Kalma FF : Laut Aao (A Tujhse Hai Raabta fanfiction) : Chapter 3

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 3 years ago

Chapter 3

_________________________________________________________________________________________________________________


Kaka: "Malhar, chalo aao nashta karlo…"

Malhar: "Aap log shuru kar dijiye… mera mann nahi hai or vaise bhi mujhe nayi lead mili hai shivam ke khilaaf… uss ko pakar lu to shayad Kalyani ka pata lag jaaye…"

Kaka ke chehre pe maayusi cchha jaati hai. Khudko sambhalna har din unke liye mushkil ho raha hai. Anupriya aur Malhar ki haalat dekhi nahi jaati unse. Dono ne ek aisi ummeed bandh ke rakhi hai, jisko haqeeqat me badalna shayaad namumkin hai. Leken khudko sambhal na parega unhe. Apni patni aur apne bete se bhi barkar bhatije ke liye. Ek gahri saas lekar wo malhar ke paas jaate hai aur uske kandhe par haat rakhte hai,

"Malhar… shayad kalyani…"

"Nahi kaka! WO.. Zinda .. HAI….Meri biwi zinda hai.."

"Leken Malhar kaise?... Dekho Malhar mai jaanta hu tumpe kya beet rahi hai… Mai khud itne din iss sacchai se mu pher raha tha… Leken Malhar ek na ek din to hume iss sacchai ka saamna karna parega na… ki Kalyani ab iss duniya me nahi…"

Malhar ekdum se cheekh uthta hai

"BAS KAKA! Aaj bol diya aapne, aage mat boliyega…"

Kuch der baad dono haat jorke Saarthak ke saamne bolta hai

" Mujhe maaf Kar dijiye Kaka… mujhe pata hai ki aap mere bhale ke liye bol rahe hai… leken mai aapko kaise samjhaau… Chahe jitne gava jitne saboot kehde ki kalyani ab… mera dil… mera dil kehta hai ki uske saasein abhi bhi chaal rahi hai. Wo zinda hai, bas mera intezaar kar rahi haiki mai usse kab dhoond lunga or usse ghar vapas le aayunga… humara raabta hi kuch aisa hai… Mujhe mahsoos hoti hai uski dharkan… wo chahein jaha pe ho… leken zinda hai, aur uss tak pohchayega mujhe Rajhu ka bhai Shivam."

"Leken Malhar maine apni khudki aankhon se usse uss din Raghu pandit ki ghar ke andar jaate huye dekha… aur agle hi pal wo ghar jal ke raakh ho gaya tha… samajh ne ki koshish karo malhar.."

"Aap samajh ne ki koshish kijiye kaka, agar kalyani uss aag me phas jaati to uski laash milti hume waha… kuch to milta… Chhe mahino uss jaga ki har cheez ki lab me DNA test karwa raha hoon… Itne dino kuch nahi mila… Aaj final sample ki report aane vaali hai… aur mujhe pura bharosa hai ki ussme bhi kuch nahi milega….

Meri Kalyani zinda hai…"

______________________________________________________________________________________________________


Next Chapter: Chapter 4 : Post 2 page 1 


Edited by Angelspearl_thr - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Chapter 4

 (Laut Aao_ a Tujhse hai Raabta Fanfiction)


_____________________________________________________________________________________________________________________________________________________________________



Malhar ko kaka se aise baat karkar bohot bura laga. Kalyani hoti to pakka daat parti unko. Leken kaka bhi to samajh nahi rahe, Malhar jaanta hai ki kin haalato me kalyani khoyi thi, leken wo zinda nahi hai iss baat ko malhar maan nahi sakta. Arre koi saboot bhi nahi hai ki aag jab lagi thi Raghu ke ghar, tab kalyani uss aag me… uss aag me phas gayi thi... koi ye kiu nahi soch raha ki shayad kalyani aag lagne se pehle nikal gayi ho, wo uss ghar me mojud hi nahi thi. Shayad nhi yehi sacchayi hai. Kalyani zinda hai aur unki Gudiya bhi, pata nahi kis haalat me hai wo dono. "mujhe dhoondna hoga unhe… Kalyani main tumhe aur humari gudiya ko ghar vapas launga, vada raha" malhar ji khudse vaada karte hai.

Kaka malhar ke kamre se nikal jaate hai.. bohot bebasi mahsoos ho rahi hai unko… Agar khud hi maan nahi rahe hai ki kalyani nahi rahi to malhar ko kaise manayenge. Leken aankhon dekhi sacchayi ko thukra bhi nahi sakte. Aisa nhi hai ki malhar ki umeed sach ho jaaye yeh wo nahi chahte hai.. chahte hai… Agar unki zindagi chali bhi jaaye kalyani ko vapaas laane ke liye to bhi gham nahi hai unko… leken vapaas usse laya jaa sakta hai jo zinda ho. Kalyani to ab unki zindagi ek namumkin kwaab ban ke reh gayi hai. Jo khwaab roz malhar dekhta hai, jo khwaab roz anupriya dekhti hai. Kaash uss din wo panch minte pehle pohoch jaate, kalyani ki jaga wo andar chale jaate. Shayad maut iss na-umeed zindagi se behtar hai. Kalyani ki maut ki zimmedaar wo khudko maante hai. Unki ek galat faisle ne iss ghar ki raunak chhin li.

Raghu pandit, ye naam soch ke bhi sabka dil kaap uthta hai. Iss ek naam ne sab ki zindagi ujaar kar ke rakh di. Malhar ko wo case lena hi nahi chiye tha. Pata nahi kaunsi manhoos ghari commissioner sahab Malhar ko Aurangabad ke sabse bara gunda thug ko pakar ne ki zimmedaari di. Na Malhar wo case leta, na Raghu Malhar se case ki saari saboot ghus deke lene ki koshish karta, aur na Malhar uska parda faash kar deta, Aur na wo badla leta. Galti to iss me kaka ki bhi thi aur ye wo maan te bhi hai. Malhar ko unhone hi barava diya, itne dhamkiyon ke baad bhi Raghu pandit ko Faasi dilwaane ki tayari kar rahe the. Kalyani dari huyi thi. Usse humare sar pe mandrata hua khatre ka purvabhas hone laga. Kitne baar Malhar ko samjhaya ki case kisi aur ko dedo. Kaka ko samjhaya ki Malhar ko samjhaye. Leken Kaka aur Malhar dono ne uski Baate ko unsoona kar diya, ulta use samjhate rahe ki kuch nahi hoga, sacchai ki jeet hi hogi.

Jeet to sacchayi ki hi hui… leken uss sacchayi ki itni bari keemat chukana parega ye kabhi kisine sapne me bhi nahi socha hoga… sacchayi ki iss larai me jeeta koi nahi tha… sab haar gaye…. Aur sabse bari haar hui hai humari.



__________________________________________________________________________

#tujhsehairaabta #sehbanazim #reemsameershaikh


Posted: 3 years ago

Thanks for posting it here

don't worry about index now

once you are groupbie, make index

You will get 10 posts per day as of now

Posted: 3 years ago

loved to see u in india forums dear

i read this story in instagram also hope

i can read ur full story here

waiting for it

Posted: 3 years ago

Both the parts were 👍🏼

The concept is different and interesting to read.

Await your further updates. 

Posted: 3 years ago

Originally posted by Bacillusbadius


Thanks for posting it here

don't worry about index now

once you are groupbie, make index

You will get 10 posts per day as of now

k thanks!

I'll jus post the rest of the parts here?

Posted: 3 years ago

Originally posted by sanjanareddy670


loved to see u in india forums dear

i read this story in instagram also hope

i can read ur full story here

waiting for it

Thanks sweetie

Posted: 3 years ago

Originally posted by Angelspearl_thr


k thanks!

I'll jus post the rest of the parts here?

Ok no problem 

just change title

Chapters 3-9 here or jitne bhi post kiye

Edited by Bacillusbadius - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Very gripping....kaash Kalyani zinda ho aur miljaaye....

Posted: 3 years ago

I have read this on insta....

Good story....

  1  


Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Raabta never ends 😭😭

pencil Sehreem1   stackexchange 1   eye 148

Sehreem1 1 148 1 months ago Sehreem1
KalMa FF - My Heart Is Not Mine Anymore Note pg 19

pencil rekha_crm   stackexchange 186   eye 18764

rekha_crm 186 18764 2 months ago shrutiberlia
KalMa FF - Married At First Sight Chapter 20 pg 52 updated 30/11/2023

pencil rekha_crm   stackexchange 415   eye 42639

rekha_crm 415 42639 2 months ago Sehreem1

Topic Info

6 Participants 9 Replies 1785Views

Topic started by Angelspearl_thr

Last replied by Priyapriyu

loader
loader
up-open TOP