Kaya OS Tere Ishq ki mujhko Aadat hai...kaya forever..

Posted: 7 years ago
 i m here with an os ( one shot ) on Our KaYa...



Tere Ishq Ki Mujhko Aadat hai...

Rg ka parda fash karne ke baad... finally kabeer ko apne guilt se mukti milti hai... aur ananya wo to bar - bar bas kabeer ki ore dekh rahi thi... mano kuchh kehna chah rahi ho... kuchh sunna chah rahi ho kabeer se... aur kabeer wo to kabhi bolne me yakeen hi nahi karta... uski aankhien hi kafi hai... uske dil ka haal bataane ke liye... kabeer PCR ke baahar khada tha... aur bas kabhi ananya ko to kabhi apne dosto ko dekh raha tha... par ananya kuchh na keh paayi... finally kabeer wahan se chala gaya... kabeer lift ke pass pahunch gaya tha... use aisa laga mano abhi ananaya aa jayegi aur use apna legi... usne mud kar dekha par koi nahi tha... kabeer lift me chala gaya... jaise hi lift ka door close hua... ki ananya aa gayi... lift ke ander kabeer ki aankhon ne uska sath na diya... wo chhalak hi gayi... aur yahan bahar ananya bas lift ko dekhe ja rahi thi... aur betahasha uski aankhon se aanshun beh rahe the...

kabeer apne ghar pahunch gaya... aur usne bas apne kamre me khud ko band kar lia...aur yahan ananya bhi apne ghar pahunchi... anitaji aur armaan bhi sath the... ananya bina kuchh kahe apne room me chali gayi... kabeer apne kamre me tha... tuta hua sa tha wo... kyuki kahin na kahin uske dil me yeh aas thi ki ananya use rok legi par aisa hua nahi... wahi dusri taraf ananya ka haal bhi kuchh kam kharaab na tha... wo bhi dard me thi... use laga tha... ki kabeer apna wada jarur nibhayega... aur use chhod kar kabhi nahi jayega...

ananya:- kyun kabeer kyun... kyun... kyun kyun... kyun chale gaye aap... aap bhi papa ki tarah hi nikale... jab mujhe aapki jarurat thi to aap chale gaye...

kabeer:- manta hun... manta hu ki bahut badi galti ki hai maine... par kya is galti ki manfi nahi hai ananya... pehli baar mujhe sachhe pyar ka ehsaas hua... par afsos maine use bhi kho diya... ( screen devided in 2.. both kabeer and ananya are crying...)...

ananya tut chuki thi ki kisi ki awaaz ne uska dhyaan kheecha... anita ji door par hi khadi thi... apni beti ki yeh haalat unse dekhi na ja rahi thi...

anitaji:-  har baat ke liye kabeer ko dosh dena band kar ananya...

ananya:-maa...

anitaji ( anader aa kar ananya ke pass khadi ho gayi):- kya kaha tune ha... wo kyun chala gaya... to sun usne wahi kiya jo tu chahti thi... mana ananya ki kabeer ki galat tha... par puri tarah se nahi... aur yeh tu bhi achhi tarah se janti hai... agar tu bhi kabeer ki jagah hoti to sayad wahi karti jo kabeer ne us waqt kiya... apne pariwaar ko chunti... nahi sayad nahi... tu apne pariwaar ko hi chunti... abhi bhi itani der nahi hui hai ananya... rok le use... mat jaane de apne pyar ko apne aap se door... main janti hu kitna chaha hai tune use...( anitaji jaane lagi... ananya ne unka hath pakda... wo ruk gayi...)...

ananya:- ma...i love him... i love him alot... kaise jaaun ma... kis muh se jaaun main unke pass... maine unke sath bahut galat kiya hai... ( anita ji uske saamne baithi...)...

anitaji:- yeh jo pyar hota hai na... usme lafzo ki jarurat nahi padti... bas ek baar use pukaar le... mera dil kehta hai... ki wo dauda chala aayega... ab yeh tere upar hai ki tu kya karna chahti hai...( anita ji uth kar chali gayi... aur door k pass pahunch kar ruki aur fir ananya ki taraf dekha...aur kaha...) ananya jitna maine kabeer ko jana hai... bas tu ek awaaz laga wo dauda chala aayega... bahut pyar karta hai wo tujhse... usse jyada pyar karne wala tujhe nahi milega... (anitaji left)...

yahan kabeer bas ananya ke baare me soch raha tha... wahin use is baat ka bhi dar tha ki ab kaise kaam kar payega wo ananya ke sath...kafi waqt beet gaya... almost rat ke 10 baj gayi thi... ananya ne badi muskil se himmat jutaai... aur kabeer ka landline dail kia...kabeer ne pick kiya...

kabeer:- hello...( but ananya kuchh na bol paai...) hello... (Again ananya bas apni aankhien band karke kabeer ki awaaz ko mehsoos kar rahi thi...) h... ( kabeer bhi samajh gaya... wo bhi bas chup ho gaya... kareeb 1 minute tak dono aise hi ek dusre ki bhaari saansien mehsoos kar rahe the... finally kabeer dheere se bola...) ananyaaa... (ananya closed her eyes tightly tears flows down to her cheek... uski siskiyaan kabeer sun paa raha tha...)

ananya:- kabeeerrr...( kabeer closed his eyes... and a sweet smile appears on his face...)... main aapse... (kabeer ne ananya ko bolne nahi diya aur khud bol pada...)...

kabeer:- main tumhara intezaar karunga ananya... aadhe ghante me wahi... jahan humare beech sab kuchh sahi hua tha... wahi jahan hum bina boze ke ek hue the... main kabeer ki ananya ka intezaar karunga...

he cuts the call... ananya is smiling... wo jhat se apne aanshun pochhti hai... aur anitaji ke pass jati hai... jo bahar hall me baithi thi...

ananya:-maa... ( anitaji looks at her...aur ananya ki aankhon ki chamak aur smile se sab samajh gayi...)

anitaji;- ja mere bete aur damaad dono ko wapas lekar aana...

ananya ne apni maa ko hug kiya... aur apne room me gayi... use kuchh yaad aaya...{kabeer's word:- main kabeer ki ananya ka intezaar karunga...} ananya apne cupboard ke pass gayi aur usne ek saaree nikali... yeh wahi saaree thi jo kabeer ne apni engagement me ananya ko gift ki thi... ananya ne jaldi se change kiya... aur mirror ke saamne gayi... wo us saaree me bahut jyada khubsurat lag rahi thi... usne halka sa make up kiya... aaj ananya apne kabeer ke liye ready ho rahi thi... isliye wo koi kami nahi karna chahti thi... usne apne baal khule rakhe... hanthon me chudiyaan pehni... to pairo me payal... kaan me bade- bade earings jo uske soulders ko kiss kar rahe the... wahi aankhon me apne kabeer ke liye dher sara pyar... wo taiyaar hokar nikal gayi... anitaji ne use jate dekha... unki aankhon me khushi ke aanshun the...

dusri taraf kabeer ne ananya ko keh to diya tha... ki use apni ananya se milna hai... par jo kuchh bhi beete dino hua tha... wo sure nahi tha... ki ananya aayegi bhi ya nahi... aayegi bhi to kya uski ananya aayegi... uska dil keh raha tha ki ananya jarur aayegi... par uska dimaag uska sath nahi de raha tha...isi kasmakash me wo nikal gaya...

kabeer wahan pahunch gaya tha... par ananya nahi... yeh wahi jagah hai... wahi khuli road jahan kabeer ne apna past ananya ko bataya tha... jahan sahi mayno me kabeer aur ananya ko ek dusre ki pyar ki gehraai ka andaza hua tha...is waqt yeh road puri khaali thi...kabeer ka dil ghabra raha tha...wahi mausam bhi kuchh sahi nahi tha...tufaani hawaaye chal rahi thi... aisa lag raha tha mano ki abhi tufaan aa jayega... kabeer ka man aur bechain ho gaya... kabeer aaj apne aur ananya ke beech ke saare faslo ko mitana chahta tha... par kahin na kahin ek anjana dar bhi tha... finally ananya wahan pahunch gayi... kabeer jo yahan se wahan tahal raha tha... use ananya ka ehsaas bhi hua... sath me uske payal ki awaaz ne kabeer ke dil ki dhadkano ko aur bhi badha diya tha... kabeer turn hua... uske peeche ananya khadi thi... ananya ko dekhte hi kabeer ki ankhon me aanshun aa gaye... wahi ananya ki aankhien bhi num ho gayi...

dono hi ek dusre ke nazdeek aa rahe the.. dono ko hi ek dusre ke sath guzaare saare pal yaad aa rahe the... dono ek dusre se saamne khade the... bas ek fit ka fasla tha...

kaise bataaye...
kaise jataaye...
subah tak tujhme jeena chaahien...
bheege labon ki... bheegi hasi ko...
peene ka mausam hai... peena chahein...

dono hi bas ek dusre ki aankhon me dekh rahe hai... koi kuchh nahi keh raha tha... ananya ko saaree me dekh kabeer sab kuchh samajh gaya tha... par uska dil abhi bhi ananya ke honthon se sunna chahta hai... wo bas ander hi ander tadap raha tha...wahi ananya wo to bas apne kabeer ki baahon me jana chahti thi... usme samana chahti thi...

ananya:- kabe...

par kabeer ne ananya ko bolne nahi diya... he pulled her with great force towards him... and placed his lips on hers... firstly ananya was taken a back... bcz she doesnt expect this at this time... but soon she also surrenders... she was also responding with the same passion...they were kissing eacthother... but both were crying...aur sayad aasmaan bhi ro raha tha... ya inke milne ki khusiyaan mana raha tha... ki bahut tez baarish suru ho gayi thi... dono puri tarah se bheeg rahe the...  after some times... he left her gently... he sat down on her knees... and hugs her by her waist... and crying bitterly... dono ke jajbaat bahut kuchh keh rahe the... sayad dono me se kisi ko ab kuchh bolne ki jarurat nahi thi... par phir bhi kabeer bola... kyuki sayad agar aaj wo chup rahega to kabhi kuchh nahi keh payega...

ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aadat hai...
ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aaadat haiii...
aaadat haiii...ohhhooo...
aaadat haiii...ohhhooo...
aaadat haiii...

kabeer( still hugging her... ananya is ruffling his hair):- ananya... main nahi kahunga ki main tumhare bina jee nahi sakta... kyuki is duniyaan me koi bhi kisi ke bina bhi jee sakta hai... par ha meri wo zindagi... zindagi nahi hogi... main yeh nahi kahunga ki tum  mera pehla pyar ho... par tum mera sachha pyar ho... tum wo ho jisne is kabeer sharma ko jeena shikhaya hai... tum wo ho... jisne is kabeer ke shoye hue jajbaato ko jagaya hai... ( ananya is smiling...bcz wo achhi tarah se samajh rahi thi... ) ananya... plzz plzz dont go away... i love  you...  love you more than i love my self... mujhe tumhare sath rehna hai ananya... tumhara ban kar... tumhara hokar...  tum meri aadat ban chuki ho ananya... aur main yeh aadat nahi chhodna chahta... an...an... ( he was crying... wo bol nahi pa raha tha... ananya ne use khada kiya... baarish ho rahi thi... par kabeer ke aanshun ananya ko dikh rahe the...jo uske dil ko cheer kar nikal rahe the...ananya ne kabeer ke  aanshun pochhe...)...

ehsaas tere aur mere to...
ek duje se... jud raheee...
ek teri talab.. mujhe aisi lagi...
mere hose bhi udne lage...

ananya:- i hate you... i hate u for loving me like this... i hate u for caring me like this... ( she is crying...) i... i... cant hate u... bcz i love you..i love u very much... mana... mana ki maine aapko nahi roka... par aap... aap mujhe jante hai na... ki main kaisi hu... impulsive, stuborn... aapki stupid reporter hu na main... aap jante hai... har kaam me gadabad karti hu... aur dekhiye na... humare is rishtey me bhi maine... ( kabeer placed his finger on her lips  which make her stop to speek...)...


kabeer:- nahi ananya ab aur nahi... bas ek mauka chahiye mujhe... main is rishtey ko kamiyaab banana chahta hu ananya... ( ananya nods in yes... on which a brightest smile appears on kabeer's lip...)...

mujhe milta sukun... teri baahon mein...
jannat jaisi... ek raahat hai...

kabeer again hugs him... both were hugging eachother... ab sayad bhagwaan bhi inke milne ka jashn mana raha tha... joro se bijali kadakti hai... jis kaaran ananya kabeer ko apni taraf pull karti hai...

kabeer(still hugging):- ananya mujhse shadi karogi...( ananya ne aur tightly use hug kiya...) abhi isi waqt... ( ananya thoda hairaan hui... usne kabeer ko dekha...) nahi reh sakta main ab tumse door... ya yeh kahun ki... tumhe khone se darta hu... ek dar sa baith gaya hai man me ki phir koi aayega aur mujhe tumse door kar dega... ( kabeer wapas apni knees pe baitha... usne apne pocket se ring nikaali... aur ananya ki taraf badhaaya...) bolo ananya kya shadi karogi mujhse... banogi meri humesha - humesha ke liye... ( ananya kisi soch me pad gayi...) yeh soch rahi ho ki bina kisi ko bataye yun shadi... ( ananya humesha nahi samajh pati ki kaise kabeer ko uske dil ki baat pata chal jati hai... kabeer khada hua aur  aasmaan ki taraf ungli karte hue bolta hai...)... wo dekho ananya... wo hai humare apne... ( aasmaan me 2 stars the... ) wo koi aur nahi... tumhare papa... aur humara ronnie hai... (ananya ne aasmaan ki ore dekha...) itane tufaan ke baad bhi dekho hume dekh rahe hai... chamak rahe hai... khush hai... kya tum...(ananya again hugs him...)...

ananya( with closed eyes):- mujhe apna bana lijiye kabeer... har tarah se apna bana lijiye... kyuki ab main aapse door nahi reh sakti... aapko nahi pata kis tak chaha hai maine aapko... main... main...

kabeer ne ananya ko apne aap se door kiya... wapas apni knees me baitha... aur ananya ki love finger me usne ring pehna di... wapas khada hua... usne ananya ki saree ka aanchal pakda... aur us aanchal se ananya ko lapet diya... aur use apni baahon me utha kar chalne laga... dono hi ek dusre ki aankhon me dekh rahe the... wo saare pal jo unhone sath guzare sabhi yaad aa rahe the unhe...ananya ne ek baar bhi nahi puchha ki kabeer use kaha lekar ja raha tha... halki - halki baarish abhi bhi ho rahi thi... par dono ko koi fark nahi pad raha tha... kabeer kuchh door jakar ruka ... usne ananya ko ishara kiya ki saamne dekhe... ananya ne apni nazare kabeer se hatai aur saamne dekha ek chhota sa mandir tha... ananya samajh gayi... ananya ne jhatke se apni sandals utaar di... kabeer ne apne jute utaare... aur ananya ko apni baahon me liye hue mandir ke stairs chadhne laga... dono abhi bhi bas ek dusre ko dekhe ja rahe the... finally mandir me pahunchane ke baad kabeer ne ananya ko utaar diya...

kabeer:- pandit ji... humein shadi karni hai... abhi isi waqt...

pandit ji:- par beta mausam to dekho... aur tum dono to bheege hue...

kabeer:- abhi to sab kuchh theek hua hai pandit ji... plzz pandit ji...

pandit ji:- theek hai... mujhe thoda waqt do... main abhi sab karta hun...

thodi der baad kabeer aur ananya hawan kund ke saamne baithe the... unka subh vivaah jo ho raha tha... dono saat phere lete hai... kabeer ananya ki maangh bhar deta hai... aur use mangal sutra pehna deta hai... dono ke hi aankhon me azeeb si chamak thi... jaise dono ne duniyaa jeet li ho... dono hi pandit ji ka ashirwaad lete hai... kabeer unhe dakshina deta hai... aur fir pandit ji chale jate hai... kabeer ananya ko apni taraf turn karta hai... aur use apni baahon me utha kar us jagah pahuchta hai... jahan usne apni car park ki thi... ananya ko to mano kuchh hose na tha... bas kabeer ko hi dekhe ja rahi thi... kabeer ananya ko car me bithata hai... aur apni ghar ki ore chala jata hai... dono kabeer ke ghar pahunchte hai... kabeer wapas ananya ko apni baahon me leta hai... aur usi tarah ananya ko uske ghar ke ander lata hai... aur sheedha apne bedroom me chala jata hai... dono hi bedroom me pahunchte hai... kabeer ananya ko bed ke pass khada karta hai... aur turn hota hai ki ananya uska hath pakad leti hai... ananya kabeer ko kas ke use hug kar leti hai... kabeer samajh raha tha  ananya ke mann ka hall... wo ananya ko apne aap se door karta hai... use mirror ke saamne lekar jata hai... ananya apni palkein jhukaaye khadi thi...

ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aadat hai...
ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aaadat haiii...
aaadat haiii...ohhhooo...
aaadat haiii...ohhhooo...
aaadat haiii...

kabeer:- ananya saamne dekho... mrs ananya kabeer sharma khadi hai... ( ananya ne apni aakhien band kar li kyuki wo bas is shabd ko mehsoos karna chah rahi thi... fir usne halke se apni aankhien kholi...) not a bad couple ha... (ananya smile karti hai... aur turn hokar kabeer ke neck me apni baahien dalti hai...)...

ananya:- perfect couple... ( kabeer smiles...)

kyun sabse juda...kyun sabse alag...
andaaz tere lagte...
beshaakhta hum... saaye se tere...
har shaam lipatate hai...

dono bas ek dusre ko dekh rahe the... kabeer halke se ananya ko apni taraf pull karta hai...  and they have a passionate smooch...he separates her... then looks at her eyes... he kissed her on her fore head... then both eyes then both cheeks... and starts kissing on her neck... ananya also starts pulling him... they both were invoved in their love deeply...

har waqt mera...qurbat me teri...
jab guzre toh... ibaadat hai...
ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aadat hai...
ek baat kahu kya izaazat hai...
tere ishq ki mujhko aaadat haiii...
ohhhooo...
aaadat haiii...ohhhooo...
aaadat haiii...ohhhooo... teri aaadat hai...

kabeer ananya ko apni baahon me uthata hai... aur bed par le jata hai... both were busy in their kissing... kabeer's hands goes to untie the last string of her blouse... ananya's hands were busy to open button of his shirt... and after some time both kabeer ananya became one... they became KaYa...

its about 3 in the night... dono hi ek dusre ki baahon me so rahe the...ki ananya ki aankh khuli... usne kabeer ko dekha... jo bade araam se so raha tha... uske face pe jo smile thi... wo sayad is duniyaan me sabse pyari thi ananya ko... ananya ne dheere se kabeer ke fore head ko kiss kiya... fir apne charo taraf dekha... aur room ki haalat dekh kar use sharam aa rahi thi... aur sath me ek ehsaas tha ananya ke dil me... pure hone ka ehsaas... aaj se jyada khush ananya kabhi na thi... wo yunhi baithi rahi... kabhi kabeer ko dekh rahi thi... to kabhi apne aur kabeer ke sath bitaaye sabhi palon ko yaad kar rahi thi... fir wo halke se apne sir pe marti hai... aur wash room chali jati hai... aur dress hokar aati hai... uska sindoor waisa hi tha... aur usne mangalsutra bhi pehna tha...bahut - bahut jyada khubsurat lag rahi thi ananya...kabeer abhi bhi so raha tha... ananya kabeer ke pass gayi aur bagal me baith gayi...

ananya:- kabeer uthiye... kabeer... kabeer...

kabeer:- sone do yaar...

ananya:- kabeer hume ghar jana hai... ma chinta kar rahi hogi... ( ma ka naam sunte hi kabeer uth kar baith gaya,... aur tension me bhi aa gaya...)...yahi soch rahe hai na... ki ma ko kya jawaab deinge... (kabeer looks at her...) wo ma hai kabeer samajh jayegi... ab chale... ( kabeer held her hand...)...

kabeer:- bahut khubsurat lag rahi ho...( both hugs...)

its anout 4:30 in the morning kabeer ananya dono hi ananya ke ghar pahunchte hai...anita ji to sofe me hi so gayi thi... we uthi aur unhone door khola... aur kabeer ananya ko dekh kar bahut khush thi... par ananya ki maangh ka sindoor aur mangal sutra dekh kar shocked thi...

ananya:- ma wo... ( she looked at him...)...

kabeer ne anitaji ka hath pakda aur sabhi ander aaye... armaan bhi aa gaya...

kabeer:- ma... humne shadi kar li hai... ( armaan aur anitaji shocked the...) ha ab aap pucheingi kyun... to wo isliye... ki main ab ananya ko nahi kho sakta tha... darta tha ki kahin fir kuchh... ( anitaji placed her hand on his lips...)...

anitaji:- main samajh sakti hun... aur sach kahun main bahut khush hun... mujhe pura yakeen tha ki tum dono sath me hi aaoge... ( both kabeer and ananya hugs her... armaan too...)

aise hi waqt beet gaya... kabeer aur ananya, ananya ke room me hi so gaye... unke office ka time hua to dono jaage... aur ready hue... ananya ne apni jeans aur top pehna aur dono bahar aaye...

anitaji:- yeh kya teri shadi ho gayi hai ananya... aise kapde pehnegi...

ananya( muh bana kar ):- ma... mujhe reporting karni hai... saree pehen ke karungi kya...?

kabeer:- ofcrs not... u r looking perfect... tum jaisi ho... mujhe waisi hi pasand ho...

ananya:- dekha ma... i m always perfect... ( all smiles...)

thodi der baad kaya kkn pahunche...

kabeer:- hello every one... a good news for all of you... (ananya ko hath dekar bulata hai...) inse miliye... yeh kkn ki senior reporter... aur meri wife... mrs ananya sharma...( all are happily shocked... but sabhi bahut khush the kaya ke liye...)...

aise hi inki zindagi aur reporting ke din beetane lage...sabhi apni life me khush the... anitaji aur armaan bhi ab kaya ke sath kabeer ke hi ghar me rehte hai... like a happy family... aur kkn wo to inka dusra ghar aur pariwaar tha... jahan ronnie ki jagah naya input editor aaya... wahi kabeer an kkn ka business head hai... aur manav EIC... richa aur ananya senior reporters... they all are actually happy with eachother...


END...


press like if you really liked it...
do comment...
love Chandni...
***********************************************
***********************************************

Edited by rkchandni - 7 years ago
Posted: 7 years ago
Originally posted by GERUA


nice os

Thanks dear 
Posted: 7 years ago
Beautiful os 
Emotions are depicted beautifully 
Do write more on kaya 
Thanks for the pm 
Posted: 7 years ago
Nice update
It's beautiful
Thanks for the pm
Posted: 7 years ago
lovely os beautifully written thanks pm
Posted: 7 years ago
lovely os beautifully written thanks for pm
Posted: 7 years ago
The OS was wonderful!!
It was emotional and you described their emotions beautifully!!
Thanks for the pm
Posted: 7 years ago
such a sweet OS...reporters is my second fav serial after LRL
emotional n happy moments all at d same time...i just loved this OS😊
thanks for PM😊
Posted: 7 years ago
Superb nd fantastic ud.finally kaya is married couple ab show me to un dono ki shaadi nahi dikhayi?nice os...
Posted: 7 years ago
Originally posted by npksk8495


lovely os beautifully written thanks for pm

Thanks dear 

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Mohabbat hai(OS based on the music video Mohabbat Hai)

pencil jasminerahul   stackexchange 9   eye 406

jasminerahul 9 406 a month ago khwaishfan
Rivanya,Ishveer,Swasan and Shivika ff - Ishq wala love

pencil sarveshjoshi42   stackexchange 183   eye 25722

sarveshjoshi42 183 25722 26 days ago sarveshjoshi42
FF- Ishq Ibadat Hai | Thread#5 | Do Dil Ek Jaan | RanTara

pencil DamRyeong   stackexchange 23   eye 1212

DamRyeong 23 1212 2 months ago coderlady
FF- Kaun Hai Wo Mera..? Sab Kuchh..! | Thread#2 | DDEJ | RanTara

pencil DamRyeong   stackexchange 16   eye 793

DamRyeong 16 793 4 months ago coderlady

Topic Info

15 Participants 39 Replies 5079Views

Topic started by rkchandni

Last replied by rkchandni

loader
loader
up-open TOP