bicchdan...part3 pg 4 18/12/

Posted: 11 years ago

Custody case had ruined peehu,priya and rams life. The perfect family was facing an imperfect situations ram was realising how his ego was hurting her small minime and priya was been tortured to see every night peehu waking up crying copiously'.

Peehu apni ma aur papa ko court mein alag alag baithe dekhti thi, uske papa ma ko dekhte to unke ankhon mein gussa tha aur mama ke ankhon mein aasu ..woh is sab se bohot dar gai thi'

Priya se apni beti halat dekhna ab mushkil tha, uski peehu aaj pure hafte soi nahi thi, papa please mujhe aap dono ke saath rehena hai mama aap samjhao na paap ko neend mein uski jaan apne ma papa ko samjha rahi thi ..uska rona priya ke bardasht ke bahar tha'

Peehu subah jaldi uthi thi pure hafte ro ro ke usne bura haal kar liya tha, uski ankhein lal ho gayi thi priya ko apni beti ki ye halat manjoor nahi thi'usne kuch socha aur lawyer ko phone kar diya'

Peehu ko bulakar use apne pass bithaliya

Pr: peehu bte ab aap mujhe ek baat batao ek pyaari si angel mere ghar aayi mere saath who 5years rahi ab papa kehte hai ki angel ko sabke saath rehna chahiye sirf mama kyun

aur mumma ne angel ko papa se share nahi kiya toh papa naraj hai mumma se aura b who keh rahe hain ke angel ab 5 years sirf unke saath rahegi aur who use share nahi karenge mumma ke sath bhi nahi

peehu: mumma aap aur papa issliye ladai kar rahe ho

priya: haan mere bacche

peehu : toh mama aap angel ko dedo papa ko aur phir unse aap dosti kar lena phir agar papa jab aapse gussa kam ho jayenge ham unse kahenge please angel share kar lo I am sure who manenge mumma

priya: haan mere bacche isliye abhi aaj apko papa ke pass jana hoga kyunki who angel aap ho aur promise karo jab tak papa khud na kahe aap mumma ke pass ane ki jid nahi karoge

peehu: lekin mumma apne kaha tha ke aap peehu ko chodke nahi jaoge

priya: beta mumma ko tab pata nahi tha ke papa angel yane ki apko share na karne ke wajah se naraj hai please baby man jao papa ko bhi angel ke saath rehne ka hak hai na unko bhi happy happy feel karana hamara kaam hai kyunki who hamare papa hai na

peehu: ma waise unhone bhi khush ko share nahi kiya na apke saath toh aap khush ko bolo apke saath rehne ko phir main agree karoongi

priya: beta khush to good boy hai angel nahi na sirf aap angel ho na toh papa ko bhi angel ke saath happy rehna hai'

peehu: with her eyes alsmost filled with tears: mumma main jaungi aap ko papa ke saath share karna thaana mujhe angel hona kitna mushkil kaam hai na mumma

priya smiled on this her daughter was so innocent and she had to make her understand she cannot see her from today'what mess she has created in her life '

peehu: mumma aap mujhe milne aaoge na angel ko aap apne pass rakha lekin papa use milne aate the na toh apne chupake nahi rakha , toh aab main papa ke pass jaungi toh aap bhi mujhe dekhne aana

priya: haan bte par mumma ko agar aana possible nahi hua toh who nuts bua ke hato gift bhejegi ok ..ap mumma ke liye roge nahi proper khana khaoge study karoge kisiko pareshaan nahi karoge aur proper angel banke rahoge

peehu: ok mumma ab angel bana hi diya hai toh karna padega kya kar sakte hai

priyas ka dil hajar maut mar raha tha use apni jindagi mein bohot chote se umar mein bada banana pada tha 'uski beti ko who saari cheeje milengi jo uski bahari jarrorat ko pura kare lekin uski emotional needs ???? unka kya?

 mana ke peehu papa ke saath sab share karegi lekin kuch cheeje kuch padav beti ke umra ke aise hote hain jinme who sirf apne ma se khul ke baat kar sakti hai aur kisi aur se nahi, na papa se na kisi aur ladki ya kisi aur aurat se, aur agar kar bhi le toh use response dene wala use uski bhalai ka hi advice de kyunki sirf ma aur baap yehi aise do insaan hote hai jo kisi salah mein apna swarth nahi dekhte who khud har jaate hain lekin baccho ko harne nahi dete

 

peehu snapped her hands ma kahan kho gaye chalo aab kuch do na khane ko angel ko bhi bhook lagti hai '.

Priya laughed and made aloo parathas for her may be this were the last time she made it them for her '

She packed her clothes and all stuff and took her to kapoor mansion she gave a letter to peehu and asked her to give it only to raam and no one else

Peehu : maa ek hug do na aur ek kisi bhi angel ko apki yaad ayegi mumma

Priya: hugged her she felt as if her heart is been torn out from her body

Peehu went in and priya left''

 

to be continued if you all like it ...

Edited by snehalparab - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Originally posted by snehalparab


to be continued if you all like it ...


Any doubt...love it totally
omg this is sooo good...
snehal my comments cannot do justice to this...so here you go a big hug specially for you

Posted: 11 years ago
Like it..? I loved it. 😃 the way priya maked peehu understand everything was the best way ... Gr8 work dear[:Y] no doubt u rocked with this one also .. Pls update soon dear, loved it a lot 🤗
Posted: 11 years ago
ossum jst no words to describe continue ASAP
Posted: 11 years ago
Lovely dialogues and very emotional please do continue
Posted: 11 years ago
⭐️ You put the emotions better than CVs.They simply go in circles without reaching anywhere.Continue maate.Thanx for pm.

Posted: 11 years ago
Loved the way how priya handled the situation ..too good ..plz cont soon
Posted: 11 years ago
loved it
please continue soon
Posted: 11 years ago
ahaaa Priya is truly an awsm mother...hw sweetly she handled peehu ... loved d way she handled her... n oyeee puchne ki bhi jrurat h kya????????????????????? cntinue asap
Posted: 11 years ago
too gd.. I want to read letter so waiting 4 next update..

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

21 Participants 35 Replies 6314Views

Topic started by snehasya

Last replied by leena04

loader
loader
up-open TOP