dear megha ❤️ ,
thoda ajeeb lag rha aise tumhe khat likhna.. lekin baat hi kuchh aisi h ki ..agar samne se tumhe kuchh bolu to tu tum naraaj ho jaogi.lekin waqt rahte mera ye sab tumse kahna bahoot jaruri h.
pichhle kuchh dino me itna kuchh hua h ki pta hi nhi chala ki zindagi kis raste chal padi thi kaash me apne man ki sari uljhane apne pure dil ka haal tumhe bta pata megha.lekin jo sabse jarui baat h wo main yaha likh rha hu..kyuki pta nhi mujhe ye sab tumse kahne ka moka milega bhi ya nhi...ki kuchh aisi baatein jo agar me tumse khud kahunga to tum baat puri nhi hone dogi..aur mujhe afsos rahega ki mai tumse kah nhi paya..lekin mai ye baate dil me nhi rakhna chahta..chithhi me likh ke kam se kam ye sukoon to rahega ki maine sab kuchh likh diya..
likha hua rahega to tum kabhi bhulogi nhi. aur aaj se kai saal bad bhi isme likhi ek ek baat utni hi sach hogi..jitni ki aaj h...MAI JANTA HU pichhle kuchh dino me tumhe yahi laga hoga ki mai kuchh ajeeb sa behave karne laga hu..kam hi kuchh aisa jokhim bhara tha.ki.mujhe tumse bhi baatein chhupani pdi..nhi bta ska ki mai kya kar raha hu..kyu kar rha hu..
megha.. mai chahta hu ki chahe kuchh bhi ho jaye. kuchh bhi..zindagi me chahe hum saath ho ya na ho.. tum mujhpe aitbaar jarur karna.. Hamesha...tumhara aitbaar mera hoshla h..kal ko agar aisa hua ki mai tumhare saath nhi hu..to itna yaad rakhna ..mai jaha kahi bhi hu..
tum mujhse dur nhi hogi..aur jab kabhi mujhe yaad karogi ..mujhe apne paas hi paogi..haa..itna wada jarur krunga ..ki zindagi se kabhi nhi ruthogi..muskurana kabhi nhi chhodogi..kyunki jab tum muskurati ho to meri duniya khil udhti h ..mujhe ye galat fahami hone lagti h ki tum mere liye muskura rahi ho..aur zinda rahne ke liye kabhi kabhi galat fahamiya bhi jaruri hoti h ..infact agar mujhe apni aakhri khwahish batane ka moka milega.. to janti ho mai kya kahunga..ki main rahu ya na rahu..par mai tumhe hamesha khush dekhna chahta hu..hamesha.. isi tarah pyar mai muskurate rehna.. bhale hi wo pyar kisi ke liye bhi ho..lekin isi bahane kahin na kahin meri galat fahamiyan to bani rahegi..
aur tumhari muskurahat se mai kahin na kahin zinda rah saku...😊