Fan Fictions

Kashish Pyar ki..by kiran(sujal kashish)

rajeev1 thumbnail
Posted: 17 years ago

Hey guys ....herez Kashish Pyaar ki.....a Tribute to Kiran (kahish-rox)πŸ˜†πŸ˜†..

Kashish pyaar ki is one of my personal fav stories...that our dear writer kiran never intended to finishπŸ˜›...so after loads of thoughts..conviction ..pleading hehehehe..i finally manged to get the story in my handπŸ˜†πŸ˜†...and now i'll be continuing it...(with kiarn's approval ofcourseπŸ˜‰πŸ˜›)......so guys the first13 or 14 parts will be hers.....followed by mine....as i am heer to end this story hehehehe

so here is Kashish Pyaari ki......The Intro....................

Kashish Pyaar Ki....(Pyaar Dosti Hai)

 

i think taht first u should get better acquainted with the two main ppl of the story so i will not start it today..if u want me to give the detailed information of the oher characters as well then tell em...wiasey the index of all the other characters is given and other new characters will be introduced in the story later whenver their entry is required!!

well now here is a more detailed info abt the main characters of the story....

Kashish:well she is a true typical punjabi gurl...wears a lot of churidars and parandas with long earrings and a khussa or a kolapuri...sometimes she also wears a gharara...on every occassion she is he one who looks the best and unique...too cool gurl...she is a very i-dun-care kind of a gurl...very happygo-lucky...hamesha hansti rehti hai aur bhut ziada shararti hai...bachon ke saath mil ker bhut hi ziada bachi ban jati hai..cute and adoable...aik aissi larki jiss ko pyaar karney sey koi bhi nahi reh pata...woh sab sey itna pyaar karti hai keh sab ussey apni beti, behen ya best friend bana leta hai...harr waqt khush rehtiu hai aur logon ko bhi hansati hai...lekin jab kisi ki problem hoti hai to bhut ziada caring aur understanding ban jati hai...at the age of 10 uss ke parents ki death ho gayi thi aur tab sey wo rampur nmain apni dadi...bebe aur apni bua, aur chachi key saath rehti hai...uss ki buaje..jinhay woh beyji kehti hai...un key husband marr gaye tahy aur un key koi bachey nahi hain..kashish ko apni beti manti hain...chachi tulsi aur un ki pyari si beti krippa...krippa aur kashish are the best of friends...harr baat discuss karti hain lekin kashish krippa se different hai...kashish aur beyji bebe tulsi chachi aur krippa aik barri haweli main rampur main rehtey hain...krippa key pita mihir is in london....aur ab more abt kashish...uss ka pet name ashu hai (this also suits her comes outta her name and this is also for my cutest friend mehraal), she loves music and dancing, aur sab uss ko ashu bulatay hain...kashish key kamrey main ap ko yeh cheezen millen gi: makeup (loads of it)..jewellery (abundance) too many parandas...her wardrobe is bulging with clothes...aik laptop jo chachu mihir ney bheja tha jiss per woh rozana india-forums per logon hoti hai aur aik tv jiss per woh roz star plus dekhti hai...uss ke kamray key harr konnay main flowers milley gai...jootay hazaron i taddad sey hongay aur perfumes bhut ziada....bhut ziada junkfood khati hai aur ussey pyaar per bhut bharosa hai...uss ka sab sey pyara aur sab sey close child-hood friend...sujal...jo key uss ka cuzin bhi hai...parvati aur om...unhain woh badima aur badey-papa kehti hai kyunki uss key apnay parents nahi hain...sujal ki uss sey bhut ziada gehri dosti hai aur woh donnon apnau dil ki harr baat aik doosrey ko batatay hain...filhaal sujal london main parhayi complete kar raha hai aur kashish uss ko rozana mai karti ai...infact uss ka mailbox sirf sujal ki mails sey bhara hua hai...saahil ko bhaiya, shruti ko shruti-jiji aur varrun ko babyboy kehti hai cuz varrun uss key liye chottay bhai ki tarah hai...veena ko choti-ma kehti hai aur lalit ko papaji....angad se darti hai jabke ussi ka age ka hai almost lekin attitude uss ka kash ko pasand nahi hai..mehek uss ki behen ki tarah hai...well tahts almost all abt kashish...no...one very IMP thing...uss ka ghussa bhut khatarnaak hai aur aik baar jab ussey ghussa ata hai to God save u!!!!

Sujal:ab ayi an barri apni sweeto ki...well sujal aik bhut hi cute aur adorable boy hai...woh abroad gaya hua hai parhanay lekin bhut..what u say..kinda sanskari larka hai..well he is not sissy aur a mummy daddy boy...woh bhut hi self-respecting banda hai...uss ki nature is like a bit arrogant, a bit full of attitude yet a boy every gurl dreams of...he is not messy, he is carefl to take full care of his respnsibilities, not a flirt at all and though gurls die on him but he doesn't pay heed..uss ka manana hai keh duniya main koi aik aissi larki hai jo sirf aur sirf uss ke liye banni hai aur aik na aik din woh uss key samney zaroor ayegi aur jo marzi ho jaye woh ussey dhoondh nikalay ga..sujal ko pyar per bhut gehra vishwas hai aur uss ko u can sey pyaar sey pyaar hai...woh yeh sochta hai keh apna time waste karney ka koi faida nahi hai doosri larkion per jab uss ki qismat main aik hi larki likhi hai...woh apni dressing ka bhut khyal rakhta hai aur hamesha well-dressed rehta hai...jo log uss ke dil ke kareeb hotey hain unhain woh bhut value karta hai aur agar koi bhi unhain takleef pohanchaye to sujal yeh bardasht nahi karta aur badla leta hai...uss ki naure main aik rawness hai aik burri side hai jo sirf uss ke dushmanon ke liye hoti hai...woh apnay ya ksii apnay ke dard ka badla poori tarah leta hai...uss key pass woh sab kuch ahi jo koi bhi chahta hai...well established business family background..a loving and caring family....good looks...good education...and the best..the most cute gurl as her bestest friend..kashish....woh ussey bhut pyaar karta hai (as a friend ok) aur uss ke barrey main bhut protective hai...koi bhi kashish ke khilaf kuch kahey sujal yeh bardasht nahi karta...teen auratain jo uss ki life main bhut important hai...his mom Parvati, his elder sis Shruti aur uss ki sab sey pyari dost Kashish..yeh nahi hai keh woh bhut prim aur proper hai...jab kash aur sujal akhatay hotey hain to sab ki shamat hoti hai...kash ke saath mil ker wo bhi bhut shararti hota hai aur uss waqt woh bhut cute lagta hai...no smoking no drinking...yes...he loves music as well...he also dances vey well...uss ka friend angad who is his cuzin...overall sujal is the dream boy of every gurl!!!

commentofy guyssπŸ˜›

Created

Last reply

Replies

18

Views

11708

Users

11

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
i love it....me reading the story the third time.... i like it very very very much... πŸ‘
farah shukriya yaara post karne ke liye.... πŸ˜ƒ farah dear please jaldi se continue karo ..as  me  very  eager  to  read  the  parts  from  where  it  was  not  posted  earlier...😊 πŸ˜› πŸ˜ƒ  πŸ˜ƒ
Edited by sun_423 - 17 years ago
..oneOone.. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 17 years ago
i love it farah jii
waiting 4 it soo long

jaldi jaldi post karoo
πŸ˜›

eager to read

lol
ana
group_1223 thumbnail
Posted: 17 years ago
i was waitin 4 kiran to continue wid ths story...but if she izn't...i m sure u ll carry it off really well.....n i m soo glad u r doin dat.tthx farah....
rajeev1 thumbnail
Posted: 17 years ago
ok ppl so today start my story hope it goes well!!!

Aik barri haweli...stairs per charhati hui aik larki ke khubsurat paon...paon main pazaib..aur bhagtay bhagtay woh seeriyon sey ooper charhati hai...uss ka dark pink colour ka churidar aur kamiz ko dekhtey uay aur uss key baalon main laga hua paranda...uss key jhumkay aur haathon main churiyan...woh bhagtay bhagtay aik kamray key bahir aker kharri hoti hai...darwazay per knock karti hai aur cheekhti hai

Larki: ashu!! tayar bhi hoja...ab kitni aur dair laygi...yaar bebe, buajee aur mumma garri main humara intezar kar rahi hain jaldi aaaoo....

darwaza khulta hai aur ab imagine....paon per focus....paon main pazeb aur aik ungli main bichiya...paon ki sides per mehendi...red colour ka churidar...ahista sey ooper focus hota hai...khubsurat si red kameez...larki key baalon main laga hua paranda aur paranday keygird phool....larki key donon haathon main red colour ki churiyan...galley main chota sa neclace aur kannon main barrey barrey jhumkay red colour key...aur ahista sey ankhon per focus...barri barri ankhain jo khushi sey chamak rahi hain...aur ahista sey honton per focus....muskaraty huay hont...ab ful focyus...aik pyari khubsurat massoom si shakal ki larki red churidar kamiz main jhumkay aur churiyan pehney huay..ballon main paranda aur phool sajaye huay...yeh hai humari kashish...bilkul mukhtalif jiss tarah hum ussey jantey hain...

Kashish: kia hai krippa...tayar bi nahi honey deti

so now we know who the first girl is

Krippa: ashu...tu bhi na...aur kitni dair chahiye tayar honey key liye...arey wah...aj to tum bhut achi lag rahi ho

Kash: kiya matlab?main waisey achi nahi lagti kia??

Krippa: nahi nahi tu to meri jaan hai hamesha hi achi lagti hai

Kash: jaan ney to abhi ana hai

Krippa: kia matlab hai tera??

Kash: mera matlab yeh hai...(woh krippa key shoulders per hath rakhti hai aur seeriyon ki taraf donon chaltey hain)...keh woh teri jaan jo ke ab tak london main thi lekin ab wapis arahi hai...uss jaan sey mil ker tujhey kitni khushi ho gi

krippa ko ab kashish ki baat samajh ati hai

Krippa:: ashu ki bachi.....

kashish screams and laughs....running down the stairs...

krippa: tujhey to main dekh loon gi...samajhti kia hai apnay ap ko....jo dil main ata hai bolti rehti hai

woh yeh sab kash key peechey bhagtay huay kehti hai....

kashish murr ker dekhti hai aur suddenly kisi key saath takkar hoti hai

and here comes our beloved Buajee( Kirron Kher like in Hum Tum)

Buajee: haye khasmanukhani....ashu...tu kab barri hogi

kash: beyji( she calls her beyji) ap janti hain na...ke yeh krippa mujhey kitna tang karti hai...

buajee: woh sab chor..yeh bata keh woh jo mithayi i tokri hai woh tu layi ke nahi?

Kash: haye sayapa...main to bilkul bhul gayi,..abhi apnay kamrey sey ley ker ati hun

actually u ppl must be confused...the jaan abt which kash was talking is Angad...krippa dies on him aur kash ussey issi liye tang karti rehti hai..ashu is kashish's nickname...aur kashish yeh do bhut bolti hai: haye main marr gayi aur haye sayapa....ok...so now carry on

kashish kamrey sey mithayi lati hai aur by then kripa cool down ho jati hai

Kash: ley jiye beyji...ab dair nahi ho rahi humain chalna chahiye

Voice: yehi to main kab sey keh rahi uun
and here enters Tulsi Chachi, krippa's mom

Ashu: chachi jee...main bhi kab sey yehi keh rahi hun...lekin yeh log ain keh dair kiyue ja rahey hain

tulsi kashish ko kaan sey pakarti hai...kashish cute sa ronay wali shakal banati hai

Tulsi: acha...to yeh log dair kar rahey hain...kia main nahi janti key ashu madam tayar honey main kitni dair leti hain??

everyone laughs

Another voice: ashu ka to jawab hi nahi...tayar honey main itna waqt lagati hai keh lagta hai ke poori raat guzar jaye gi lekin ashu tayar nahi hogi...

Ashu:bebe tusi vi....theek hai dekh loon gi sab ko

Tulsi: acha ab chalo, sab humara intezaar kar rahey hongay

Ashu: haan chalo

everyone sits in teh car and leave...actually u must be wondering where they are going...they are going to mumbai where bebe's two sons and their families live/....so next time we meet we will also be in mumbai...till then see u...me going to sleep bhut neend arahi hai....raat ko beth ker likha hai...aur ab main ja rahi hun hope u like it...do give ur comments!! luv kiran

sara_naveed00 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 17 years ago

πŸ‘
Mujhe yaad agayee.. it was a very good one..!! LOvely... πŸ‘

Chalo acha hai k Farah will continue... πŸ˜‰
Rachu_1987 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
wow that was superb!!!! was welll written...loved the character intro πŸ‘
Imaan-Ki-Duaa thumbnail
Posted: 17 years ago
v nice..intro was 2 good..n even the strt was awsome..
a diff kashish..nice 2 see a change...
2 good... πŸ‘
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
oye farah yaara   next part jaldi se post karo na.... 😭
waise bhi kiran ne kuch   parts tho pehle hi post kiye hain na   , the parts must be with you tho please post kar de.. πŸ˜†
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
farah yaara continue karo na jaldi se... 😭