~~pyar ke beech me hum nahi ayenge~~LAST PART PG36

Posted: 9 years ago


Hellooo namaskar adab salam...

 

 

Aa gyi hu main phir se...apni bht sari bate lekar...kehne ko to kahaniya likhti hu pr wo kahaniya kam aur bate jyada hoti hain...hahhaa...kya karu ye to fvrt kam h...mera to bato se pet bharta hi nhi...khair..main is bar soch rhi thi ki kya likhu...comedy to mere nature me ghus gya h...senti to m pehle se hi bht hu...to comedy aur tregdy dono handle kar leti hu ab ek hi cheez bachi h jo ki mujhse handle nhi hoti h...aur wo h romance...aur main koi itni chhoti bhi nhi hu ki ye bolu ki m romance ko janti nhi.suna to h hi ki duniya me aisi bhi cheez h...isilye janti to hu pr samjh nhi pati hu...pyar hamesha mere liye ek sawal hota h...mujhe kabhi samjh hi nhi ata h ki pyar me itne sawal kyun hote hain???...aur un sawalo ke jawab kyun nhi hote???...isiliye mujhe pyar bht badi musibat lagta h...jindgi bhar suljhate rho phir bhi koi na koi dhaga uljha hi rhta h...pr phir bhi har cheez me possibilities dhundhne ki bimari h to isme bhi dhundhne ki koshish karti rhti hu ki shayad kabhi to kamyab ho jau...waise mere hisab se duniya me koi bhi nhi janta ki actully pyar ki kya defenation h...sab apne apne comfirtability aur experience ke hisab se pyar ko describe karte rhte hain...jisne jaise mehsus kiya waisi uski defination bna li...khair...chalo thoda sa pyar pr dhyan dene ki koshis karte hain...exactly pyar kya h ye to nhi pta pr pta lagane ki koshish karte hain...waise bhi kehte hain ki koshish karne walo ki har nhi hoti...to ek din to jarur aayega aisa jab pyar ko jan paungi tab tak uspr search karte hain...waise bhi logo ke pas fursat hoti h to yhi sab uljulul kam karte hain...to why not me??...to is bar soch rhi hu ki shuruat pyar se karti hu,...waise m janti hu ki ye public ke liye khtrnak ho sakta h qki mujhse kitna pyar milega ye to mujhe janne wale bht achhe se jante hain to shayad logo ko agr pyar ke nam pr kuchh aur mila to mujhe inam me galiya mile...but...kehte hain ki pyar aur jung me sab jayaz h to i am ready to bare evrything...ab sochna aplogo ko h ki aap mera pyar kaise bare aur handle karenge...hahhaha..anyways...abhi to mushkil ye h ki mujhe samjh nhi aa rha h ki ise OS bna kar shuru karu..ya FF ya SS...qki pyar h na aur mera to pyar shuru hi hota h confusion se...khair shuru karte hain...dekhte hain kab tak handle hota h aplog seedhi sadi kahani samjh kar padhna...bhai jyada expect mt karna qki pyar me bht dard hota h to expectation puri nhi hogi to bekar me aplogo ko dard hoga...lol...anyways...kahani chahe jo bhi dungi...pr nam to romantic dungi taki public nam sun ke hi na bhag jaye..to kahani me pyar rhe ya na rhe nam me to jarur rhega...so now going to start a new story with our beloved "RaYa" as usual...qki m likh rhi hu aur pyar h to defently raya hi honge...hope u all like it...pr pehle namkaran...qki mujhe nam se hi kahani bnani ati h bina nam ke mera kam nhi chalta...to here is...

 

 

"Pyar ke beech me hum nahi ayenge"

 

 

intro...bht simple sa hai...do jane hain ram aur priya...jo ki pyar ke bare me kabhi nhi sochte ...kyu??...qki ek jane ko time nhi milta aur ek jane ko insan nhi milta to socha hi nhi ki pyar kya h kyun h hota h ya nhi...khair main ise glt bhi nhi manti...hota h jindgi me aisa...hote hain bht sare log jo nhi sochte in cheezo ke bare me...pr m ye  

Bhi nhi keh sakti ki kabhi nhi sochte...qki kabhi na kabhi..koi na koi pal aisa to hota h jisme ek bar insan ke andr pyar ka khyal aa jata h...theek h ki hum use adat ya jarurat nhi bnate pr phir bhi agar hum use ignor karne ki bajay us ek pal  ke khyal ke bare me thoda aur soch le to kya halat bnege...kya sochne se pyar ho jayega???..kya us ek pal ke khyal me kuchh aisa mil payega jo hamari jindgi ko badal de???...hamare nazariye ko badal de??...kya uske bad hum sach me keh payenge ki han pyar ek pal me ho jata h???...dekho abhi pyar ke bare me socha bhi nhi aur pyar ne itne sawal de diye...jane aage kya kya karega...khair ab sawal aye hain to jawab to dhundhne hi padenge...to m in sawalo aur raya ke sath apni kahani shuru karti hu...phir age dekhenge kaun kaun is safar ka humsafar bnta h...

 

 

Kahani shuru hoti h ek park se jahan priya apne routine time pr aakr baith jati h har din ki tarah...apni ek book ke sath...aaj bhi akr baith gyi...pr aaj kuchh alag tha..aaj alag ye tha ki uske hath me ek romantic book thi..jo ki gnrlly nhi hoti h...aur usse bhi badi ek aur bat hui wha jo shayad jindgi badlne ke liye kafi thi...

 

 

To b continue... 


naya vm to nhi bna payi purane se hi kam chala lo...

raya !!vm!! pyar ko ho jane do


Link...


Part1 part2 part3 part4 part5 part6 part7 part8 part9 part10

Part11 part12

Edited by veena23 - 9 years ago
Posted: 9 years ago
Interesting...
Love the start😊
Continue soon...
Posted: 9 years ago
Pls do continue
waiting for the next part
Posted: 9 years ago
Originally posted by .pia_12.


Interesting...
Love the start😊
Continue soon...

thank u...
Posted: 9 years ago
Originally posted by aanchaltulshan


Pls do continue
waiting for the next part

thank u for waiting...will continue soon...
Posted: 9 years ago
nice start...❤️
waiting for the first part...itni chotisi suruwaad ki hai aapne 😭
continue soon
thanks for pm😛
Posted: 9 years ago
Good start & Interesting too
continue soon
Thanks for the PM😊
Posted: 9 years ago
 

FIrst   DI  aap  kaise karsakthi ho .itna  accha siggies. OMG
 i love  your photoshopie  skills. 
u r  love  for sakshi  makes her   more beautiful  in ur  siggies. this story  ka  siggie is  brilliant.  utterly   superb. 


 nice  story    ab  jaldi se   update karo 

 ek  request hai..    plz dont write long  paragraph. make  big para's to  two na  while  updating.  Plz di 
  
Posted: 9 years ago
nice start
interesting story
continue soon
thanks for pm

Posted: 9 years ago
Nice take 

Do continue soon

Thanks for PM
Edited by Bunny_honey - 9 years ago

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

32 Participants 272 Replies 27445Views

Topic started by veena23

Last replied by leena04

loader
loader
up-open TOP