Bade Acche Laggte Hai

Priya's Diary -Setindia - Page 2

Created

Last reply

Replies

15

Views

2753

Users

10

Likes

28

Frequent Posters

shinell thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

Zindagi ne bhi ajeeb karwat lee hai.

Posted at Oct 09 2012, 05:34 PM by Priya
Zindagi ne bhi ajeeb karwat lee hai. Kabhi kabhi zindagi aur halaat kuch aisey decisions leney par majboor kar detey hain jo baad mein galat laggtey hain. Aaj shayad sahi nahin lagta par paanch saal pehle jab maine Dubai jaane ka faisla kiya tha toh mujhe wahi sahi laga tha. Jab maine Mr. Kapoor ko unki beti Pihoo se door rakha toh shayad main galat thi par uss waqt mujhey yehi sahi laga. Pihoo aur mere liye nahi par Mr. Kapoor ke liye. Agar jail se chootkar main Mr. Kapoor ke ghar laut jaati to mujhe jail ki sazaa poori karni padti - 14 years of imprisonment aur Mr. Kapoor kabhi apni zindagi mein aagey nahin badh paatey … kabhi mujhse juda nahin ho paate. Main unhe til-til tadap kar jeete nahi dekh sakti thi. Iss liye jab duniya ne maan liya hain ki accident mein meri maut ho gayi, toh maine iss jhooth ko apni zindagi ka sabse bada sach maan liya. Pihoo ko janam dena aur uski parvarish karna meri zindagi ki sabse badi priority ban gayi. Aur iss sab main Rajat Kapur ... Yes, another Kapur but with a 'U' ne meri bahut madad ki. Pata nahin unke financial help or Daija/Kady ke emotional support ke bagair main kaise jee pati. Pehle hi Mr. Kapoor se alag hone ka dukh, aur uss par Pihoo ko Mr. Kapoor se door rakhne ke guilt ! Zindagi mein jo mode miltey gaye ... main unpey chaltee gayi. Par aakhir taqdeer aur bhagwan se nahin jeet paayi.

Mr. Kapoor ko achanak 5 saal baad Dubai main dekhkar main apne aap ko sambhaal nahin paayi. Pihoo aur Mr. Kapoor Dubai main co-incidentally miltey gaye ... roz milte gaye aur main issey nahin rok paayi. Chaahkar bhi nahin … I just couldn't stop the father & daughter love. Inn 5 saalon mein maine Mr. Kapoor ko har saans mein miss kiya. Agar main bhoolna bhi chahti toh bhool nahi sakti thi … kyunki Pihoo toh unki hi parchayee hai. Wohi aadatein, wohi khaane-peene ka tareeka, wohi gussa, Mr. Kapoor sahi kehte hain ... Pihoo is Mini Me … she is Mr. Kapoor's Mini Me. Aaloo ke paranthey, chocolate clair, unki davaiyan khaane ki aadat, unka arrogance, safai ke liye unka junoon. Everything about Pihoo is only Mr. Kapoor. 

Party main Mr. Kapoor ko dekhkar maine yeh decide kar liya tha ki main unhey sacchayee bata doongi, ki unki Priya Kapoor zinda hai ... ki unka ek ansh mere paas hai - Pihoo Ram Kapoor. Magar uss party main kuch aisa hua ke mere kadam ruk gaye ... nahee chal paayi main woh do kadam. Kyunki Mr. Kapoor ki doosri shaadi ho chuki hai ... aur who bhi meri behen Ayesha ke saath. I couldn't believe that Mr. Kapoor ne Ayesha se shaadi kar li thi. Kitney ajeeb hotey hai na rishtey ... main unsey 5 saal tak door rahi kyunki I wanted him to move on, and when he moved on, mujhse bardaasth nahin ho raha tha ... I couldn't bear the hurt & pain … Mr. Kapoor ki shaadi hi nahin hui thi balki unka ek baccha bhi hai.

Maine us waqt tayy kar liya ki main India aur Mr. Kapoor ki life mein kabhi nahee lautoongi. Par jab kismat yeh chahti thi ke main aur Mr. Kapoor milein to main kaise rok sati thi! Kuch haalaat hi aise ban gaye ke mujhe Mumbai aana padaa ... aur main ussi wedding hall ke bahar thi jahan par kuchh saal pehle Mr. Kapoor aur meri shaadi huyi thi. Yes on our anniversary ... Mr. Kapoor & I met again! Ussi wedding hall mein, aur iss bar Pihoo ke saath. Mr. Kapoor was so shocked ki he just couldn't handle it & he collapsed.

Mr. Kapoor ko heart attack aa gaya tha aur uski wajah main thi. Agar unhe kucch ho jaata, toh main apne aap ko kabhi bhi maaf nahin kar paatee! Ab maine apni kismet ko Mr. Kapoor ke aagey surrender kar diya tha ... thakk gayi thi ladtey ladtey. Paanch saalon baad main apne parivaar se mili - Papa, Mummy, Kartik, Natasha, Dadi, Mummyji, Vikram & Neha se milee. Ufff ! I can't explain that feeling ... meeting your loved ones ! Aur itne saal I stayed without them, dil mein itna dard bhara tha. I was longing for their love & affection.

Par mujhse sab naraaz hain ... Papa toh mujhse baat bhi nahee kar rahe they. Aur main Mr. Kapoor ko hosh aaney ka intezaar kar rahi thi ... aur jab unhe hosh aaya, Mr. Kapoor couldn't forgive me. Woh bahut naraaz hain ... shaayad woh mujhe kabhi maaf nahin kar paaye. Waise galti bhi toh kee hai na maine ! Mr. Kapoor ke gussey se main waqif hoon, par darr lag raha tha ki jab tak unka gussa thandaa ho, bahut der na ho jaaye aur woh aisi koi harqat na kar baithe jiss ka pachtava humein zindagi bhar rahe. Aur afsos … wohi hua hai ! Mr. Kapoor wants the custody of Pihoo. Unhone mujhey ek mahiney ka notice diya hai. Jab tak paper work complete nahin ho jaatey tab tak Pihoo mere saath rahegi ... aur uskey baad … Par main apni galtee ki sazaa apni maasoom bacchii ko nahin doongi. Pihoo ki zindagi mujhse shuru hoti hai aur mujh hi par khatam hoti hai ! Woh kisi aur rishtey ko nahin pehchaantee hai aur naa samajhti hai. Mr. Kapoor apne gussey aur ego mein apni hi beti ki zindagi barbaad karne par tuley hain ... par yeh main honey nahee doongi !

Main inn legal hassles main nahee panda chaahti ... main nahee chahti ke meri beti court kachehri ke chakkaron mein padey ... I don't want her to have such horrible memories about her mother & father. Par Mr. Kapoor samajhna hee nahi chaahtey. Par main himmat nahin haroongi ! Main Pihoo ko share kar sakti hoon, woh Mr. Kapoor ki beti hai, unka uss par poora haq hai, par he can't control her all by himself and keep her away from me.

Aaj Mumbai toh laut aayi hoon ... par bahut dukh ho raha hai ki maine Mr. Kapoor ko hurt kiya, apni family ko hurt kiya. Pihoo ko itne rishton se door rakhaa ... unkey pyaar se door rakhaa ! par jaise baaki sab ne mujhe maaf kar diya hai, I am hoping ke Mr. Kapoor bhi mujhe maaf kar dengey !

Jald hi lautoongi ab ! Kyunki I am shifting out of Papa's house. Neha aur main ab saath rahengey ... haina ajeeb zindagi ... neha aur Vikram ka divorce ho raha hai, aur Mr. Kapoor aur main saath nahee rehtey. Dekhtey hain aur kitne tests leti hi zindagi humaari !

Credit:
http://setindia.com/priya_diary/ Edited by shinell - 11 years ago
Mani-RK thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
oh so priya n neha will live together so TC article is true but i sriously dont want court scenes BT court cases are sick 
lets c how vil they play out so far story is good hope we dont get some crap track 
karamsekhon thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
tfs i read it on the website 
pink27 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Thanks..
Who writes priya's diary for set india?.
 
She refers him Ram while talking to herself and not Mr.Kapoor...
and Ram never had an heart-attack.they called it an hypovelmic shock.I think some of the forum members can write Priya's diary better.Set-india please hire them.!
jakther7 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
LOL neha n priya r going to live together! kya din aa gaye serial main bhi ??
Mani-RK thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: jakther

LOL neha n priya r going to live together! kya din aa gaye serial main bhi ??

this is better re we will get some good scenes from raya nevi