Pata nahi umar gujar gaye ke hum gujar gaye
Galtiya sudharte sudharte jaane kidhar gaye 

Suna hain aajkal log bahut jaldi bhool jaate hain 
hume aas paas dekh kar, dur se hi nikal jaate hain

Edited by rajpbm - 6 years ago