An AKSHAN Story- Tere bin ab na Lenge ek bhi Dam.(Chapter 37 updated)

Posted: 4 years ago

As you all know Due to Corona Virus breakdown, the shooting is cancelled and we won't be getting any episodes so to increase the activity of the forum, I decided to publish my story on AKSHAN here(it's already on wattpad). I hope it would be liked here too ๐Ÿ˜Š. 



INDEX


CHAPTER 1- PAGE 1

CHAPTER 2- PAGE 1

CHAPTER 3- PAGE 1

CHAPTER 4- PAGE 2

CHAPTER 5- PAGE 3

CHAPTER 6- PAGE 3

CHAPTER 7- PAGE 4

CHAPTER 8- PAGE 5

CHAPTER 9- PAGE 5

CHAPTER 10- PAGE 5

CHAPTER 11- PAGE 6

CHAPTER 12- PAGE 6

CHAPTER 13- PAGE 7

CHAPTER 14- PAGE 7

CHAPTER 15- PAGE 7

CHAPTER 16- PAGE 8

CHAPTER 17- PAGE 9

CHAPTER 18- PAGE 10

CHAPTER 19- PAGE 10

CHAPTER 20- PAGE 11

CHAPTER 21- PAGE 11

CHAPTER 22- PAGE 12

CHAPTER 23- PAGE 12

CHAPTER 24- PAGE 13

CHAPTER 25- PAGE 13

CHAPTER 26- PAGE 13

CHAPTER 27- PAGE 14

CHAPTER 28- PAGE 14

CHAPTER 29- PAGE 14

CHAPTER 30- PAGE 15

CHAPTER 31- PAGE 15

CHAPTER 32- PAGE 16

CHAPTER 33- PAGE 16

CHAPTER 34- PAGE 16

CHAPTER 35- PAGE 16

CHAPTER 36- PAGE 17

CHAPTER 37- PAGE 17

Edited by Akshiyaislove - 3 years ago
Posted: 4 years ago

CHAPTER 1

The story begins from the part when the bride and groom are taking pheras around the sacred fire and then the groom applies sindoor on the bride's hairline and ties mangalsutra around her neck.No one can see the bride's face as it is covered by veil.
The groom is none other than Akshat Jindal.
Everyone is sad because of this marriage because AJ decided to marry Antara.
AJ gets up from the mandap and was heading towards his room as he was also not completely interested in the marriage.The bride also gets up and heads to go but then the reflection of her face is seen in a vessel of water which is kept there and it is seen by AJ and he gets shocked to see that.
AJ sees that the bride is none other than Guddan๐Ÿ˜Š.He gets angry and tightly holds her wrist and turns her to face him and removes her veil.Everyone are surprisingly shocked to see her as they were happy to see Guddan as AJ's bride and not Antara.At that very moment Antara comes out of her room and is shocked to see that the marriage is completed.
AJ sees it and gets very angry and was about to shout at Guddan when she stopped him.
Guddan: Nahi Jindal Sahab aaj aap kuchh nhi kahenge aap ko jo kuchh bhi kehna tha aap ne pehle hi bol liya aaj sirf hum bolenge aur aap sunenge.
Aap ne hi hume kaha tha ki Antara ke khilaaf hame jo bhi saabit karna hai ham aaj yeh shaadi se pehle saabit kare lekin hamare paas utna samay nahi tha ke hum is shaadi ko rok kar is aurat ki sachhayi aap sabke samne la sake.Isiliye hame ye sab kuchh karna pada kyunki ham kuchh bhi bardaasht kar sakte hain lekin hamare mangalsutra aur sindoor par sirf aapka naam hai aur us par kisi aur ka haq nahi hai aur na hi kabhi hoga.
Flashback
Guddan collects all the proof against Antara and heads towards Jindal Bhavan to reveal the truth to AJ when she sees that AJ is already waiting on the mandap for the marriage.
She goes to Durga,Lakshmi and Revati and asks them to help her to swap the bride.According to her plan they work and successfully the marriage completes with Guddan.
Flashback ends.
Guddan shows all the proofs to AJ which clearly shows that Antara forced the abortion and she had turned all the proofs against Guddan.She also shows the post mortem reports of Alisha and the forensic fingerprints reports which matches with the fingerprints of Antara with the syringe which Guddan found near the pool area.

Posted: 4 years ago

CHAPTER 2


AJ was in a state of confusion.He was confused on what to believe.For every proof he had two options to believe.Two CCTV footage one which was shown by the doctor in the hospital and the other now shown by Guddan.The forensic reports shown on that day and now the one which is in front of him.

He just then closed his teary eyes and he sees Guddan.He now knew that his heart only believes in his Guddan.

Dadi:Is ka matlab Guddan ne jo kuchh bhi kaha tha woh sab sach tha.Is manhoos Antara ne hi is ghar ke donon waaris ko maar diya.Pehle Alisha ko phir Lalla aur Guddan ke hone wale bache ko. 

Now Antara in her real face.

Antara:Arey kya waaris waaris laga kar rakha hai maa ji.Ha maara  maine Alisha ko aur Guddan aur Akshat ke aane waale bache ko.Lekin usme se sirf ye aane wala bachha hi sirf is ghar ka waaris ho Sakta tha jo Ki ab nahi hai lekin beech me wo Alisha kahan se aa gayi,haan?

Dadi:Tere kehne ka kya matlab hai?

Antara:Yahi ki wo is ghar ki waaris na hi kabhi thi aur na hi ab hai.Kyunki wo mere aur Akshat ka khoon hi nhi thi.Maine to use ek kachre ke dibbe se  utha kar paal pos kar bada kiya taki mai use mere faayde ke liye use Akshat ke khilaaf istemaal kar sakoon.

Guddan shouts at her and lands a tight slap on her face.

Guddan:Alisha ke bare me ye sab bolne ki tumhari himmat kaise hui.Beti hai wo hamari samjhi tum.

Antara:Himmat to mujh me bohot hai isiliye tumhare donon bachhon ko maar daala.Aur galat kya bola mai ne haan?Jo sach hai wahi to bola maine aur yehi sach wo tumhe batana chahti thi isliye to seedha bhagwan ke paas chali gayi bechaari.

Aur kaha tha maine, seedhe seedhe Akshat ko chhod kar chali jao wo tumhare upar bharosa hi nahi karta.Lekin nahi tumhe to mahaan banne ka bohot shauk  hai.Tum hi socho Ye jo baat abhi mai ne kaha wo tum kitne dinon se Akshat ko aur in ghar waalon ko bata rahi ho lekin un logon ne tumhari baat mani,nahi na?Abhi mai ne ek baar kya bola dekho kitni jaldi meri baat par bharosa kar liya.

Antara goes in attitude and sits on the sofa and is ready to enjoy the upcoming drama because she knows she has hit the hot iron.

Here Guddan was crying remembering all the words that AJ told her.

AJ goes to Guddan and holds her hand but Guddan moves her hand away from his.

AJ:Guddan ๐Ÿ˜ข

Guddan:Nahi Jindal Sahab!Antara ne jo kuchh bhi kaha hai sach kaha hai.Aaj tak jab bhi baat ham par bharosa karne ki aayi hai har waqt hame khud ko sahi saabit karna pada.Kya ham is laayak hi nahi ke ham pe koi bharosa kar sake.Poori duniya ki baat chhodiye hame us baat ki koi parwah nhi lekin aap,Aap ko bhi ham par bharosa nahi hai na?Hame kab se aap ko sach saabit karna pad raha hai.Aap to wahi hai na jo hamari galtiyon ke ba wajood hamare saath hamesha khade rahte the.Wahi hai na aap jo hamare bin kuchh kahe,hamari khamoshi samajh lete the par aaj kya hua aaj aap ko hamare shabdon ko sahi samajhne ke liye sabooton ki zaroorat pad gayi.Agar baat sirf ham tak ya hamare bharose tak ki hoti na Jindal Sahab to ham use bardaasht kar ke bhool bhi jaate jaise pichhli baar is Antara ke wajah se hua tha lekin is baar hame takleef hamare us gehraayi tak hui hai jahaan hamare andar ki MAA basi hui hai.Aap jo bhi kehte ,jo bhi karte hame sab manzoor tha lekin hame ek MAA ke darje se niche gira diya aapne hame,jo ki hame Bilkul bhi bardaasht nahi.

Jab hamne aap se ye baat kahi ki Antara ne Alisha ko mara hai to aap ko us baat par yaqeen nahi hua kyunki aap samajhte the ki ek maa apne hi bache ko nhi mar sakti,lekin usi waqt jab aap ko ye bata diya jaata hai ki ham ne gusse me aakar aap ke aur hamare hone waale bache ko gira diya to aap ne itni jaldi us baat ka bharosa kar liya ke aapne hame kuchh bolne ka bhi mauka nhi diya.Arey jis Insaan ne Akshat Jindal jaise insaan ke gusse ko bardaasht kar liya us ke liye khud ke gusse ko peena kitna mushkil hoga,aap ye baat nhi samajh sake.Itna kamzor bharosa tha ham donon ke beech ka ya phir sirf aap ki taraf se hi ye itna kamzor ho gaya.Hamne to rishte nibhaana hi aap se seekhe tha na phir hamara hi Rishta itna kamzor kaise ho gaya.

Ab bas aur nahi ,Aap do kaam karna chahte the na Jindal Sahab pehla Antara se shaadi jo ki hamne hone nahi diya,Par doosri kare bina ham nahi rahenge.Aap kuchh chahe aur aapki Guddan na hone de aisa ham se na ho payega.

AJ:Nahi Guddan!Nahi.

Guddan:Ye hi chahte the na aap ki ham aur aap hamesha hamesha ke liye alag ho jaaye aur ham aapki zindagi se bohot door chale jaaye,thik h phir aaj wahi hoga jo aap chahte hai,alag ho jaayenge Guddan aur Akshat Jindal hamesha hamesha ke liye.

Dadi:Ye tu kya bol rahi hai Guddan tu kahin nahi jayegi isi ghar me rahegi,samjhi tu aur yehi mera faisla hai.

Guddan goes to Dadi hugs her and then holds her hands.

Guddan:Nahi Maa ji,Jaana hoga hame aur aap to wahi karte hai na jo aap ke Lalla chahte hai aur un ke liye jo achha hota hai.To wahi to chahte hai na ki ham unse door chale jaaye,aur agar unhone ye socha hai to khud ke achhe ke liye hi socha hoga na.Aur aap ne hai na is ghar ke bare me bohot soch liya aur bohot tension le liya ab aur nahi,aap sirf aur sirf aaram karenge aur waqt pe apni dawaiyan lenge aur regularly checkup karwayenge aur kuchh nahi. Samjhi na aap.

Lakshmi:Saasu Maa!

Guddan:Arey Lakshmi bahu aap bhi na aise 60's wali heroines ki tarah ro kyun rahi hai haan?Dekhiye na aap ka poora makeup kharaab ho gaya 

and hugs her and cries

Nahi Lakshmi jii mat roiye hamare jaane ke baad Maa ji ka, apna, Vardaan ji ka aur in ghar waalon ka aap hi ko to khyaal  rakhna hai.

Durga:Aap kahin nahi jaayengi Saasu Maa.

Guddan:Durga bahu aap ne kabhi apni Saas ki baat nahi maani na par aaj aap ko maan ni hi padegi kyunki ham ye aakhri baar aap ko kah rahe hai.Yaad hai jab ham shuru me is ghar me aaye the tab aapne kya kaha tha hamse ki is  ghar ko sambhaalna ham se na ho payega.Bilkul sahi kaha tha apne,aur dekhiye hamse sach me nahi ho paya,isiliye ye sab..Lekin ham na bohot achhe se jaante hai ki aap se behtar is ghar ko aur koi nahi shambhal paayega isiliye ab se ye zimmedari ham aap ko dete hai.

Khair ye sab chhodiye ab na aap sirf apna aur is bachhe ka khaas khayaal rakhengi bilkul special wala,hai na.and caresses her belly. 

Guddan goes to Kishore and Vardaan.

Guddan:Restaurant me man laga kar kaam kariyega.Aur apni patniyon ka khayaal rakhiyega aap donon.Kabhi un ka bharosa mat tootne dijiyega. Sache man se rishte ko nibhaiyega jis ke liye teen cheezon ki bohot zaroorat hai.Pehli dosti, doosri sachayi,teesri to ham kabhi batate nahi par aaj bata dete hai,teesri hai bharosa.

Vardaan:Saalon baad laga tha ki hame apni Maa waapas mil gayi lekin aap bhi aaj hame chhod kar jaa rahe hai.

Guddan:Shaayad hamse is rishte ke laayak banna hi nahi ho paya.

Guddan goes to Saraswati. 

Guddan:Ab to aap ko koi pareshani nahi ho gi na Saru bahu.Ab aapko 1760 tarike nahi dhoondne padenge hame is ghar se bahar nikalne ke liye ham khud hi is ghar ko chhod kar ja rahe hai.Aur ha hamare waapas aane ke liye ginti bhi nahi ginni padegi.

Guddan has tears in her eyes and was seeing the whole house and recollecting all her memories in the house.

She moves towards AJ who was having tears in his eyes and pure guilt which can be clearly seen as a glass.

Guddan:Ham jaante hai saari galti aap ki bhi nahi thi hamari bhi galtiyaan thi ab kya kare Guddan hai ham,ham se bhi galtiyaan ho hi jaati hai.Lekin ab yahan ruk kar usse bhi badi galti nahi kar sakte ham.

She removes her mangalsutra from her neck and takes AJ 's hand in hers and places it in his hand.

Guddan:Ab shayad hamari aakhri saans tak hame is ki zaroorat na pade.Aaj Guddan Akshat Jindal ye ghar chhod kar jaa rahi hai aur ye Waada hai ki ham Guddan Akshat Jindal apni aakhri saans tak is ghar me doobara kabhi nahi aayenge,aur ye to aap achhe se jaante hai na ki ham apna kiya hua Waada kabhi nahi todte.

Guddan turns towards the door and steps out of the house. 

The lights of Jindal Bhavan went off as if the life of the house was dependent on her.

AJ was in that state as if the earth beneath his feet was slipped away. He was completely shattered with what Guddan said. Her promise was echoing in his ears. He felt that his life is taken away from him.

Revati ran out of the house to follow her Guddan di as she knew she would need someone by her side at this moment. 

Dadi holds Antara hands and drags her towards the door to kick her out of the house,just when she is stopped by AJ. 

Dadi:Kya hua Lalla tu mujhe kyun  rok raha hai?Mujhe is manhoos ko is ghar se bahar nikalne de. Is ki wajah se is ghar ki saari khushiyaan khatam ho gayi.

AJ:Antara kahin nahi jaayegi Maa. Wo yahi isi ghar me ham sab ke saath rahegi. 

P.s:AJ ne aisa kyun kiya ye aap sab ko next part me pata chalega. 

Posted: 4 years ago

CHAPTER 3

AJ:Antara kahin nahi jaayegi Maa.Wo yahi isi ghar me ham sab ke saath rahegi.
Dadi:Ye tu kya bol raha hai Lalla.Tu is Antara ko is ghar me rakhna chahta hai jisne tere bachon ko maar diya aur tujhe aur Guddan ko alag kar diya.
AJ:Haa Maa.Yehi chahta hun mai ki ye is ghar me rahe.Kyunki mai ne jo Guddan ke saath kiya hai na Maa us ke liye mujhe isse badi saza nahi mil sakti ke mai apni saari zindagi is aurat ke saath rahoon. Bohot dil dukhaya hai na Maa maine Guddan ka, to ab saari zindagi mujhe bhi to takleef honi chahiye aur wo tabhi hoga jab ye meri aankhon ke saamne rahegi. Pal pal tadpoonga mai jab mai apne bachon ke kaatil ko apne aankhon ke saamne dekhunga. Har din mujhe ye yaad aayega ke usne har us insaan ko mujhse door kiya jo mere Qareeb tha Har pal mera dil dukhega jab mai us aurat ko apne saamne dekhunga jis ke wajah se mai aur Guddan ek saath nahi honge. Is se badi saza mujhe aur nahi mil sakti Maa.
Dadi:Teri saza tak to theek hai Lalla lekin is ki saza ka kya,jo gunaah is ne kiye us ki saza bhi to is shaitaan ko Milne chahiye na.
AJ laughs evilly looking at Antara ,moves towards her and gives deadly glares to her.
AJ: Maa agar ham ise kanoon ke hawale kar dete to wo ise ek do din me phaansi ki saza suna dete.
Lekin iski Asli saza ek din me ek maut mar kar nahi zindagi bhar har pal hazaaron maut marne ka hai. Bohot shauk hai na ise Mrs.Akshat Jindal banne ka to tum saari duniya ke liye meri patni to hogi lekin tumhari asliyat  aur meri zindagi me tumhari ahmiyat sirf is ghar ke char deewaron ke beech hogi.Duniya ke liye tum bohot lucky hogi kyunki tum Mrs.Akshat Jindal hogi lekin tumhara luck tumhe kitna bacha sakta hai ye sirf tum jaan rahi hogi. Tumhe bohot shauk hai na doosron ki zindagiyon ke saath khelne ki,ab mai tumhari zindagi ke saath aisa khel khelunga ki tum ek saans bhi lene se pehle sau baar Sochne par majboor ho jaaogi. Bohot shauk tha na tumhe mere saath rehne ki ab tum apne isi shauk par kaamp uthogi. Log marne ke baad narak me jaate hai na mai is duniya me hi tumhari zindagi aisa badal dunga ke tumhe is zindagi se Narak ki zindagi behtar Lagne lagegi.
Antara gets frightened and was thinking about her life which was going to take a drastic turn and the only cause for it was she herself.
AJ removed his turban and all other accessories, took the car keys and was about to leave the house when,
Dadi:Kahan ja raha h Lalla.
AJ:Apni zindagi ko waapas laane,jis ke bina meri zindagi kuchh bhi nahi hai.Apni Guddan ko waapas lane ja raha hun.
Dadi:Ja aur lekar aaja meri Guddan ko us ke bina ye ghar aur ye ghar waale kuchh bhi nahi hai.

AJ rushes out sits in his black Scorpio and drives to each and every corner of the city where he could find her.He connects to all his contacts who could help him to find Guddan. He was so restless that he could not live a single moment of his life without his lifeline i.e.his Guddan.

Another Scene.
Guddan ran out from the house and went to the nearby park and falls down on her knees.She was vigorously crying remembering what happened. Revati came to her following and was trying to console her but to no avail. Her tears were continuously flowing from her eyes by remembering each and every moment and finally speaks up to reduce her pain.
Guddan: Kyun Chutki?Kyun?Hamare saath hi hamesha aisa kyun hota hai. Kyun hamari hi kismat me hamari khushi nahi likhi hai. Hamne kisi ka kya bigada hai ki hame itni takleef mil rahi hai .Kyun?

Soon it started to thunder and heavy winds were blowing and the next moment it started to rain heavily. It was unseasonal but it was the proof that the whole universe was crying on the separation of two souls which are bounded together forever by infinite love.

Guddan and Revati both were completely drenched in the rain.

Revati:Ro lijiye di. Baha dijiye apni takleefon ko apne gamon (griefs) ko in barish ke Boondon ke saath.Apni zindagi ki saari buri yaadon ko dho dijiye is paani se.
Guddan started to cry louder and at last she screamed at the top of her voice.
Guddan: Jindal Sahab!!!!!

Here AJ failed to find her and came out of his car in an isolated place sat down and rested his head on the door of the car and was now completely drenched and was crying louder as he could not find her. He screamed her name at the top of his voice.

AJ: Guddan!!!!!!

AJ returned back to home and Dadi came to him while questioning about Guddan.
AJ: Har jagah dhund liya Maa ,Har flight, har train, har bus, har cab, har taxi, har hotel jahan bas pade har jagah pata karwaya Maa lekin Guddan ka koi pata nahi. Chali gayi wo mujhe, ham sab ko chhod kar, ham sab se door, bohot door.




P.s: I know it's a bit short update but I have to end it here as from the next chapter leap will be introduced and all the readers will be witnessing a new life of our AKSHAN...
So be ready for the next chapter...

Posted: 4 years ago

So here's the story before leap....

Post leap story will be updated later...

I hope you all will like it๐Ÿ˜Š

Posted: 4 years ago

Originally posted by Akshiyaislove


So here's the story before leap....

Post leap story will be updated later...

I hope you all will like it๐Ÿ˜Š

superb

Posted: 4 years ago

Amazing 

Waiting for next update 

Posted: 4 years ago

Originally posted by Bhumi1992


Amazing 

Waiting for next update 



Are you the same one who's on Wattpad??

Posted: 4 years ago

Awesome start

Cont soon

Posted: 4 years ago

Awesome I hope leap ke baad bhi Guddan easily maaf na Kare Akshat ko he must have an hard time to get her back.



Related Topics

No Related topics found

Topic Info

8 Participants 117 Replies 15405Views

Topic started by Akshiyaislove

Last replied by Akshiyaislove

loader
loader
up-open TOP