"mere sir na roz strepcils ki goliyoon ka pata le ker ate they jis mein 10 goliyaan hoti thi sir, mein aur mera bhaiya osey mil ke khate they. roz ki tara sir ek din strepcils ka pata le ke aye aur osey pata nahi kyu bed ke neechey rakh diya aur khana bhool gaye. hum ne sir ke jane ke bad strepcils ka pata bed ke neechey se nikal ke os mein se sari goliyaan is tareeke se nilkal ke khayein ke lug raha tha jaise abhi bhi is mein goliyaan majood hai jub ke pata sara khali tha hum ne strepcils ki sari goliyaan kha ke khali pata osi jaga pe rakh diya jaha se uthaya tha. sir agle din aye os din roza tha sir ne ate sath he os jaga pe dekha ke pata perha hova hai. shuker hai ke sir ne hath nahi lagaya tha pate ko kyu ke ager hath lagate to phir roza kholne ke bad maza nahi ana tha kyu ke sir ko pehle he hamari sharat ke bare mein pata chal jana tha.acha phir kya hova ke sir bar bar yahi kahii ja rahe they ke strepcils mein roza kholne ke bad khayo ga sir ki is bat se hamari hansi nahi control ho rahi thi itni mushkil se control ki hovi thi kyu ke strepcils ka pata sara khali tha aur sir ko pata nahi tha. akhir roza khola sir ne strepcils ka pata nilkala sir ko thorda sa khusa aya sir ne kaha sari goliyaan kidher gayi hai in mein se hum ne kaha sir app ne he kal khayein hoon gi app hum pe ilzam laga rahe hai sir ne kaha ke mujhay pata hai tumhi logo ne khayein hai. hum pehle sir ko tung kerte rahe ke hum ne nahi khayein hai lekin phir bad mein such bata diya phir sir se sorry bholi ke app se pooche bager hum ne app ki strepcils kha lein"