Amjad Islam Amjad~Muhabbat Ki Surat

Posted: 9 years ago

MOHABBAT OSS KI SURAT
pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hay
gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hay
sehar k jhatpatay main gungunati muskurati hay
mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hay
kisi firdos ki surat... ...mohabbat oss ki surat

MOHABBAT ABAR KI SURAT
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bay namoo matti main sabza sar uthata hay
jo dil hian qabar ki surat...mohabbat abar ki surat

MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharrakti hay ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat...

MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaa say jagmagatay hain
keh pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main...shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koi aahat koi saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab tootnay lagtay han shaanay tu
yeh un pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak...yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat


Edited by Chandni.. - 9 years ago
Posted: 9 years ago
koii  zaNjeer ho, 

koii  zaNjeer ho, 
aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii, 
muhabbat toR saktii hai! 


yeh aisii Dhaal hai jis par 
zamaane kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa! 
yeh aisaa shehar hai jis meiN 
kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta! 
agar chashm-e-tamaashaa meiN zaraa sii bhii milaavaT ho 
yeh aaina nahiiN chaltaa! 


yeh aisii aag hai jis meiN 
badan sholoN meiN jalte haiN, to ruuheN muskuraatii haiN 
yeh voh sailaab hai jis ko 
diloN kii bastiiyaaN aavaaz de kar Khud bulaatii haiN 


yeh jab chaahe kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye 
jo manzar bhuj chuke haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye 
dua, jo be_Thikaanaa thii, use taasiir mil jaaye 
kisii raste meiN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye 


muhabbat rok saktii hai samay ke tez dhaare ko! 
kisii jalte sharaare ko, fanaa ke istiyaare ko! 
muhabbat rok saktii hai kisii girte sitaare ko! 
yeh chaknaa chuur aaine ke reze joR saktii hai 
jidhar chaahe yeh baageN mausmoN kii moR saktii hai! 

koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toR saktii hai!!!!
Posted: 9 years ago
Meri Ratain Teri Yaadon Se saji Rehti Hain

Meri Sansain Teri Khushbu Se Basi Rehti Hain

Meri Aankhon Mai Tera Sapna Sja Rehta Hai

Haan Mere Dil Main Tera Aks Basa Rehta Hai

It Tarah Mere Dil Ke Bahut Pass Ho Tum

Jis Tarah Paas Hi Sheh Rag Ke Khuda Rehta Hai

Tum Ko Malom Bhi Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho

Mere Aangan Mai Lage Phol Gwahi Dain Gay

Mai Ne Arse Se Kisi Phol Ko Dekha Bi Nahi

Tuj Ko Socha Hai Tu Phir Tuj Ko Hi Socha Hai Faqat

Tere Swa Ksi Aur Ko Socha Bi Nahi

Tum Ko Malom Bi Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho
Posted: 9 years ago
Chehray Pe Zulf Ko Phlao Kisi Din
Kya Roz Garjte Ho, Baras Jao Kisi Din

Razon Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha Lo
Badal Ki Tarah Jhom Ke Ghir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarah Guzro Meray Dil Ki Gali Se
PHolon Ki Tarah Muj Pe Bikhar Jao Kisi Din

Guzrain Jo Mere Ghar Se Tu Ruk Jaen Sitare
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kis Din

Main Apni Har Ik Sans Usi Raat Ko De Doon
Sar Rakh Mere Senay Pe So Jao Kisi Din
Posted: 9 years ago
mohabbat ki tabiyat main

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai

k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai

mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai

mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai

mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai
 
Posted: 9 years ago
Jo Kuch Bhi Hai Muhabbat Ka Phelao Hai
Teray Meray Abad Ka Kinara Hai Ye
Ista'ara Hai Ye
Roop Ka Daao Hai
Pyar Ka Ghao Hai
Jo Kuch Bhi Hai Muhabbat Ka Phelao Hai

Subha Dum Ji Ghari, Phool Ki Pankhari
Aus Ka Aaina Jagmaganay Laga
Aik Bhanwra Waheen, Dekh Ker Her Kaheen
Shaakh Ki aut Se Sir Uthanay Laga
Phool, Bhanwra, Talatum Hai, Thehrao Hai
Jo Kuch Bhi Hai Muhabbat Ka Phelao Hai

Khuwab Kia Kia Chunay, Jaal Kia Kia Bunay
Mauj Thamti Nahi, Rang Rukte Nahi
Waqt Ke Farsh Per, Khaak Ke Raqs Per
Naqsh Jamtay Nahi, Abrr Jhuktay Nahi
Her Musafat Ki Duuri Ka Simtao Hai
Jo Kuch Bhi Hai Muhabbat Ka Phelao Hai
Posted: 9 years ago

Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,

Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain,

Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,

Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin,

Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,

Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,

Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..
Posted: 9 years ago
Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,
Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,
Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,
Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,
Adhoori, na'mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,
Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,
Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..
Posted: 9 years ago
Dilon se mehr-o-wafaa, aankh se hayaa nikle,
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle,

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo'n ko,
Hum aik khawb mein doobey to jaa'bjaa nikle,

Ajab nahin inhi dar'warsan main phool khilain,
Koi bahaar ka qaasid idhar jo aa nikle,

Wohi falak tha, wohi raat thi, wohi mausam,
Magar hamare sitare judaa judaa nikle,

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai,
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle,

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad,
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle..
Posted: 9 years ago
Chale gi yeh pareshaani kahan tak,
Bata aye ghar ki veerani kahan tak,

Bohat lambi thi ab ke, khushk'saali*,
Barastaa ankh se paani kahan tak,

Tere tootey huye gajron ke hote,
Mehekti raat ki raani kahan tak,

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu,
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak,

Khilona hai isey to tootna hai,
Karain dil ki nigehbaani* kahan tak,

Usey baadal bulate hain hamesha,
Samandar main rahe paani kahan tak..

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 75 Replies 8577Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by .ButterCup.

loader
loader
up-open TOP