My Take on Dadi's Wish - Page 2

Created

Last reply

Replies

13

Views

6593

Users

14

Likes

55

Frequent Posters

freshwriteup thumbnail
Posted: 12 years ago
Hope you guys enjoy it...

Dadi ki baat sun kar dono Ram aur  kamre mein chale jate hain.

 

Ram: Dadi ne ajeeb musibat mein dal diya hain.

 

Priya: Haan. Ab kya karenge Mr. Kapoor?

 

Ram: Ek minute mein Vikram se puchta huon, uske paas har cheez ka hal hota hai.

 

Priya: (Impatiently) Mr. Kapoor par aap unse kahenge kya?

 

Ram: yehi ki Dadi ko aapna par pota chahiye. Aur tum itni panicky mat ho, mein hoon na. Sab sambhal loonga.  

 

Ram calls up Vikram

 

Vikram: Haan Ram bol.

 

Ram: Tu abhi busy toh nahi hain na? Mujhe tujh se kuch poochna tha.

 

Vikram: Haan bol na. Aur tu itni tension mein kyu lag raha hain?

 

Ram: Yaar, Dadi ajeeb zid kar rahi hai. Usi par tujh se baat karni thi.

 

Vikram: (surprise tone) Kya hai unki zid?

 

Ram: Yaar unhe parpota chahiye. Abhi unhone mujhe aur Priya ko paas bulakar yeh bataya.

 

Vikram: (Breaking into laughter) yeh to ekdum sahi kiya Dadiji ne.

 

Ram: Yaar tujhe problem ke solution ke liye phone kiya hai, aur tu hain ke – hanste jar aha hai. Yaha mein aur Priya dono bhi tension mein aa gaye hain. (Priya nods in the background).

 

Vikram: Achcha sorry baba. Aisi baate mein phone par kaise bataoon. Mujhe Neha se bhi to discuss karne de. Ram ek kaam karte hain, tum dono bhi aaj hamare ghar dinner par aao. Wahi bethke baate karte hain.

 

Ram: Thik hai, humlog aa jayenge.

 

Priya: Kya kaha Vikram ne?

 

Ram: Aaj hum dono unke ghar dinner ke liye jayenge, wahi  aaram se batein karte hain.

 

Vikram calls up Neha, and tells about Ram's call. Neha as usual is truly delighted about Dadi's zid.

 

Vikram ghar pahonch kar fresh hota hai and both Vikram and Neha are waiting for Ram and Priya.

 

Neha: Vikram, mein Ram aur Priya ke liye itni excited huon. Unka pehla bachcha beta hoga ya beti hogi. Ya phir twins – ek beta ek beti...

 

Vikram: Neha ek...ek... minute. Hold on. Mujhe to Dadi se zyada tum excited lag rahi ho.

 

Neha: Of course..hoon. Hum un dono ke sache friends hain na? Janti hoon Parents banne ki khushi kya hoti hai. Aur mein chahti hoon – Ram aur Priya ko bhi yeh khushi jald se jald mile. (thodi si senti ho jati hain)

 

Vikram: Haan ...yeh to tumne ekdum sahi kaha hai. Pata nahi yeh bachche nahi hote toh zindagi kaisi hoti. Anyways...back to Ram and Priya's problem...Is baar hume unhe sahi help karni hai... last time ki tarha nahi...jaha humari wajah se un dono mein misunderstanding aur phir zhagda hua.

 

Neha: You are right. Aakhir ye stage...unke zindagi ka ...sabse important step hai. Aur Hum dono ko un dono ko sahi direction dena hoga.

 

Bell rings at the door, Ram and Priya enter with somewhat shyness. Ind vs Australia cricket match is going on TV. Vikram reduces volume on TV.

 

Priya: Hi Neha kaisi ho...

 

Neha: Mein thik huon...tum bataoon, Dadi ne mushkil mein dal diya na?

 

Ram and Priya exchange shy smile...

 

Neha: Aur Fatty...tum kyon itna Sharma rahein ho...sharmane ka haq toh Priya ko hai...aakhir uske naam mein hi Sharma hain...Priya Sharma...

 

Everyone laughs louder...

 

Ram: yaar score kya hua hai? Aur tune ye volume kyu kaam kiya hai...

 

Vikram: Kyunki ab yaha par ab hamari commentary chalegi...

 

Ram: (with question mark on face) matlab????

 

Vikram: tu baith to...phir batate hain...

 

Priya: Neha...bachche nazar nahi aa rahein...so gaye kya...

 

Neha: Haan, aajkal jaldi so jaate hain...unke exams bhi chal rahein hain so no TV time for them...

 

Vikram: Badi mushkil se so gaye ...warna maan hi nahi rahein the... Tum dono se milne ki zid kar rahein they...kisi tarha daant rapat (scolding) kar sula diya...

 

Ram: Arre tu hamesha bachchon ko kyu daanta rehta hai...kabhi pyar se bhi samjha kar dekh samajh jayenge...

 

Vikram: Haan bachchu jab khud ke honge tab tujhe samaj mein aayega ...

 

Ram: (spontaneously) Isliye to hum tum dono ke pass aaye hain...(Priya in complete shock, then looking at Priya and then pointing to Vikram)...yaar tu bhi na...kuch bhi bulwa deta hain ...samjha kar na...

 

Neha: Achcha pehla bataon Dadi ne aakhir kaha kya? Mujhe Vikram ne bataya par mujhe puri baat tum dono se sunni hai?

 

Priya: Mr. Kapoor aap bataiye na...

 

Ram: Mein...Mein Kyu...tum batao na...meine toh Vikram ko phone par bata diya tha...ab Neha puch rahi hai...tumhari bari hai...toh tum batao...

 

Priya: Mr. Kapoor aap bataiye na...please...aap bahot achche se batate hain...

 

Ram: oh...ab mera batana bhi achcha lagne laga...

 

Neha & Vikram (screaming at Ram and Priya): Arre yeh ho kya raha hai...

 

Neha: Aap batao...aap batao ke chakkar mein tum dono ki train nikal jayegi...

 

Vikram: Agar tum dono ko Dadi ki baat batane mein itna awkwardness feel ho raha hain...to karne mein toh...

 

Neha: Vikram ekdum chup...Vikram ki baat par dhyan mat do...ok Fatty...tum hi batao...

 

Ram: Neha...aaj Dadi ne mujhe aur Priya ko apne paas bulakar...kaha...(looks at Priya, then looks down)

 

Neha: haan aage bolo...Dadi ne kya kaha...

 

Ram: Kaha ki... (looks at Priya, and then down)  

 

Neha: haan aage bolo...kaha ki...

 

Vikram: (impatiently) yaar tu phir sharmane laga...

 

Neha: Vikram ruko...bechara bol nahi pa raha hain...aur tum use gussa kiye ja rahein ho...Priya tum Fatty ki madad kar do...

 

Priya: (Instantly) Dadi ko par pota chahiye (and both Ram and Priya heavy a sigh of relief)

 

Neha: Wow 3 cheers for Dadi...Hip Hip Hurray... Hip Hip Hurray... Hip Hip Hurray...

 

Ram and Priya look shockingly at Neha...

 

Neha: ok sorry...sorry... (keep hand on her mouth)

 

Ram: Neha tum to Dadi se bhi zyada excited ho. Aur hamare toh yahaan pasine chooth rahein hain...

 

Vikram: (teasingly) To AC ka temperature badha doon...(Ram looks in anger towards Vikram) sorry...maaf kar dein

 

Vikram: Ek baat bataoon tum dono se...is baat par kabhi bhi kisi se discuss karoge...chahe woh tumse bade (elders) ho ya chote (younger) ho ...apni awkwardness ko...apne sharam ko...hamesha door rakho...jitni zyada jankari collect karoge ...usko janoge...samjhoge...us par tum dono baat karoge...utna tum dono ke liye achcha hoga...

 

Ram and Priya are listening attentively...

 

Neha: Fatty aur Priya...Vikram ekdum sahi keh raha hain...Is dooran tum logoon ka milna doctor, gynachologist, child specialist...sab se hoga...jahan par jab tak tum log sawaal nahi poochoge...to samne wale ko lagega yeh sab jante hain...

 

Neha: Mein bataoon jab 9 saal pehle hamari shaadi hui thi...hamare bhi relatives ne hum se ye zid ki...aur uska result mera pehla beta...Nihal  hai.

 

Vikram: Arre Mera nahi hamara beta Nihal...

 

Neha: (embracing Vikram) ...oops sorry...hamara beta Nihal. Humne planning bilkul nahi kiya tha

Bus hum relatives ki sentiment mein behte chale gaye...na humein sari baton ki detail mein khabar thi...na humne kisi se poochne ki koshish ki. What care should be taken during pregnancy...what to eat what not to eat...we did not bother much...lekin phir us sab ka natija ye tha ki...during 5th month...I started losing weight, my blood count went down, iron content went down... which was not good for the baby...aur since the baby could not breathe properly and even my condition got serious, mujhe ICU mein shift kiya gaya...

 

Ram: Haan Neha mujhe yaad hain...mein tab tha Vikram ke saath hospital mein...mujhe wo tense moments abhi bhi yaad hai...hum log tumhare kamre ke bahar they...aur maine Vikram ko ek bachche ki tarha rote hua dekha tha...

 

Neha hugs  Vikram tightly, a tear drops from his eye ...

 

Vikram: Baby ...agar maine tumhe tab kho diya hota...toh mein apne aap ko kabhi maaf nahi kar pata.

 

Priya had not seen this senti side of Vikram.

 

Ram: (just to lift the mood in the air) yaar tum dono bhi...apne love story mein lage hua ho...Mere aur Priya ke problem ka solution to bata hi nahi rahein...

 

Priya: (impatiently) Mr Kapoor aap bhi na...suniye toh woh dono kya kehna cha rahein hain...

 

Ram: Oh sorry...(keeps finger on his lips)...

 

Neha: But hum ne jitni bhi galtiya kari 1st pregnancy mein...it was a learning experience for next 2 pregnancies... (Priya was drinking water. Listening to next 2 pregnancies- she started coughing, Ram looks towards Priya with Concern)

 

Neha: Priya are you ok...

 

Priya: Mein ...mein thik huon...I am fine...

 

Vikram: Firstly - Yeh tum dono ka mutual decision hona chahiye ki tum apni family start karna chahte ho...na ki kisi zid ko pura karne ke liye...

 

Neha: Absolutely right...

 

Ram and Priya move their head in agreement.

 

Ram: Toh humein shuruat kaha se karni chahiye ...

 

Vikram: Sabse pehle to tumhein ye decide karna hoga ki tum dono is zimedaari ke liye tayar ho ki nahi...

 

Ram: matlab? Mujhe aur Priya ko dono ko bachche bahut pasand hai. Jab chhoti was expecting, I felt I was on 7th cloud. Lekin fir miscarriage ka hona...

 

Neha: Fatty bachchon ko psasand karna ek baat hoti hain, lekin unhe apni zindagi aur apne time mein se unke liye time dena – do alag cheeze hoti hain. Unki health, unke diapers, feeding, unko sikhana, raat ko sote hua sotries sunana, bachcha kyu ro raha hain, – it is not an easy life after you have kids. Isliye – tum dono ki ismein responsibility equally hai. Sirf Priya ki hi nahi, balki tumhari bhi. Aur ye shuru tab se hoti hain, jab tum dono positively ye decide karte ho ki – you want to start the family.

 

Vikram: Aksar hum male ye sochte hain ki bus wife expecting hain toh hamari responsibility over. Lekin hum un haseen palo ko miss karte hain...jisse ek bachche ki apne parents ke saath bonding ho jaati hain even before they come into this world. Women feel it as they can feel the child in womb, but men hardly get to or they are least bothered to.

 

Neha: Secondly, Tum dono ka age factor.

 

Ram: Age matlab? yaar shaadi 40 yrs. mein hui hain...toh bachche bhi uske baad hi honge na...(seeing at Priya) Kyu hain na?

 

Vikram and Neha couldn't stop their giggling

 

Priya: (gusse mein) Mr.Kapoor aap bhi...(dhere se Mr. Kapoor ko ek chimti kat ti hain)...

 

Ram: (loudly) Ouch...kya kar rahi ho..., Neha tum kya bol rahi thi...

 

Neha: Late marriages mein conceiving ya pregnancy ke darmiyan...kuch extra complications ho sakte hain. Jo early marriages mein bhi hote hain, lekin late marriages mein iska risk dono ma aur bachche ke liye bahut zyada hoti hain.  Isliye – tum dono ko pehle aapne saare tests karwane chahiye.

 

Ram: Arre humne abhi toh saare tests karwaye they...

 

Neha: ye alag kisam ke tests hote hain jo tumhe bataenge ki tum dono physically is responsibility ke liye tayaar ho ki nahi, specially Priya's health...ek gynaecologists tumhe in sab baton par guide kar sakta hain...

 

Neha: Ek baar test results positive aa gaye toh...third step...tum dono ko karna hai...woh censored hai...hum nahi bata sakte...aur wo shayad tum dono ko bhi ab tak achchi tarah pata hain...

 

Ram and Priya are blushing

 

Vikram: phir toh bus enjoy your journey towards parenthood...don't let any of the moments go by without noticing...

 

Priya: Neha ek baat puchon...

 

Neha: yes of course...

 

Priya: In sab stages mein matlab – before expecting, during 9 months, after delivery - sabse mushkil stage kaun sa hain?

 

Both Ram and Vikram shout ...OUT and start clapping (Priya and Neha darr jati hain)

 

Ram: too good yaar... kya catch pakda hain zaheer ne...

 

Neha: Har stage ki apni ek risk hoti hain...ye tum dono par nirbhar karta hain ki tum dono usse kaise face karte hoon. Haan lekin ek baat hai...chahe tum ek bache ko janam do, lekin bachchon ka count hamesha 1 + 1 rakho...

 

Priya: (in surprise tone) matlab mein samjhi nahin

 

Neha: Simple – ek junior kapoor aur ek (pointing towards Ram) Senior Kapoor...


Both Priya and Neha go on laughing

azk92 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
this was too good.
quite a possibility for monday's episode.  
please continue :)
Siacutie thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 12 years ago
  awesum @ wonderful
   i like it nice take👏



Arshi-licious01 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
Love it! I can actually vividly picture this scene! Please do continue…