Priya goes off to her parents house. In some time Ram wakes up...Stretching himself and rubbing his eyes he looks around the room...He sees that Priya is not there on the couch...
He thinks she must be down and goes about with his morning routine. He orders breakfast and starts reading the paper...Bansi Kaka comes in with the breakfast..
Ram: Bansi Kaka Priya kahan hai
BK: Woh sir, maine unhe dekha nahi hai subah se
Ram: thik hain...thinks to himself yeh subah subah kahan chali gayi
He gets ready to go to office and goes down...
Dadi is there down, Golu idhar aa zara
Ram: Ji daadi
Dadi: Mujhe bata tere aur Priya k bich sab thik toh hain na
Ram: Haan dadi kyun kuch kahan priya ne aapse
Dadi: Nahi usne kuch nahi kahan par kal se thodi udas lag rahi hain aur aaj subah jab milne aayi tabhi uski aankho se lag raha tha ke soyi nahi hain raat bhar
Ram: Priya aapse milne aayi thi?
Daadi: Haan woh kuch dino ke liye apne maayke gayi hai
Ram: Oh achha, aisa kuch nahi hain daadi main ab office jata hun mujhe late ho raha hain
Ram goes to office...In the car he is thinking about Priya and is in two minds...
Maine shayad Priya ko kuch zyada hi keh diya...Mujhe gussa apeksha par tha maine Priya par nikal diya...
Par usne bhi toh mujhse aise pucha...woh janti hai hum normal couples ki tarah nahi hain...hamari shaadi ek samjhauta hai...aur abhi mujhe bataya bhi nahi ki apne maayke ja rahi hai, i mean had hai...Jane do mujhe kaunsa fark padta hain
Ram calls Vikram from the office..'
Vikram: Haan Ram bol, kya kar raha hain
Ram: Kuch nahi yaar, office mein hun, kaam kar rah hun
Virkam: Office ? Tu wapas kab aaya
Ram: Kal hi aaye humlog
Vikram: Accha tu kaisa hain aur Priya kaisi hain?
Ram: Mujhe kya hogi aur Priya toh thik hi hain...apne ghar gayi hain kuch dino k liye
Vikram: Apne ghar? Ram kahi tune kuch
Ram: Vikram yaar ab tu shuru mat ho...plz
Vikram: Kya hua hai Ram?
Ram: Kuch nahi yaar main office ke baad tujhse milta hun
Vikram: Thik hain, main apne office se seedhe tere paas ata hun
Ram immerses himself at work...
Priya at her house... All are elated to see her..
Shipra: Are tum log toh badmein aane wale the na?
Priya: Woh maa actually Mr. Kapoor ko kuch kaam tha toh jaldi aa gaye...
Sudhir: Waise tu sahi samay par aayi hai beta...Tujhe ek khush khabar deni hain...Tu jald hi Mami aur bua dono banane wali hain...
Priya is very Happy at the news...Sach papa...wow mujhe yakin nahi ho raha...mera chota sa bhai ap khud papa banane wal hai, Kahan hai dono
Shipra: Woh Natasha toh Goa mein hai, aur kartik office gaya hain...Natasha ne socha k woh hume surprise degi..toh hum bhi usko surprise dena chahte hain
priya: Wow maa...achha hai main kuch din hun yahan
Shipra: Priya, kuch hua hain?
Priya: Nahi toh maa...mujhe aap logo ki bahut yaad aa rahi thi toh maine socha k thode din yahin reh lun
Shipra: Chal main jati hun Mrs Malik k yahan ek nayi recipe lani hain
Priya alone in her room is trying hard not to think of Ram...She looks at her phone and thinks of informing him but his words ring in her ears, " Kya rishta hain hamara...
Priya sits on the bed and starts reading a book...
Sudhir comes in and sees her...
Sudhir: Priya, mujh se nahi kahegi ki kya baat hain
Priya: Baat, koi baat nahi Papa
Sudhir: Toh tu itni khoyi khoyi kyun hain?
Priya: Main nahi toh, main toh book padh rahi hun
Sudhir: Dekh raha hun beta...10 min se ek hi panna padh rahi ho
Priya: Papa meri kuch samjh mein nahi aa raha
Sudhir: Mujhe bata na
Priya tells him everything skipping Ram's view about their relationship
Sudhir: Mujhe lagta hain Priya k tujhe koi galat faimi hui hogi...Tera dil kya kehta hain
Priya: Mere dil ko unpe pura vishwas hain Papa
Sudhir: Toh phir hogayi problem solve...Beta dil hamesha sachhai ka sath deta hain...Mujhe lagta hain tujhe Ram ko thoda waqt dena chahiye...woh khud sab sachhai bata dega
Priya: thik hain papa
In the evening, Vikram comes to the office...
Ram is busy in work...
Vikram: Ram bol kya baat huyi hain
Ram: are tu aagaya, kuch nahi yaar...woh Australia mein...he tells him everything about it...
Vikram: Ram tune yeh kya kiya? Is sab mein Priya ki kya galti hain?
Ram: Main janta hun uski koi galti nahi hain, par woh ek typical wife ki tarah kyun behave kar rahi hain
Vikram: Kyunki shayad tu bhul chuka hain...par woh teri patni hain Ram...tu yeh kaise keh sakta hain...Kya tujhe ab bhi nahi dikhta ki woh tujhse pyar karti hain, tujhpe vishwas karti hain...Mujhe tujhse yeh umeed nahi thi...
Ram: Vikram yaar, ek toh main pehle se pareshan hun aur tu...Woh kuch pyar nahi karti mujhse...infact mujhe usne bataya bhi nahi hai ki woh kuch din apne maike me rehne waali hain
Vikram: Ohh Mr. Hypocrite...
Ram: Main aur Hypocrite
Vikram: Aur nahi toh kya...Ram tune sina tan ke ussase apne rishte ki sachhai mangi hain. Tujhe sawal hain ke tum dono ke bich rishta kya hain...yahan tak ki tu use kuch bhi batane ko tayar nahi aur woh tujhe sab bataye...apna patni dharm nibhati rahe...kyun Ram...tere yeh sawal sunane k liye...Mana tum is shaadi ko ek samjhauta samajhte ho par tumne kisi machine se shaadi nahi ki hai ram...Priya ek jeeti jagti insaan hain, are feelings hain use, dil hai uska bhi...tu aisa kar kaise sakta hain ram
Ram: Bas ab tu bhi mujhe hi bol...dekh mujhe is par aur koi discussion nahi karni...Main janta hun mujhe kya karna hain aur wahi sahi hain...
To be continued