Sher O Shayri

Shayri ( My Collection) - Page 4

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Jaisay Jaisay Waqt Guzarta Jata Hai 
Zakhm Tumharay Hijr Ka Bharta Jata Hai 
Kankar Phenknay Walo Ko Kuch Ilm Nahi 
Pani Main Ek Aks Bikharta Jata Hai 
Dil Ki Ghurbat Saray Shehr Main Phel Gayi 
Tasveero'n Se Rang Utarta Jata Hai 
Bujhti Ankh Ke Saaye Pheltay Jatay Hain 
Sham Ka Manzar Aur Bikharta Jata Hai 
'Mohsin' Usnay Dil Ka Shehr Ujaar Diya 
Main Samjha Tha Bakht Sanvarta Jata Hai...!!!

Created

Last reply

Replies

939

Views

56199

Users

13

Likes

2039

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
This content was originally posted by: dixitrm200


                             Behad kaabile gaur
                            ghazal pesh ki aapne Prince. Shukriya.
                             Jara is pe abhi nazer inaayat keejiye:  

                             " Teri berukhi pe sadke teri ada pe qurban
                                na kabhi janaaja uthta na kahin majaar hota.


Shukriya Pasand Karnay Ka Dixit Sahab
Bahut Khoob Kaha Ek Shair Mujhay Bhi Yaad Agaya Is Shair Par
Arz Kia Hai Mulahiza Farmaiye
Teri Tangdili Ke Sadqay, Teri Berukhi Ke Qurbaan
Mujhay Bhool Janay Walay Tujhay Konsi Dua Doon?
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
This content was originally posted by: dixitrm200



                       Bahut Khoob. Kabile tareef.

                     
                 "     Ibtadaa ye thii ki thaa jeena muhaal
                      Intehaa ye hai ki jeena mushkil hogayaa.". 

SHukriya Pasand Karnay Ka

Aag Thay Ibteda-E-Ishq Main Hum
Ho Gaye Rakh Inteha-E-Ishq Main Hum...!!!

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Udaas Tehreer Parh Ke Meri, Meray Sanam Muskura Na Dena 
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hoon, Khayal Karna Jala Na Dena 
Guzar Rahi Hai Tumhari Kaisi, Bichar Ke Hamsay Rula Ke Humko 
Haqeeton Ko Zaroor Likhna, An'a Ki Khatir Chupa Na Dena 
Koi Poochay Kidhar Gaya Wo, Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara 
Jo Furqaton Ka Sabab Banay Thay, Kisi Bashar Ko Bata Na Dena 
Main Mar Bhi Jaoon To Muskurana, Ehsaas-E-Gham Ki Na Chot Khana 
Jo Qurb-E-Gham Se Nigaahein Bheegein To Rukh Se Anchal Hata Na Dena 
Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon, Main Apni Saari Kahani 'Mohsin' 
Jo Phaar Bhi Do To Paas Rakhna, Hawa Main Tukray Urra Na Dena...!!! 
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kahani Dard Ki Hum Zindagi Se Kya Kehtay 
Ye Dard Usnay Diye Hain Usi Se Kya Kehtay 
Gila To Mujhko Bhi Karna Tha Pyaas Ka Lekin 
Jo Khud Hi Sookh Gayi Us Nadi Se Kya Kehtay 
Meray Azeez Hi Mujhko Samjh Na Paye Kabhi 
Hum Apna Hal Kisi Ajnabi Se Kya Kehtay 
Andheri Rat Ne Mujhko Bahut Sataya Hai 
Bhala Ye Bat Hum Ab Roshni Se Kya Kehtay 
Tamaam Shehr Main Tha Raaj Jhoot Ka 'Mohsin' 
Hum Apnay Gham Ki Haqeeqat Kisi Se Kya Kehtay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Silsilay Tod Gaya Wo Sabhi Jatay Jatay 
Warna Itnay To Marasim Thay Ke Atay Jatay 
Shikwa-E-Zulmat-E-Shab Se To Kaheen Behtar Tha 
Apnay Hissay Ki Koi Shamma Jalatay Jatay 
Kitna Asaan Tha Teray Hijr Mai Marna Jana 
Phir Bhi Ek Umr Lagi Jaan Se Jatay Jatay 
Jashn-E-Maqtal Hi Na Barpa Hua Warna Hum Bhi 
Paa-Bajolaan Hi Sahi Nachtay Gatay Jatay 
Uski Wo Janay Usay Paas-E-Wafa Tha Ke Na Tha 
Tum "Faraz" Apni Taraf Se To Nibhatay Jaatay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Har Koi Dil Ki Hateli Pe Hi Sehra Rakkhay 
Kis Ko Sairab Karay Wo Kisay Pyaasa Rakkhay 
Umr Bhar Kon Nibhata Hai Talluq Itna 
Aey Meri Jaan Ke Dushman Tujhay Allah Rakkhay 
Mujhko Accha Nahi Lagta Koi Hamnaam Tera 
Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhi Tujh Sa Rakkhay 
Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shaks Se Waabasta Hai 
Jo Kisi Aur Ka Honay Da Na Apna Rakkhay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Mujhay Mitti Ke Ghar Bananay Ka Shoq Tha 
Usay Ashiyaan Jalanay Ka Shoq Tha 
Mai Khud Se Rooth Jata Hoon Aksar Isliye 
Mujhay Roothay Hue Logo Ko Mananay Ka Shoq Tha 
Usay Waadon Ki Paasdari Pasand Na Thi 
Lekin Mujhay Waaday Nibhanay Ka Shoq Tha 
Main Masroof Tha Tanhaiyon Ki Talash Main 
Usay Logo Se Milnay Milanay Ka Shoq Tha 
Wo Bewafa Tha Is Main Hairat Ki Baat Kya Hai 
Mujhay Bhi Bewafa Se Dil Laganay Ka Shoq Tha...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Meray Jaisay Ban Jaogay, Jab Ishq Tumhay Ho Jaye Ga 
Diwaron Se Takraogay, Jab Ishq Tumhay Ho Jaye Ga 
Tanhayi Ke Jhoolay Jhoologay, Har Baat Purani Bhulogay 
Aainay Se Ghabraogay, Jab Ishq Tumhay Ho Jaye Ga 
Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga, Aur Chand Kaheen Kho Jaye Ga 
Tum Bhi Ghar Dair Se Aaogay, Jab Ishq Tumhay Ho Jaye Ga 
Bechainiyan Jab Barh Jayeingi, Aur Yaad Kisi Ki Aye Gi 
Tum Meri Ghazalein Gaogay, Jab Ishq Tumhay Ho Jaye Ga…!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Yahan Ujlay Ujlay Roop Bahut 
Par Asli Kam Behroop Bahut 
Us Pe'd Ke Nichay Kya Rukna? 
Jahan Saya Kam Ho, Dhoop Bahut 
Chal Insha Apnay Gaanv Main 
Betheingay Sukh Ki Chanv Main 
Kyun Teri Ankh Sawali Hai? 
Yahan Har Ek Bat Niraali Hai 
Is Dais Basera Mat Karna 
Yahan Muflis Hona Gaali Hai 
Chal Insha Apnay Gaanv Main 
Jahan Sacchay Rishtay Yaaron Ke 
Jahan Ghunghat Zewar Naron Ke 
Jahan Jharnay Komal Sur Walay 
Jahan Saaz Bajein Bin Taaron Ke 
Chal Insha Apnay Gaanv Main 
Chal Insha Apnay Gaanv Main...!!!