Posted:
18 years ago
guyz main ye bhi janana chahti hoon ke agar kyph me jab ye dikhaya gaya tha ke angad kripa ke saath rape karne ki koshish karta hai ,agar wo kripa ke saath rape kar deta to kya wo sahi hota?kya humangad ko tab bhi pasand karte?kya angad ko maaf karte?
main chahti hoon ke aap isaka answer bahot sochakar de,plz 1 min. ke liye ye bhul jayeye ke angad is role ko nibhane wala insaan iqbal hai,jo ki aap sabka fav. hai main chahti hoon ke aap sirf is situation ka samajhe.kya tab bhi aap ye kahenge ke hume ya kripa ko angad ko maaf kar dena chahiye tha?
agar aap mujhse pooche to main aise insaan ko kabhi maaf nahi kar sakti,chahe wo koi bhi kyun na ho,chahe main usase kitana bhi pyaar kyun na karoon main usase kabhi maaf nahi karti,kahte hai ke hume apni har galti,har gunaah ki saja milti hai par agar aapke aanewale zindagi me agar aap khuch achche kaam karo to aapke saja kam ho jati hai,par RAPE 1 aisa crime hai jise bhagwan bhi maaf nahi karta aur na hi saja kam karta hai.to kya hume aise insaan ko maaf karna chahiye?main janti hoon ke kyph ka isase se koi vaasta nahi hai par phir bhi maine aapse ye poocha kyunki angad hum sabko fav. hai agar wo aise harkat kripa ke saath karta to kya hum usase maaf karte ya ye sahi hota? plz mere is sawal ka answer dijiyega.
sorry main apna topic name change kar rahi hoon par ye jaroori hai agar main aisa na karoon to shayad hi koi reply mile.
aur haan main nahi chahti ke is topic ko lekar koi jhagada kare plz.is topic ka iqbal ya neha se koi lena dena nahi hai.plz