Chanakya: shikha khuli hai dhananand...smaran hai? Isi sthaan par tune apni vilaasta aur barbarta ka pramaan diya tha..aur dekh aaj tu usi sthaan par mere samaksh bandi ban kar khada hai 😛 aur aaj tere paap ka ghada bhar chuka hai..tere dwara kiye gaye har dushkarm par vichaar hoga aaj
Dhana: tu do take ka brahman tu humara vichaar karega (krodh se) dhin na tik dhin na 😡
chanakya: main nahi dhananand...tere har paap ka vichaar pehle hi kar chuki hai niyati..tere har ek paap karm k saath..kitne hi bachhon ko anaath banana...kitne masoomo ka jeevan ujaadna...kitni hi striyon ka satitva naash karke unke jeevan ko nark banana...sab par vichaar ho chuka hai dhananand aaj toh kewal nyay hoga 😡
Saare nagarwasi: haan haan ..humein nyay chahiye ..nyay chahiye 😡
Chanakya: aap sab shaant ho jaye
dhanna: (melodramatically) chanakya...mujhe shama kar do ...maine tumhare saath jo kiya uske liye shama
chanakya: dhananand...tumhare apraadh itne hain ..ki shama asambhav hai..apne upar hue atyachaar ko main shama kar bhi sakta hun...parantu jo atyachaar tune doosron par kiye unka kya...hum brahman hain...tumhare liye bhiksha maang kar tumhe jeevan daan de sakte hain ...loge?
Dhananand: mujhe shama kar do ...chanakya...main yeh sab kuch tyaag kar van chala jaoonga
chanakya: nagar vasiyon! Aap log dhananand ko jaane ki aagya dein
(but b4 anyone could say anything...shakatar takes a khanjar and stabs it into dhananand's heart...everyone is stunned)
Shakatar: shama aur ise? Jiske haath mere saath abodh putron k rakt se sane hai ...kabhi nahi..yadi agle saat janmo mein yeh har baar mere haathon mare tabhi ise shama mil sakti hai ..anyatha nahi
Chanakya: (sainikon se) jaao...amatya rakshas ko bandigrih se nikal lao ...aur baki sab ko bhi swatantra kar do...magadh mein aaj se koi bandi nahi
After few minutes, rakshas enters with shackles...chanakya goes to him and opens it)
Chanakya: chandragupta..amatya pramukh ka rajdand laakar do..
Amatya: nahi chanakya...main apne maharaj ke hatyaron se rajdand nahi le sakta
chanakya: tumhari nishtha prashansniya hai amatya ...parantu mat bhoolo...yeh rajdand dhananand ka nahi ..magadh ka hai...aur tumhari nishtha bhi..aagey badho aur ek suniyojit (well settled) rajya ki neev rakho
amatya slowly takes his rajdand from cg
amatya: sinhasan adhik samay tak rikt nahi reh sakta...rajya ka bhaar sambhalne ke liye praja dwara hi raja ki niyukti ho
saare nagarvasi: chandragupta ko sinhasan saunpa jaye
chanakya: magadh wasiyon...aaj aapke rajya ka ek naya janmdiwas hai...vats chandragupta...ek kukarmi raja k shasan ka kya parinam hota hai...yeh tumne dekh hi liya...ab mantriparishad ki sahmati se magadh aur aryavrat k kalyan mein lago
saare nagarwasi : samrat chandragupta ki jai ⭐️ ⭐️
THE END
Edited by Historylover - 14 years ago