Chat Clubs

Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#4 DONE! - Page 75

arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
@Dpka Di
SUPERB answers to Loleshwari Di's quesπŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘
⭐️⭐️⭐️⭐️
I'm impressed Di!!!

Created

Last reply

Replies

1190

Views

226178

Users

22

Likes

473

Frequent Posters

DamRyeong thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 13 years ago
AWESOME CREATIONS DEEPI....LUVD THEM....
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Jai Shri Krishna Deepika. Thoroughly enjoyed your answers to all questions. There is hardly anything left to be asked. Yet here are my questions 😊:

(1) Just in 1 line/word phrase for each, give the most important reason of liking respectively each & every movie you have named to be your favourites in your answers to Lola (The reason can be anything - because of message, story, direction, acting, intensity of comedy, intelligence in comedy, etc, etc - just consider this list as guiding/illustrative list);

(2) Name the movies which you haven't watched so far at all (or perhaps watched very negligible portion and hardly remember about the movie or its story) but are willing to/wishing to/desirous of/eager for/waiting for the opportunity or time or peace to watch them sometime (You may also add the reason why you want to watch them & still you haven't managed to watch them for long time).

(3) Most favourite 10-20 songs of 1960s movies and 5 most favourite 1960s movies including those mentioned already (Inaccuracy would be alright keeping in mind mainly that decade to be in the center with rough information or logical guess work - I mean a few 1957-58 or 1972-73 movies here or there would also be fine)

(4) Most favourite 10-20 dohas of Mahabharat (perhaps the only spiritually meaningful question asked by me here)

(5) Most favourite cricketers and team - both other than Indian 😊

(6) Most memorable matches and innings

Bas itna bahut hoga I think (And last two questions just asked because of common interest between us). πŸ˜ƒπŸ‘πŸΌ And you are free to exceed the upper limit condition of any question. πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ
Edited by ShivangBuch - 13 years ago
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Here I post the dialogs of Vibhishan and then forthcoming will be entire Bharat milaap scenes sequence.


After Ravan expelling Vibhishan


Vibhishan: Maharaj ne bhi keh diya ke Lanka se chale jaao. Maine bhi keh diya ki Lanka chhod dunga. Kehna aasaan tha. Parantu apni janmbhoomi ko chhodna kathin lagta hai. Mujhe baar baar apni prajaa aur raakshas jaati ka dhyaan aataa hai. Keval ek paapi ke paap aur ahankaar ke kaaran saari nirdosh prajaa maari jaayegi. Veer raakshas jaati ka naam mit jaayega. Apni prajaa ke prati uttardaayitva ka aabhaas baar baar mann me uthata hai. Is samasya ka koi samaadhaan nahi dikhta. Mai kaise apni maatrubhoomi ka samool vidhvans hone se bacha sakun?

Advisor 1: Abhi in baaton ke sochne ka samay nahi raha. Isse pahele ke maharaaj Ravan ke mann me aapko bandi banakar kaaraagaar me daalne ka vichaar aa jaay, aapko yahan se nikal jaana chaahie.

Vibhishan: Par mai kahan jaun?

Advisor 2: Ho sake to Shri Ram ke paas jaa kar unse praarthana kariye ki we Raavan ke paapon ka dand Lanka ki nirdosh prajaa ko na den.

Vibhishan: Parantu yuddh me to kuchh bhi ho sakta hai. Aur yeh yuddh avashya hoga.

Advisor 3: Phir to aur aavashyak hai. Unse milkar yuddh ka rookh is prakaar moda jaay, jisse prajaa ki kam se kam kshati ho. Iske liye, aapko Shri Ramji se milkar, unka vishwaaspaatra bankar, yuddh ki baagdor sambhaalne me sammilit hona padega.

Vibhishan: Mai Shri Ram ka bhakt avashya hun, parantu is samay, we Lanka ke shatru hain. Kya mera dharm unka saath dene ki aagyaa deta hai?

Advisor 4: Han raajan. Paheli baat to yeh ki Shri Ram Lanka ke shatru nahi. Ravan ke shatru hai. Woh Ravan jo is samay ek prakaar ka DESHDROHI hai kyunki is samay woh niji kaam ki agni me bhadkaa hua kisika updesh na maan kar; dharm, niti aur maryaada ko, apne ahankaar ke paanv tale rondata hua; saare desh ko yuddh ki aag me jhonk raha hai. Isiliye is desh ko bachane ke liye Raavan ka ant aavashyak hai. Iske do hi raaste hain. Pahela yeh ki aapke paas aisi sena ki shakti ho, to use sinhaasan se utaar kar Ram ke saath sandhi kar li jaay. Parantu yeh sambhav nahi.


Isliye, doosra ek hi raasta hai ki aap swayam Shri Ram se milkar, yuddh ka sanchaalan aise karen, jiska lakshya, keval us aatataayi Ravan ka ant ho. Is samay, yahi aapka dharm hai.

Vibhishan: Yeh itna gambhir vishay hai, ki koi bhi nirnay lene se pehele, isme gurujano ki sammati, aur aashirvaad aavashyak hai. Atah mai apni maata ke paas jaata hun. Woh jaisi aagyaa dengi, mai wahi karunga.



(Then he goes to meet his mother)

Vibhishan: Maa. Mai ek bahut gambhir samasya ke samaadhaan ke liye aayaa hun. Mera maargdarshan karo maataa.


Kaikasi: Bahut asthir chitt se baat kar rahe ho. Aisi kya baat ho gai hai vats?

Vibhishan: Bade bhaiya mahaaraaja Ravan ne mujhe desh nikaalaa de diya hai.


Kaikasi: Ravan ne tumhe desh nikaalaa de diya hai!! Kyun?


Vibhishan: Aaj darbaar me, unhone mera bahut apmaan kiya. Maine apne mataanusaar unhe paraamarsh diya ki pratham to Sita ka haran karna hi uchit nahi tha. Ek parstri ko, uski ichchha ke viruddh apne ghar me rakhna dharm viruddh hai. Woh pativrata stri hai. Maa. Is paap ke kaaran Lanka ka vinaash ho jaayega. Udhar Shri Ram, Kishkindha ke mahaaraaj Sugreev ki sahaayata se, ek vipul vaanarsena ko le kar, Lanka ki ore badh rahe hain. Aur idhar, hamare mantri unhe paraamarsh de rahe the ke Ram aur Lakshman ki koi chinta na kare. Hamare raakshas, sena sahit unka ant kar denge. Parantu maine unhe kaha ki jinka doot Hanuman, akele hi saari Lanka ko jalaakar raakh kar gaya hai, unki shakti ko kam nahi samajhna chaahie. Ek stri ke liye, kisi shaktishaali shatru se, ladaai nahi mol leni chaahie. Hame devi Sita ko, sammaan ke saath, unke pati ke paas pahuncha dena chaahie. Unhe yeh mat nahi bhaaya. Maine apna mukut unke charno me rakh diya ke "bhaiya, keval apni hath ke liye Lanka ka vinaash na karo." Parantu unhone, pair ki thokar se mera mukut darbaar me faink diya aur mujhe Lanka se nikaal diya .


Kaikasi: Yeh Ravan ne achchha nahi kiya. Parantu iske pashchaat tumhare paas aur koi raasta nahi hai. Raja ki aagyaa hai. Tumhe jaana hi padega.


Vibhishan: Maa. Is samay ye sankat unpar to aaya hi hai. Parantu unke kaaran, sare desh par sankat ki chhaya pad rahi hai. Aise samay me, mai mere deshvaasion ko sankat me chhod kar kaise chala jaun? Apni praja ke prati, saare raajkul ka uttardaayitva hota hai. Is samay jaane se deshdroh nahi hoga?


Kaikasi: Yadi yahan rehkar, tum praja ki raksha kar sako; tab to tumhara jaana uchit nahi hoga. Parantu yahan rehkar tum kuchh nahi kar sakoge. Kyunki Ravan tumhe yahan swatantra nahi rehne dega. Isliye pehela kaarya to yeh karo ke ati shighra yahan se chale jaao. Lanka ke bahaar jaakar socho ki tum Lanka ki nirdosh prajaa ki raksha kaise kar sakte ho. Kiski sahayta le kar kar sakte ho.

Vibhishan: Mere mantrion aur mitron ka mat hai ki mujhe swayam Shri Ram ke paas jaana chaahie, aur unhe kehna chaahie, ki unka bair Ravan se hai. Unke kaaran, Lanka ki nirdosh prajaa ko dand na diya jaay.


Kaikasi: Vichar achchha hai. Parantu isme bahut sankat hai. Shri Ram tumhe kyun apnaayenge? Tum shatru ke bhai ho. Isliye niti anusaar unhe tumpar vishwaas nahi karna chaahie. Unhe tumhare saath wahi bartaav karna chaahie jo we Ravan ke saath karenge.


Vibhishan: To doosra upaay kya hai? Kya mai Lanka chhod kar saadhu ho jaun? Kisi gufa me baith jaun aur apne desh ka naash hone dun?


Kaikasi: Nahi. WOH AKARMANYATA HOGI. Jiska desh sankat me ho use yeh nahi suhaata. Tumhare mantri thik kahete hain. Tumhe prajahit ke liye apne jeevan ko dav par laga kar bhi Shri Ram ke paas chale jaana chaahie. Ya to we tumhe shatrupaksh ka samajh kar mrityudand de denge. Aur is balidaan se, raajkul me utpann hone ke apne uttardayitva se tum mukt ho jaoge. Yadi we ek baar tumhe vachan de denge, to phir koi darr nahi. Kyunki maine suna hai ki Raghukulvale apne vachan ke bade pakke hote hain. Praan de denge parantu apna vachan jutha nahi hone denge.

Edited by ShivangBuch - 13 years ago
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago


Refugee Vibhishan coming to Ram(Some or most part of it has also been posted by Lola with translations in earlier fanclub which I will post again here to maintain the continuity of dialogs of the scene at same place.)


Link of earlier post by Lola (Most significant part of the scene) and then the scene from the beginning in this current post including Lola's part.

http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1183753&TPN=123



Ram (To Sugreev entering into the tent): Aao mitr. Baitho.

Sugreev: Raghunathji. Apne aap ko Ravan ka chhota bhai batanevala, ek asur aaya hai. Aapki sharan me aanaa chaahta hun yeh keh kar, woh aapke paas aane ki aagyaa chaahta hai. Parantu wah shatru ka bhai hai. Is baat ko gambhirta se sochna chaahie ki usko apne shivir me aane ki anumati di jaay ya nahi.


Ram (To all): Hmmm. Aap sabka is baare me kya mat hai?

Nal: Sambhav hai woh Ravan ka koi guptachar ho.

Jambuvan: Bhai ho ya guptachar ho; hai to hamara shatru hi. In maayaavi raakshason ka kya bharosa. Sharan ki baat keh kar, hamare dal me ghus kar, andar hi andar, hamara anisht kare. Hamara vishwaas jeet kar ham logon par hi prahaar kare.

Angad: Bhagvan. Hame uski baaton me na aakar, use turant bandi bana lena chaahie.

Hanuman (To Sugreev): Vaanarraj. Jiske hriday me kapat ho, woh is prakaar khulam khulla saamne nahi aataa. Usse uska parichay puchhna chaahie. Woh kaun hai? Kya naam hai uska?

Sugreev: Vibhishan naam bataaya hai usne apna.

Hanuman (Very happy and excited): Vibhishan? Kya Vibhishan naam bataaya usne?

Sugreev: Kyun? Kya shanka utpann hui naam sunkar?

Hanuman: Shanka? Shanka ke to baadal chhad gaye Vibhishan naam sunkar. Yadi vaastav me woh Vibhishan hi hai to.

Jambuvan: Hanumant. Tum aise keh rahe ho jaise Vibhishan apna swajan, hitaishi ho. Wo ho nahi sakta. Aakhir woh Ravan ka bhai hai. Ek raakshas hai. So mannmaanaa roop dhaaran kar sakta hai. Raakshason me antardhyaan hone ki shakti ki bhi hoti hai. Woh avsar paakar, hamari bahut haani kar sakta hai.

Hanuman: Raakshas jaati ka hai, isliye woh dusht ya durjan ho, yeh maan lena anyaay hai.

(In management theory, this is known as 'horne effect')

(Ram listening to Hanuman with smile and great respect)

Koi bhi praani, jaati se achchha ya bura nahi hota. Woh to karmo se achchha ya bura hota hai. Raakshason me bhi raja Bali jaise dharmaatma aur daani; Prahlaad jaise Haribhakt hue hain Jambuvant ji. (Now looking at Ram) Usi prakaar Vibhishan bhi aapka param bhakt hai prabhu. Balki Sita maata ne to mujhe yeh bhi bataaya tha ki Vibhishan apni beti ke haath, chori chhupe, kabhi kabhi bhojan bhi bhejta rehta hai.

(Now Lakshman interested positively for the first time)

Jambuvan: Ho sakta hai. Us samay uski putri ne sahaanubhuti ke kaaran aisa kiya ho. Parantu aaj sthiti doosri hai. Lanka me aaj sab jaante honge ki is samay Shri Ram ki sena samudra ke us paar pahunch gai hai. Is samay, Vibhishan ka, apne bhai ke bairi ke paas aane ka na to uchit samay hai aur na hi uchit sthaan.

Lakshman: Jo sankat me apne sahodar bhai ko chhod de, us par tanik soch samajh kar vishwaas karna chaahie bhaiya.

Ram: Lakshman. Lakshman aur Bharat jaise bhai is sansaar me to kya, teeno lokon me durlabh hai. Atah unke maapdand se sabko maapna uchit nahi hai.

Vaanarraj. Aap sabke vichaar, mai ekaagrachitt ho kar sun raha tha. Ab aap sab mere vichaar bhi sune; uske pashchaat apna nirnay den.

Sambhav hai, Vibhishan me kuchh dosh ho. Uske mann me kuchh buraav bhi ho. Parantu mera ek prann hai ke jo sharan me aaye use abhay kar dun. Mitrataa ki yaachna karta hua koi sharanaarthi ban kar aayaa hai, use thukaraana dosh hai. Doshi ko aashray dena, bhale hi woh thagne kyun na aayaa ho, satpurushon ke liye uchit hai. Thagna paap hai, thage jaana nahi.

Hanuman: Aapka nirnay uttam hai Prabhu. Aur dhanya hain aapke aadarsh. Ham log uske swajan nahin. Phir bhi woh aapse sharan maangne aayaa hai. Mujhe isme koi kapat dikhai nahi deta.



(Ram respecting the gesture of Hanuman yet again with smile - both souls deeply respect each other and thoughts of both are also unite which is shown here in this scene)


Ram: Mai aap sabke vichaaraarth, ek udaaharan prastut karta hun. Aap use dhyaan se sune. Poorva kaal me, maharshi Kanv ke putr, mahaan satyavaadi, maharshi Kandu ne, ek dharmvishayak nirnay liya tha.

Aartovayadivadushtah paresham sharanamgata;
Ari praanaanaam parityaj, rakshitavyah krutaatmana.

Yadi shatru bhi sharan me aaye aur daya ki yaachna kare, to use bhi niraash nahi karna chaahie. Shatru dukhi ho ya duraatmaa, yadi woh vipakshi ki sharan me aa jay; to nirmal mannvale shreshth purush ko, apne praanon ka moh chhod kar uski raksha karni chaahie. Yadi woh aisa nahi karta, to paap ka bhaagi hota hai. Sharnaagat ka tyaag, swarg aur suyash ki praapti ko mita deta hai. Yadi sharan me aayaa hua praani, rakshak ke saamne nasht ho jaay, to woh uske saare punyon ko le jaata hai (Relate this with 'Sarvadharmaan parityajya maamekam sharanam vraj'). Mai aaj, maharshi Kandu ke, us yathaarth aur uttam vachan ka paalan karunga. 'Mai tumhara hun', yadi aisa keh kar koi meri sharan me aayaa hai, to use grahan na karna, mahaan adharm hoga. He Kapishreshth. Yeh to Vibhishan hai. Yadi swayam Ravan bhi sharanaagat ban kar aaye, to bhi mai apna prann nibhaaunga. Use sharan dunga.

Yuvraaj Angad. Use aadar ke saath hamare paas le aao.

(And all the while, everyone was listening to him with great respect.)

Here Shri Ram has also shown his great quality as a leader. A great leader first listens to the opinion of all followers with respect and concentration. And then ultimate decision he takes without the influence of anyone but using his own intellect. But he doesn't impose his decision on others autocratically but tries to justify even his own action to his followers too. He doesn't order without trying to convince the person executing his order that what he is asked to.

And the scene after that is also one of the greatest from devotee's point of view - Vibhishan entering the hut. The dialogs I haven't posted are also very good in between (Vibhishan visiting Ravan's personal palace finally trying to convince him taking great risk and also the original rajyasabha scene in which Vibhishan was expelled).


Here are the links for references


http://hindi.webdunia.com/religion/religion/hindu/ramcharitmanas/SunderKand/16.htm

http://www.valmikiramayan.net/yuddha/sarga17/yuddha_17_frame.htm
http://www.valmikiramayan.net/yuddha/sarga18/yuddha_18_frame.htm

Youtube links of last two posts


http://www.youtube.com/watch?v=stYM6CLtMKs
http://www.youtube.com/watch?v=GQsJaDJzAAw&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=9_hlrQSVINg&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=Co-o6HYFdsk&feature=related

Edited by ShivangBuch - 13 years ago
MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
Hi guys πŸ€— Really enjoyed all the posts in the past couple pages, will reply in a bit... for now just wanted to share the fact the Henn'as still open and perfectly fine if we request from her again, hint hint πŸ˜‰ And that Gunu, your req is posted at her shop on pg61... it's gorgeous! And here goes a beautiful and touching one Mallu made on my suggestion, as well as a super cute RadheShyam one Shikha made... as always feel free to use!!!








varshas96 thumbnail
Posted: 13 years ago
thx for welcoming me sister!
i dont know wheather i am fit for this appreciation!
luv u soo much india forum
varshas96 thumbnail
Posted: 13 years ago
thx sister! thx for welcoming me

i luv this india forum![/I][I]

[FONT=Verdana][/FONT][COLOR=orange][/COLOR]no words to express my happiness thx
varshas96 thumbnail
Posted: 13 years ago
no words to say! SO MANY FANS AND I AM PROUD TO BE ONE OF THEM
arun-deeps thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
This content was originally posted by: varshas96

thx sister! thx for welcoming me

i luv this india forum![/I][I]

[FONT=Verdana][/FONT][COLOR=orange][/COLOR]no words to express my happiness thx

 
 
Wooooowww dear U have learnt how to post!!!πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘