Iska matlab ye nahi ke main tujhe pyar nahi karta,
Chahata hoon mein tujhe aaj bhi par,
Teri soch mein apna waqt bekar nahi karta,
Tamasha naa ban jaaye kahien mohabbat meri,
Isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta,
Jo kuch mila hai usi mein khush hoon main,
Tere liye khuda se taqraar nahi karta,
Par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim,
Warna mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karta...
comment:
p_commentcount