apne aap me khali, mera Parichay,
dar dar raahon pe bhatkta rehta,
kabhi manzil na paya, mera Parichay,
raaton ke andhere me rahe zinda,
subah ke uzalo se darta, mera Parichay,
Hasi se har dum dur rehta,
aansoon me rahe dooba, mera Parichay,
no khud khada reh pata, na kisika sahara chahta,
kabhi wo rengta, kabhi hawa me udne chahta, mera Parichay,
Baten kare khudari ki,
magar besharmon ki tarah firta, mera Parichay,
kabse khud he chup betha,
magar phir bhi he shor machata, mera Parichay,
chupta rahe dusro ki chav me,
phir bhi he dhoop me jalta, mera Parichay,
akela rahe aur maange saath bhi,
zindagi ki is bhid me gum ho jata, mera Parichay,
apne aap me khali, mera Parichay...